widget

Thursday 26 June 2014

Saja Diya Jiski Ungli Mein Humne Dil


Saja Diya Jiski Ungli Mein 
Humne Dil Apna...

Khuda Kare Woh Humein 
Dil Mein Bhi Sada Rakhey.!!!



Mere yaqiN ko pas-E-purda-E gumaN


Mere yaqiN ko pas-E-purda-E
gumaN kar ke

Tu is nawaah men rahta hai per 
kahaN kar ke

Nahi hai koyee bhi is anjuman 
men hum jaisa

Chiragh jal to rahe haiN mager 
dhuaN kar ke

Guzar gaye haiN wo lamhe rawa 
rawi meN agar

Guzaar do ye zamane bhi rayegaN 
kar ke

MaiN apne khooN ka darya bana 
to luN lekiN  

Thahar na jaye ye kashti mujhe 
rawaN kar ke

Ye kauN tha k hadaf ban k saamne 
aayaa

PalaT gaya hai magar  teer ko 
kamaN kar ke...




Badan mein jaise lahu taaziyaanaa


Badan mein jaise lahu taaziyaanaa hogaya hai

Usay gale se lagaaye zamaanaa 
hogaya hai

Chamak raha hai ufaq tak ghubaar 
e tiira-shabi

Koi chiraaGh safar par rawaanaa 
hogaya hai

HumeiN to khair bikharna hi tha 
kabhi na kabhi

Hawaay-e-taaza ka jhoNka 
bahaanaa hogaya hai

Gharaz K poochhte kya ho ma’aal e sokhtagaaN

Tamaam jalna – jalaana fasaanaa 
hogaya hai...



Fazaay e shouq mein uski bisaat hi kya thi

Parindaa apne proN ka nishaanaa hogaya hai

Kisi ne dekha hai patjhaR mein phul khilte hue

Dil apni khush nazarii mein divaanaa hogaya hai..


KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN


KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN 
tu
Ek zarra-e-khaak aur kahaaN tu

MaiN dhoop ki aadi ho chali thi
KyuN mujh pe bana hai sayebaaN 
tu

MaiN teri zameen-e-nisf-e-shab 
huN
TaaroN bhara mera aasmaaN tu

Aise hi hamaari soch yekjaan
MaiN nutq tera, meri zabaaN tu

Taiyyar huN maiN safar ko lekin
Kashti ka uThaaye baadbaaN tu

Kitna bhi ho sakht mera lehjaa
Deeba-o-hareer-o-parniyaaN tu

Ek aam ghareeb-e-shahr hun 
maiN
Kya sun ke karega daastaaN tu

Pat_thar mein gulaab dekhta hai
Kis darja hai mujh se khushgumaaN 
tu

Ab thoRa sa waqt rah gaya hai
Zaaye’ karuN maiN na raayegaaN 
tu



(Parveen Shakir)



Imkaan dekhnay ko ruka tha maiN


Imkaan dekhnay ko ruka tha maiN 
jast ka

Ailaan kar diya gaya meri shikast 
ka

Saye se apne qadd ka lagata hai tu 
hisab

Andaza ho gaya hai tere zehn-e-
past ka

Tujh ko badan ki had se nikalna 
kahaN nasib

Samjhe ga kaise rooh ko aalooda 
hast ka

Tu hai K kal ki baat ka rakhta 
nahiN hai paas

MaiN hooN ke paasdaar hooN 
ehd-e-alast ka

Jis se garoh-e-badaa-faroshaaN 
hasad kare

Taari hai mujh pe nassha usi 
chashm-e-mast ka

Ja, shehr-e-kam-nigaah meiN 
shuhrat samaiT le

Yeh kaam hai bhi tujh se hi mauqa
parast ka

Shah-e-junooN ka takht bicha hai 
ba-ehtamaam

Pehlu meiN intizaam hai meri 
nashast ka

Wus’at mili hai zabt ko mere 
baqadr-e-dard

Bolo koyi jawaab hai is band-o-
bast ka?

‘Irfan’, teri laaj bhi Allah key 
supurd

Sattar hai wohi to har ik tang-
dast ka...


Azaab-e-wehshat-e-jaaN ka silaa


Azaab-e-wehshat-e-jaaN ka silaa 
na maaNge koi

Naye safar ke liye raastaa na maaNge 
koi

Buland haathoN mein zanjeer daal 
dete haiN

Ajeeb rasm chali hai, duuaa na 
maaNge koi

Tamaam shahr mukarram, bus aek mujrim maiN

So mere baad meraa khuN-bahaa 
na maaNge koi

Koi to shahr-e-tazabzub ke saakinoN 
se kahe

Na ho yaqiin to phir mo’jezaa na maaNge koi

Azaab-e-gard-zezaaN bhi na ho 
bahaar bhi aaye

Is ehteyaat se ajr-e-wafaa na 
maaNge koi...


Wednesday 25 June 2014

Inkaar meiN iqraar ki baat aa hi gayi


Inkaar meiN iqraar ki baat aa hi 
gayi hai
BatoN meiN Gham-e-yar ki baat 
aa hi gayi hai

Aaya hai kabhi zikr agar dar'o
rasan ka
Gesoo-o-qad-e-yar ki baat aa hi 
gayi hai

Jab surKhi-e-gulshan ka kabhi 
zikr hua hai
Tere lab-o-ruKhsaar ki baat aa 
hi gayi hai

DhooNda hai agar zaKhm'e
tamana ne mudaawa 
Ek nargis-e-bimaar ki baat aa 
hi gayi hai

Mil baiThe haiN zandaaN meiN 
agar sham ko ahbab
Tere dar-o-deewaar ki baat aa hi 
gayi hai

ChaiRa hai koi talKh fasaana jo 
kisi ne
Shirini-e-guftaar ki baat aa hi 
gayi hai...


Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai


Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai
Uski khushboo nafas-nafas meiN hai

Haal us Said ka,  sunaaiye kya!
Jis ka saiyyad khud qafas meiN hai

Kya hai gar zindagi ka bus na chala
Zindagi kab kisi ke bus meiN hai?

Ghair se rahiyo tu zara hushiyaar
Woh tere jism ki hawas meiN hai!

Paa-shikastaa paRa hua huN magar
Dil kisi naGhma-e-jaras meiN hai

‘Joan’ hum sab ki dastaras meiN haiN
Woh bhala kis ki dastaras meiN hai..


Wafa kar magar ustawaari na rakh


Wafa kar.! magar ustawaari na 
rakh

Koii bojh seene pe bhaari na 
rakh

Mohabbat ke badle muhabbat na 
maang

K yeh silsilaa, karobaari na rakh

Kisii aur heelay se kar mustafeez

FaQat rasm-e-bada-gusaari na 
rakh

Tu aaya hai to harf-e-matlab pe 
aa

ZabaaN per bahut khaksaari na 
rakh

Salamat nahii sar  to dastaar kya

Bahut apni ooNchi ataari na rakh

HaqeeQat tujhe maar dalegi sun!!

‘Mujeebi’ bahut jaan kaari na rakh..


Tuesday 24 June 2014

Aisa nai hai k hum tere bina


Aisa nai hai k hum tere bina 
jee nai sakty,,

Aisa hai k hum tery bina jena 
nai chahtay...




Saahib-e-Sharia't Ho Ek Fitwah To Do


Saahib-e-Sharia't Ho Ek 
Fitwah To Do...
Rukh-e-Yaar Pe Marna 
Bhi Shahadat He Kia...??



Wednesday 18 June 2014

Khamosh Dyar-e-Ishq Me Lazim Hai


Khamosh Dyar-e-Ishq Me Lazim 
Hai Khaamoshi, 

Mar Kar Bhi Lab Pe Aaye Na 
Har-Giiz Giile Kii Baat..



Tuesday 17 June 2014

Dard Dard Hai Najane Ruktaa Kyun Ni


Dard Dard Hai 
Najane Ruktaa Kyun Ni...

Sumbhal Sumbhal Kr 
Khud Ko Thak Giyaaa Hon 
Main,,,


Sham-E-Faraq Bazam SaJane Ko


Sham-E-Faraq Bazam SaJane Ko 
Aa Gai.
Phir Hijar ki Raat Dard JaGane 
Ko Aa Gai.

Tera KhayaL AaG LaGa Kar ChaLa 
Gaya.
Phir Teri Chahat Shama JaLane 
Ko Aa Gai.

Tum Aaye Ho Tu Boye Hina Bhi Tumhare Sath.
GhunChon Me Apna RanG 
RaChane Ko Aa Gai.

SaGaar Utha Kar Phir Ye Baharen 
Na Aayen Gi.
Sawan Ki Rut Ye Raaz Batane Ko 
Aa Gai.

Ab Tak Humare Jaam Hain KhaLi 
Parre Howe.
Youn Tu Sharab Bazam Me Aane 
Ko Aa Gai.

Khanda Koi KaLi Hai Na Shadaab 
Koi PhooL.
Youn Tu Bahar JaShan Manane 
Ko Aa Gai.


FaaSh Ho Na SaKa AaJ Tak Ye Raaz.
Hum So Gaye K Neend Zamaane Ko Aa Gai.


Har Koi Jaati Hoi Rut Ka Ishaara Jaane


Har Koi Jaati Hoi Rut Ka Ishaara 
Jaane,
Gul Na Jaane Bhi Tu Kya Baagh 
Tu Saara Jaane.

Kis KO Batlaae'n K AashOb-E-MOhabbat Kya Hai,
Jiss Pe Guzri HO WOhi Haal
Humaara Jaane.

Jaan Nikli Kisi Bismil Ki Na SOOraj Nikla,
Bujh Gaya Kiun Shab-E-Hijraa'n Ka Sitaara Jaane.

JO Bhi Milta Hai Hum Hi Se Gila 
Karta Hai,
KOi TO SOOrat-E-Halaat Khudaara Jaane.

Dost Ahbaab TO Reh Reh K Gale 
Milte Hain,
Kis Ne Khanjar Mere Seene Me 
Utaara Jaane.

Tujh Se Barrh Kar KOi Naadaa'n 
Nahi HO Ga ''.
Dushman-E-Jaan KO Bhi To Jaan 
Se Pyaara Jaane...



Anaa ke morr pe bichrrey


Anaa ke morr pe bichrrey, 
to humsafar na miley,
Hum ek sheher mein reh 
kar bhi, umar bhar na miley..



Imtehan-e-ishq me main ne sab kuch azmaya


Imtehan-e-ishq me main ne 
sab kuch azmaya...
Magar kuch kaam na aya 
sabar k siwa.....


Meri saari zindagi ko besamar iss ne kiya


Meri saari zindagi ko besamar 
iss ne kiyaUmar meri thi magar,
isko basar iss ne kiya

Main bohut kamzor tha iss mulq 
main hijrat kay baad
Per mujhe iss mulq mein kamzor’tar 
iss ne kiya

Rehbar mera bana gumraah karne 
kay liye
Mujhko seedhey raste se darbadar 
iss ne kiya

Shehar mein woh moatbir meri 
gawahi se huwa
Phir mujhe iss shehar main na’
moatbir iss ne kiya

Shehar ko barbaad kar kay rakh 
diya iss ne 'Munir'
Shehar per yeh zulm mere naam 
per iss ne kiya..


Jab Se Laga Tanhai Ka Rog Mujhe


Jab Se Laga Tanhai Ka Rog Mujhe,
Ek Ek Kar K Chor Gaye Sab Log 
Mujhe,

Bujhta Soraj Meri Aankhain Cheen 
Gia,Kali Rat Ne Pehnaya Hai Sog 
Mujhe,

Wasal Ki Rutt Se Mehroomi K 
Mosam Tak,
Bhool Gaye Hain Ab Sare Sanjog 
Mujhe,

Dard Ka Jangal Atta Howa Hai 
Sanpo Se,
Dil Ka Jogi Roz Sikhaye Jog Mujhe,

Kal Shab Ujle Chehron Ki Ek 
Mehfil Mein,
Yad Aaye Hain Mohsin Kia Kia 
Log Mujhe.


Mjhe Emaan Teri Mohabbaton Pe


Mjhe Emaan Teri Mohabbaton 
Pe Apni Saans Ki Tarah hai.
Bas Aik Baar Mere Sir Ki Qasam 
Khao Badal Tu Na Jao Gy'.

Tum Jo Door Raho Tu Manzilein 
Meri Adhori Hain.
Bas Aik Baar Mujhe Yaqeen Dilao
 Badal Tu Na Jao Gy.

Aaj Tumhari Judai Ka Khof Maary 
Ja Raha Hai Mujh Ko.
Faqat Aik Baar Mujh Ko Behlao 
Badal Tu Na Jao Gy.

Dil Tanha Aur Udas Sa Hai Aur 
Aankh Bhi Tu Purnum Hai.
Mujhe Bas Aik Baar Samjhao 
Badal Tu Na Jao Gy...


Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi


Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat 
Nahi Howi 
Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata 
Raha Hun Mein 

Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel 
Ke Lye 
Parchaayion Pe Rung GIraata 
Raha Hun Mein 

Apna Misaalya Mujhe Ab Tak 
Na Mil Saka 
Zarron Ko Aaftaab Banaata 
Raha Hun Mein 

Kia Mil Gaya Zameer Hunar 
Baich Kar ? 
Itna Ke Sirf Kaam Chalaata 
Raha Hun Mein 

Kal Dophair Ajeeb Si Ek Be-Dili 
Rahee 
Bas Titliaan Jalaa Ke Bujhaata 
Raha Hun Mein' 


          

Ye Ghum Aur Lambi Zindagaani



Ye Ghum Aur Lambi Zindagaani..

Buzurgon Ki Dua Ne Maar Dala 
Hai ...!


Suno Main Ab Roshni Se Darta Hoon


Suno '''Main Ab Roshni Se 
Darta Hoon

Andhera Raas Aagaya Hai 
Mujhay....




Baqaa Ki Arzoo Hai To


Baqaa Ki Arzoo Hai To

Fanaa Kar Apni Hasti Ko..



Rastey Ghalat Nahin Hua Kartay


Rastey Ghalat Nahin Hua Kartay  .....Woh To Apni Manzil K Liyea 
Hi Bantay Hain .....Ghalat To 
Hamari Pasand Aur Chah Hoti 
Hai ..... 
Kiun K Raaston Ko To Waheen 
Jana Hai .... Jahan Iski Manzil Ka Thikana Hai ..... Yeh To Hum Hi 
Hotay Hain .....

Jo Tajassus Main Iski Manzil Ko 
Apni Manzil Samjh Bethtay 
Hain ..... 
Aur Phir Gilah Kartay Hain K 
Raasta Ghalat Tha ......!



Tujh Main Chupe Hain Meri Zindagi




Tujh Main Chupe Hain Meri 
Zindagi K Hazaaron Raaz....!!
Tujhe Waasta Hai zindagi Ka 
Zara Khud Ka Khayal Rakhna....!!



Uski kalai jo pakrun to shor machati hain


~"Uski kalai jo pakrun to shor 
machati hain bht,

"ye chorhiyan akhir us ki lagti 
kaya hain.....!!!!!