widget

Saturday 25 October 2014

Ye Dil Phir Teri Khuwaish Kar Raha Hai


Ye Dil Phir Teri Khuwaish 
Kar Raha Hai.....
Magar Main Dukh Se 
Bachna Chahta Hun....


Tum meri aankh k bary me pochty ho


Tum meri aankh k bary me 
pochty ho..

ye wo khirki hai jo dariya 
ki taraf khulti hai...


Mohabbat Jeet Jaye Gi Agar Tum Maan Jao


Mohabbat Jeet Jaye Gi Agar 
Tum Maan Jao To....
Meray Dil Main Tum Hi Tum 
Ho Agar Tum Jaan Jao To...


Tuesday 21 October 2014

Tere Aane Se Kuch Or Sudhar Giya Hon


Tere Aane Se Kuch Or 
Sudhar Giya Hon Main 
Jana ...
Tu Youh Hi Nehin Kehti 
Ye Jo Tum Ho Na Kamal 
Ho....


kabhi yaad aao to is tarah


kabhi yaad aao to is tarah
ke lahoo ki saree tamaazateN
tumhaiN dhoop dhoop sameT leN


tumhaiN rang rang nikhar deN

tumhaiN harf harf sooch leN
tumhaiN dekhne ka jo shauk ho
to diyaar-e-hijar ki teergi ko'mijah 
ki nok se nooch leN


kabhi yaad aao to is tarah

ke dil-o-nazar meN utar sakoon
kabhi had se habs-e-junooN 
badh rhey...


to havaas banke bikhar sako

kabhi khul sako shab-e-vasal 
meN kabhi Khoon-e-dil meN 
sanvar sako


sar-e-rehguzar jo milo kabhi..

na Thehar sako, na guzar sako
mera dard phir se Ghazal baney..


kabhi gungunaoo to is tarah

mere zaKhm phir se gulaab hoN.
kabhi muskuraoo to is tarah..


meri DhadkaneN bhi laraz utheN

kabhi chot khaoo to is tarah.
jo nahi to phir bade shouq se
sabhi rabtey sabhi zaabtey


kabhi dhoop chaaoN main tod do

na shikast-e-dil ka sitam sahoo
na suno kisi ka azaab-e-jaaN
yooNhi Khush phiroo, 
yooNhi Khush raho..


na ujar sakeN na sanvar sakeN

kabhi dil dukhaoo to is tarah..
na simaT sakeN na bikhar sakeN
kabhi bhool jao to is tarah..
kisi taur jaaN se guzar sakeN
kabhi yaad aoo to is tarah...



Main Ye Kyun Kr Keh don K Nehin Hai Hasil Mujhe


Main Ye Kyun Kr Keh don 
K Nehin Hai Hasil Mujhe  
Wo Jo Bepanha Muyesser 
Hai Mujhe Muyesser Hai 
Mujhe ,,



kese Mumkin Hai K Yaad Kr Le Tu Mujhe


kese Mumkin Hai K Yaad Kr 
Le Tu Mujhe 

Ek Dhokha Sa Hota Hai Har
 Bar Mujhe ..




Monday 20 October 2014

Tumhe kisne kaha tha ye


Tumhe kisne kaha tha ye....

Kisi sunsaan raste par
Kisi anjaan chehre se
Zara si aashnai ko,
Bahut hi khaas likh dalo
Kahin do ,char baton ko
Bahut pyara sa tum dilkash
Haseen ehsaas likh dalo

Tumhe kisne kaha tha ye..... 
Suno ae mom ki gudiya
Ab is daur ke andar
Koi majnu nahi banta
Koi ranjha nahi hota..

Qadam do char chalne se
Safar sanjha nahi hota
To in bekaar sochon pe
Suno ! rone ka dar kaisa
Jise paya nahi tumne
Use khone ka dar kaisa..! 



Saturday 18 October 2014

Wo rooth K Boli Tumhen Sab Shikayten Mujh Se Hi Hein


Wo rooth K Boli Tumhen Sab 
Shikayten Mujh Se Hi Hein...!!

Hum Ne Sar Jhuka K Keh Diya 
Muje Sab Umeeden bhi to Tum 
Se Hain''''


Mohabbat Hai Mujhe Tum Se


Mohabbat Hai Mujhe Tum 
Se,Bas Itna Janta Hun Main,

Ye Kya Hai? Kyun Hai? Kaisey 
Hai.?
Bataon Kis Tarha Tum Ko.?

Chalo Socho Agar Main Tum Se,
Ye Poochun Kisey Kehtay Hain 
Be-Chaini.?

Agar Koi Makeen Dil Ka,
Chala Jaye Kaheen Kuch Din,
To Neendein Kyun Nahi Aateen.?

Kabhi Jo Baat Na Ho To Ye 
Saansen Kyun Nahi Aateen.?

Koi Jo Dost Pyara Ho Agar Wo 
Rooth Jaye To,
Hansi Phir Kyun Nahi Aati.?

Chalo Itna Bata Do Tum,
Nikaalain Machli Pani Se,
To Zinda Kyun Nahi Rehti.?

To Phir Tum Ko Bataon Ga,
MOHABBAT KAISAY HOTI 
HAI...



Wednesday 15 October 2014

Jisay sachay Dil se chaha usay Paa lia


Jisay sachay Dil se chaha 
usay Paa lia...+

Ae Khuda tere Ehsaan 
Ka Shukriya.....+


MouT Ki AaKhri HichKi Ko Zara Ghour Se Sun


MouT Ki AaKhri HichKi 
Ko Zara Ghour Se Sun..!!

ZinDaGi BHar Ka KhuLaSa 
isi Awaz Me Hota Hai..!!



Es qadar qeemti tu na tha mera chain-o-sukoon


Es qadar qeemti tu na tha 
mera chain-o-sukoon....¤

Loot k le gaya wo kisi anmol 
khazany ki tarah...¤


Anaa Parast Hun, Ziddi Hun, Sar Phira Hun


Anaa Parast Hun, Ziddi Hun, 
Sar Phira Hun...!! 

Magar Mujhy,Tumhari 
MoHabbat, Badal Bhi Sakti 
Hai..


Main hi Hoon Teri sub Aziyaton Ka Mujhrim


Main hi Hoon Teri sub 
Aziyaton Ka Mujhrim... 

Ho Mumkin tu Mera 
Qatal'E Aam Kar Daalo..


Saturday 11 October 2014

Kitni Ratein Beet Gaein Kitny Din Beet Gaye


Kitni Ratein Beet Gaein
Kitny Din Beet Gaye

Bas Nahi Beeta To,
Yaadon Ka Wo Pal
Wo Guzra Hua Kal

Nahi Beeti To Ankhon 
Ki Nami

Aur
Teri Kami...!!!


Friday 10 October 2014

Khud ki Pehchaan Ho Gayi Mushkil


Khud ki Pehchaan Ho Gayi 
Mushkil

Yun Badalti Hai Zindagi 
Chehrey..!!



Kabhi peghaam-E- Ulfat kabhi tera bhool jana


Kabhi peghaam-E- Ulfat 
kabhi tera bhool jana.

Hai tu sara sar na,jaiz .

Teri ye bhi meharbani.

Teri wo b meharbani...! 


Anaa Parast Hun, Ziddi Hun Sar Phira Hun


Anaa Parast Hun, Ziddi Hun, 
Sar Phira Hun...!! 
Magar Mujhy,Tumhari 
MoHabbat, Badal Bhi Sakti 
Hai....


Meri Maut Bhi Kiya Maut Thi


Meri Maut Bhi Kiya Maut Thi...!!

Marr Gaya Kisi Pe Marte Marte...!!


Hum Dono Kahin Pe Mill Jayenge Ik Din


Hum Dono Kahin Pe Mill 
Jayenge Ik Din...!!

In Umeedon pe Hi Mein 
Hoon Zinda...!!


Mujhe na saans ati hai


Mujhe na saans ati hai,
Na mera damm nikalta hai,
Magar yeh beech ka aalam,
Bohat takleef deta hai,

Mujhe andar nigalta hai,
Na saahil par pattakta hai,
Bikharna yun samandar ka,
Bohat takleef deta hai,

Jo tum bolo bikhar jayen,
Jo tum bolo sanwar jayen,
Magar yun tootna jurrna,
Bohat takleef deta hai..


Ek hashar sa uthaye rakhta hai mere andar


Ek hashar sa uthaye rakhta 
hai mere andar,,

kehne ko wo meri khamosh 
mohabbat hai..


dekh kr Eid par taweel safen


Dekh kr Eid par taweel 
safen...
masjiden hanste hanste 
rone lagin !!



Tere baghair EID main wo ronakein kahan


Tere baghair EID main wo 
ronakein kahan,

Bekaar sa hai mere liye EID 
ka sawaal.....!!!!


Tuesday 7 October 2014

ZiBaah Kar Do Saare Anaa Parast iSs Eid Pe


ZiBaah Kar Do Saare Anaa 
Parast iSs Eid Pe,, 

Baat Baat Per Jo 'Main' 
Main Kartey Hain...


SuNo AsSembLy To0tey


SuNo AsSembLy To0tey 
Ya 
MarShal Law Lag Jaye,, 

Mere Dil ki ParLiment K 
Wazir-e- 
Azam Sada TUm Hi H0...


Aur to kuch nahi mila qurban kerny k liye


Aur to kuch nahi mila qurban 
kerny k liye...

EID'E Qurbani pe kai armaan
Qurban ker diye....


Monday 6 October 2014

Un ki Eid Mubarak Mubarak


Un ki Eid Mubarak Mubarak..

Hamari Eid Kuda Janta Hai,,


Sunday 5 October 2014

Qurban Hon Jis Ke Hussan Pe So Janatain


 Qurban Hon Jis Ke Hussan 
Pe So Janatain "Qateel"

Nazroon Ke Samne Wo 
Nazaara Hai Enn Dino.. 


Friday 3 October 2014

Tal Gai Har Ik Qayamt Tal Gai


Tal Gai Har Ik Qayamt Tal Gai,

Ham Rahy Apne Asoolon Men 
Atal...
          

Wednesday 1 October 2014

Chaahat ke subH-o-shaam, muHabbat ke raat din


Chaahat ke subH-o-shaam, 
muHabbat ke raat din
"dil DhuuNDtaa hai phir wohi 
fursat ke raat din"

woh shauq-e-be.panah meN 
alfaaz ki talaash
izhaar ki zubaan meN luknat 
ke raat din

woh ibtidaa-e-'ishq , woh 
aaGhaaz-e-shaa'irii
woh dasht-e-jaaN meN pehli 
musaafat ke raat din

saudaa-e-Aazari meN 
hawaa-e-sanamgarii
woh but- parastiyoN meN 
'ibaadat ke raat din

ruu-e-nigaraaN-o-chashm-e-
GhazaloN ke tazkire
gaisu-e-yaar-o-Harf-o-
Hikaayat ke raat din

naakardah-kaariyoN pe 
bhi bad-naamiyoN ka sho'r
aKhtar shumariyoN pe bhi 
tuhmat ke raat din

Meer-o-Anees-o-Ghalib-o-
Iqbal se alag
Raashid, Nadeem, Faiz se 
raGhbat ke raat din

Shelly ka seHr, Keats kaa 
dukh, Byron ki dhaj
inn kaafiraan-e-'ishq se nisbat 
ke raat din

jaise mae-e-suKhan se suraahi 
bharii hu'ii
zor-e-bayaan-e-Husn-e-
tabee'at ke raat din

rakh kar kitaab-e-aql ko 
nisiyaaN ke taaq par
woh aashiqii meN dil ki 
Hukuumat ke raat din

har roz, roz-e-abr thaa, 
har raat chaand raat
azaad zindagi thii, faraaGhat 
ke raat din

ik raazdaar-e-Khaas ko har 
waqt DhuuNDna
be-a'itbaariyoN meN zaruurat 
ke raat din

woh har kisi se apna hi 
aHwaal puuchhnaa
apne se bhi tajaahul-e-Ghaflat 
ke raat din

ik dushman-e-wafaa ko 
bhulaane ke waaste
chaarah-garooN ki pand-o-
naseeHat ke raat din

pehle bhi jaaN-gusil thay, 
magar iss qadar nah thay
ik shehr-e-be.amaaN meN 
sukuunat ke raat din

phir yeh hu'a kih shewah-e-
dil tark kar diyaa
aur taj diye thay ham ne 
muHabbat ke raat din

fikr-e-mu'aash, shehr- 
badar kar gayii hameN
phir ham thay aur qalam 
ki mashaqqat ke raat din

phirte thay Mir Khwaar ko'ii
puuchhtaa nah thaa
qismat meN jab talak thay 
qanaa'at ke raat din

nau-waaridaan-e-shehr-e-
tamanna ko kyaa Khabar
ham saakinaan-e-kuu-e-
malaamat ke raat din