widget

Wednesday 31 December 2014

Chashm_e_Num Teri Rawani Se Alag Rehta hon


Chashm_e_Num Teri Rawani 
Se Alag Rehta hon,
Aag Hi Aag Hon Pani Se Alag 
Rehta Hon,


Gumshuda Hon Dhoond Mat 

Mera Naam_o_Nishan,
Main To Hr Yaad-Dehani Se 
Alag Rehta Hon,



Tu Mere Tazkara_e_Ishq Me 

Q Rehta Hai,
Main To Khud Apni Kahani 
Se Alag Rehta Hon,


Phool Se Tark_e_Ta'aluq 

Ko Zamana Guzra,
Ab To Main Teri Hr Nishani 
Se Alag Rehta Hon,


Ek Shaks Se Mila Hai Muje 

Sab Dhoka_o_Faraib,
Main Ab Aalam_e_Faani Se 
Alag Rehta Hon.




Tuesday 30 December 2014

Relations do not need Cute Voice and Lovely Face..


Relations do not need 
Cute Voice and
Lovely Face..

Relations need Beautiful 
Heart and
Unbreakable Trust..



Tery Andaz_e_ TaGhaful Ka Sahara Ly Kar


""Tery Andaz_e_
TaGhaful Ka Sahara Ly
Kar,,,,,
.^.
*""Tere Fitrat Na Badal
Do'n To Mera Naam
Nahe


Deemak-Zada Kitab Thi Yaadon Ki Zindagi


Deemak-Zada Kitab Thi 
Yaadon Ki Zindagi... 

Har Warq Khulne Ki 
Khwahish Mein... Phat Gaya..

Yaado0n ke roop mein tu rehta hy sath mery


Yaado0n ke roop mein 
tu rehta hy sath mery
Tery itny sy ehsaan ka 
s0 baar shukriya...?


Sard mosam main bahut yaad aatey hain


Sard mosam main bahut 
yaad aatey hain... 
Dhund main liptay huye 
waade uske....!! 


Faisla nahi ho paa raha


Faisla nahi ho paa raha...!! 
Tanha Raat hai Ya Main..?? 


Tere Maathey Ki Shikan Pehle Bhi Dekhi Thi MaGr


Tere Maathey Ki Shikan 
Pehle Bhi Dekhi Thi MaGr, 

Ye Giraah Ab K Mere Dil 
Mein Parri Ho Jaise...!!!


Nazar Ki Qaid Se Aazaad Kar Ke Dekho Toh


Nazar Ki Qaid Se Aazaad 
Kar Ke Dekho Toh,
Humein Khud Se Juda 
Aik Baar Kar Ke Dekho Toh..

Kaisa Manzar Aur Kya Sama 
Hoga Tumhaare Aangan Ka,
Humaari Tarha Zara Intizaar 
Kar Ke Dekho Toh..?? 

Kabhi Ehsaas Ke Lamhon Ko 
Tum Mehsoos Karo,
Kabhi Dil Ko Dil Ke Paas Kar 
Ke Dekho Toh..?? 

Asar Hoga Tumhaare Dil Par 
Bhi MOHABBAT Ka,
Kabhi Chahat Se Ghar Aabaad 
Kar Ke Dekho Toh..?? 

Mohabbat Toh Apni Manzil 
Khud Hi Paa Legi,
Suno Jaana, Mohabbat Aik Baar 
Kar Ke Dekho Toh..!! 



Lo Baith Gaye Hum Maidan-e-IshQ Mein


Lo Baith Gaye Hum 
Maidan-e-IshQ Mein 
DharNa De Kar ..... 

Ab Tum Ko Dena Hi 
Hoga Jhooti MohaBBat 
Se IssteeFa...!! 


Gar zindagii men mil gaye phir ittefaaq se


Gar zindagii men mil 
gaye phir ittefaaq se... 
Poochhenge apanaa haal 
teri bebasi se ham..!! 



Tujh ko paane mein masla yeh hai


Tujh ko paane mein masla 
yeh hai.... 
Tujhko khone ke waswasey
rahenge...!! 


Paau'N Uth Saktay Nahi Manzil-e-JaaNaa'N Ke Khilaaf


Paau'N Uth Saktay 
Nahi Manzil-e-JaaNaa'N 
Ke Khilaaf....!!

Aur Agar Hosh Ki Pucho, 
Toh Mujhe Hosh Nahi....!! 


Suno Tum Azm Waley Ho


Suno...!!
Tum Azm Waley Ho,
Bala Ka Zabt Rakhtey Ho,

Tumhein Kuch Bhi Nahi 
Ho Ga,
MaGar Dekho..!!

Jise Tum Chorrey Jatey Ho,
Usey To Theek Se Shayed,
Bicharrna Bhi Nahi Aata...!! ♡


Yahan har shakhas k Andar Yazeedi Wasaf hai


Yahan har shakhas k 
Andar Yazeedi Wasaf hai ... 

Wahi Mujh ku Mitate hain
Jinhe Tarteeb Deta Hon.!!! 


Tuesday 23 December 2014

Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN


Shehar ki raat aur main 
nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN 
peh aawara phriooN

ghair ki basti hai kab tak dar 
badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah 
mein zanjeer si raat ke hathon 
mein din ki mohani tasveer si

mere seene par magar chalti 
hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay 
wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh 
aakash par taaroN ka jaal

jaise sufi ka tasavvur jaise 
aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon s
amjhe jee ka haal

ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir 
woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh 
moti ki laRi

hook si seenay meiN uThi chaut 
si dil per paRi 
ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti 
hei ke maikhane meiN chal

phir kisi shahnaz-e-lalarukh 
ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay 
dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN

har taraf hei bikhri hui, 
rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN 
leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai 
hoi ruswaaiyaaN 

ay gham-e-dil kya karooN, 
ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le 
loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, 
meri fitrat nahiN

aur koi hamnawa mil jaaye 
yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN

muntazir hei eik tofaan-e-bala 
mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN 
waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-
wafa mere liay

ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-
wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh 
aasra bi chhoR dooN

haaN munasib hei yeh 
zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN

ik mahal ki aarh se nikala 
woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise 
baniye ki kitab jaise muflis 
ki jawani jaise beva ka shabaab 

ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak 
uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha 
hei aakhir kiya karooN

zakham seenay ka mehak 
uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda 
chaand taray nauch looN

iss kinare nauch looN us 
kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray 
ke saaray nauch looN 
ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN

muflisi aur yeh mazahir haiN 
nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir 
haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain 
nazar ke samne

ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke 
hathooN se khanjar toR dooN

taj per us ke damakta hei jo 
pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN 
hi baRh ke toR dooN

ay gham-e-dil kya karooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka 
saz-o-samaan phoonk dooN

iss ka gulshan phoonk dooN 
us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main 
sara qasr-e-sultan phoonk dooN

ay gham-e-dil kya kaooN, 
ay wahshat-e-dil kya karooN...


Aankh ronay ki shiddat se laal thori hai


Aankh ronay ki shiddat se 
laal thori hai,,

Malal hai mgr itna malal 
thori hai..

Bas apnay wastay hi fikar 
mand hain sab log,,

Yahan kisi ko kisi ka khayal 
thori hai..

Paron ko kaat dia hai urraan 
se pehly,,

Ye khauf-e-hijr hai
shaoq-e-wisaal thori hai..

Maza to jab hai k haar k 
bhi hanstay raho,,

Hamesha jeet hi jana kamaal 
thori hai..

Lagani parti hai dubki 
ubharne se pehlay,,

Gharoob honay ka matlab 
zawaal thori hai..!!!


Wednesday 10 December 2014

Mohabbton mein har ik Lamha Wisal hoga


Mohabbton mein har ik 
Lamha Wisal hoga, Ye teh 
hua tha

Bichar k bhi ik dusre ka 
khyal hoga, Ye teh hua tha



Ye keya k Sansein ukhar rhi 
hain Safar k agaz hi say Yaro!

Koi bhi thak kar na Rasty 
mein Nidhal hoga, Ye teh 
hua tha


Wahi hua na badalte 
mousamon mein tumne 
hum ko bhula diya

Koi bhi Rut ho, na Chahton 
ka zawal hoga, Ye teh hua tha



Juda huwe hain to kea huwa, 
phir yehi Dastoor_e_zindagi hai

Judaiyon mein na Qurbaton ka Malal hoga, Ye teh hua tha


Chlo k Saqi Kashtiyon ko 
jala dein Gum naam Sahilon 
per

K ab yahan say na wapsi ka 
Sawal hoga, Ye teh hua tha….


Dukh hun Dard hun Saaz hun


Dukh hun

Dard hun

Saaz hun

Ya beetay dino ki awaaz hun,

Mein jo kuch bhi hun

Jo koi bhi hun

Tum Bin Udas Hun..


Wafa ka Matlab talaash kiya


Wafa ka Matlab talaash 
kiya. . .  . 

To .  .. .. ..

Lafaz Faqeer nikla …


Us ka taluq jo meri zaat se zaroor tha


Us ka taluq jo meri zaat se 
zaroor tha,,,
Lataluq raha mujh se mere 
halat se jo waqif tha...



Meri barbadi ka Ghum na karo


Meri barbadi ka Ghum na karo,
Yaro...!
Ye to apne apne Naseeb hote hain.


Wo Meri Pehli Mohabbat


Wo Meri Pehli Mohabbat…



Wo Meri Pehli Shikast…


Nafrat Karni ho to Is Qadar Karna Mujh Se


Nafrat Karni ho to
Is Qadar Karna
Mujh Se..
Ke Mein Dunia Say
Jaon 0R Teri Zubaa’n Pe
Lafz-E-Shukar Ho…


Us ke lehjay ke badalne ki kahani


Us ke lehjay ke badalne
ki kahani

ko samajh kar ab bhi

Aay Dil usay chaho tou 
tumhari marzi..


Kuch mar sa gea hai ander


Kuch mar sa gea hai ander,

“Sahib”

Ab dil mera hasratein nahi 
karta...


Wo be-irada hi sahi, Titlioon mein rehta hai


Wo be-irada hi sahi, Titlioon 
mein rehta hai
Ke mera dil to meri muthioon 
mein rehta hai

Mein apne hath se dil ka gala 
daba doon ga
Mere khilaaf yahi shazishoon 
mein rehta hai

Bacha ke khud ko ghuzrna 
mahaal lagta hai
Tamam shehar mere rastoon 
mein rehta hai

Meri kitaab-e-Mohabbat 
mein uska ziker nahi
Wo khush khayal ghalat 
fehmion mein rehta hai..



Ishq ,Tujh Sa Bura Nahi Koi


Ishq ,Tujh Sa Bura Nahi Koi….

Har Bhaly Ka Bura Kia Tu Ne….


December ke Kehar ko Deikh ker Dil chahta hai


December ke Kehar ko Deikh 
ker Dil chahta hai..

Ya ilaahi..! Aisi koi Dhund uski
Yaad per bhi ho…