Monday, 18 November 2013
Tuesday, 12 November 2013
Mohabbat ke samandar mein Utarney se zara pehley
Mohabbat ke samandar mein,
Utarney se zara pehley,
Tumhein yeh sochna hoga,
Mohabbat aik sehraa hai,
Jahaan paaon barhaaney se,
Qadam chup chaap jaltey hain,
Mohabbat aesi dunya hai,
Ke is main jis taraf jayen,
Koi rasta nahin milta,
Mohabbat aankh ka aansu,
Yeh palkon per chamakti hai,
Mohabbat aag jesi hai,
Yeh seeno’n mein sulagti hai,
Mohabbat phool jesi hai,
Judaa ho shaakh se jab yeh,
Bikharti toot jati hai,
Mohabbat ki fizaaon mein,
Mohabbat ki hawaaon mein,
Hamesha dard milta hai,
Mohabbat ke samandar mein,
Utarney se zara pehle,
Tumhe yeh sochna ho ga....
Ek chehra nayab dikhayi deta hai
Ek chehra nayab dikhayi deta hai,
Khawbon mai bhi khawab dikhayi
deta hai,
Kon hai jis ki khatir yeh pagal dil,
Har lamha betaab dikhayi deta hai,
Tere hi jalwon se mere afsane ka,
Roshan eke k baab dekhayi deta hai,
Pehli chahat ka nanha sa poda bhi,
Jiwan bhar shadab dikhayi deta hai,
Sapnon ki jab koi basti basti hai,
Be mousam selaab dekhayi deta hai,
Ghat’ti umr ki dolat kis ko dikhti hai,
Bas maal-o-asbaab dekhayi deta hai,
DUKH jaye jab RAGHIB wo roshan
chehra Phir kis ki mehtaab dekhayi
deta hai…!!!!!
Mohabat kaisay mar jaye badan main jo khoon ki manind
Mohabat kaisay mar jaye,
badan main jo khoon ki manind,
jo hai aik janoo ki manind,
subha aur sham kay hr pal main,
jo hai aik sakoon ki manind,
Mohabat kaisay mar jaye,
Woh rahti hai dua ban kar,
Woh chalti hai hawa ban kar,
Woh sumandar kay talatam main,
Machalti hai wafa ban kar,
Mohabat kaisay mar jaye,
Woh sansoon kay sath chalti hai,
Rang ban kar nikharti hai,
Ghata ban kay woh cha jaye,
Woh khushbo ban kay mahkati hai,
Mohabat kaisy mar jaye,
Woh ebadat meray rab say hai,
Tahajud kay saray sajdoon main,
Woh rafaqat hr aik shab say hai,
Woh laboon pay vird karti hai,
Mohabat kaisay mar jaye,
Mohabat mar nahi sakti...
Teray khayal, Teray khuwab Aur teri mohabbat
Teray khayal, Teray khuwab Aur teri
mohabbat,Zuban pay ghazal,
Hathon main kitab Aur teri mohabbat
Gumnam alfaz,Talkh sawalaat, benaam
tehrirain,
Adhoray jawabat,Aur teri mohabbat
Thandi sehar, sard hawainUrhtay badal,
taiz ghtain Aur teri mohabbat
Halki dhoop, sohana mosam Bheegay
pair, shafaf aasman Aur teri mohabbat
Teri baatain, tanha raatain Kabhi hijr,
kabhi mulaqatain Aur teri mohabbat
Dar o baam, dhalti sham Kitab qalam,
tera naam Aur teri mohabbat
Phool titli, bhaag o bahaar Gaata darya,
jhoomti lehrain Aur teri mohabbat
Chamakta chand, jagmag taaray Awara
jugnu, bheeghi shabnam Aur teri mohabbat
Jaltay chiragh, urhta dhua’an Tera intizar,
wasl ka samaan Aur teri mohabbat
Chupta suraj, halki barsaat Dhanak k rang,
tera saath Aur teri mohabbat
Sarhaanay takya, bikhra bistar Bechain
karwatain, raat ka pehar Aur teri mohabbat…
Bara dushwaar hota hai Zara sa faislaa karna
Bara dushwaar hota hai,
Zara sa faislaa karna,
Ke jeewan ki kahani ko,
Beyaan-be-zubani ko,
Kahan se yaad rakhna hai,
Kahan se bhool jana hai,
Kisey kitna batana hai,
Kis se kitna chupaana hai,
Kahan ro ro ke hasnaa hai,
Kahan hans hanss ke rona hai,
Kahan awaz deni hai,
Kahan khamosh rehna hai,
Kahan rasta badalna hai,
Kahan se laut jana hai,
Barra dushwaar hota hai…
Sard ratain phir Dar pe dastak denay lagien
Sard ratain phir
Dar pe dastak denay lagien
Jaisey udasiyan pichley baras
Ki loutney hon lagien
Phir aik kohra bahir chah jaye ga
Doja kaheen ander buhat gehrai may
Sar uthaye ga
Jugnu bhi yaadon ke ooud ayen ge
Sung kuch
Talkhiyan
Wehshatain
Aahatain
Kuch zakhm zakhm muskrahatin
Kuch kirchi kirchi tooti chahatain
Bhi le ayen ge
Jab bhi khunk hawa
Kuwar meray bajaye gi
Tamam khunki tab
Meray lahu may utar jaye gi
Chandni bhi hogi sehmi sehmi
Raastey sub oorh kar
Sanaton ki chadar
Meethi neend
So jayen ge
Fursatain bhi humain hongi haasil
Apne kamal ki
Aur
Aalam-e-takhaiyul may
Dareechey kai khul jayen ge
Aur
In sub may kaheen
Ooas qatron ki maanind
Ashk palkon pe meray
Tanha tehar jayen ge..
Sunday, 10 November 2013
Saturday, 9 November 2013
Tuesday, 5 November 2013
Jahan koi maseha na ho Dard ka darma na ho
Jahan koi maseha na ho Dard ka
darma na ho Koi tere jese na ho..
Ye un sahiloun pe utar deti he
Mohabbat mar deti he..
Dard ke maroun ko Ghar ki
diwaroun ko Har toote hoe lehje ko
Zindagi deti he,,
Aetbar deti he magar Mohabbat mar
deti he,,
Gar judai ka Halka sa kanta bhi chub
jae Tarap uthi he Ro parhti he..
Apni godh maa se utar deti he
Zaid Mohabbat mar deti he...
Mera rona mere jazbat ka aaina he
Mera rona mere jazbat ka aaina he
Ye khamoshi meri har bat ka ka aaina he
Kis tarah kardoun use khud se juda
Wo jo ek shakhs meri zaat ka aaina he
Aankh main phir koi darya na autar
aae kahein
Meri aankhein kisi barsat ki aaina he
Be-basi meri teri tishna labi jesi he
Meri har bat teri bat ka aaina he
Jo bhi chaho meri sorat main dekh
lo zaid'''
Mera chera mere halat ka aaina he,,
Monday, 4 November 2013
Main Usko Bhool Kar Khush Hun
Haqiqat hai Yaqeen Kar lo main Usko
Bhool Kar Khush Hun,,
Mohabbat Mar Chuki Hai Ab Main Usko
Bhool Kar Khush Hun,
Badalti Rut Ki Wajah Se Tabiyat Kuch
hai Bojhal si,,
Yun Mera Haal Na Pocho Me Usko Bhool
Kar Khush Hun,,
Tumhein Kiya Weham Hai q Raat Bhar
Milne Nahi Aatien,,
Ay Meri Neend Ki Pariyo me Usko Bhool
Kar Khush Hun,,
Udasi Saare Ghar mein Phelti Jati Hai
Gham Ban Kar,,
Tum har Deewar Par Likh do Me Usko
Bhool kr khush hon...
Subscribe to:
Posts (Atom)