widget

Friday 26 June 2015

Nahi Tha Apna Mizaaj Aisa k Zarf kho kar Anaa Bachaatay


Nahi Tha Apna Mizaaj Aisa k Zarf 
kho kar Anaa Bachaatay..
Wagarna Aisay Jawab Detay K Phir 
Na Paida Sawaal Hotay...


To Shayad Kabhi Meri Taraf Payasa Lout Aye



To Shayad Kabhi Meri Taraf Payasa 
Lout Aye..
Ankhon Me Liye Phirti Hon Dariya 
Teri Khatir...

Kalaaiyan wo hayel hain kisi our ki Bahon mein


Kalaaiyan wo hayel hain kisi our 
ki Bahon mein..
Khareed rahe ho tum jin k liye EiD 
ki Choriyan.



Tu bata aye dil-e-betaab kahan atey hain


Tu bata aye dil-e-betaab kahan atey hain,
Hum ko khush rehne ke adaab kahan atey hain,

Main to yak-musht usse somp doon sab kuch lekin,
Aik muthii main mere khawb kahan atey hain,

Mudatton baad tujhe dekh ke dil bhar aaya,
Warna sehraaon main sailaab kahan aatey hain,

Meri bedaar nigaahon main agar bhoolay se,
Neend aaye bhi to khawb kahan aatey hain,

Hum kisi tarah tere dar pe thikaana kar lein,
Hum fakeeron ko yeh adaab kahan aatey hain,

Sarbassar faqat jin main teri jhallak milti hai,
Ab muyassar humen woh khawb kahaan atey hain..


Monday 15 June 2015

ruk gaya aankh se bahata hua dariya kaise


ruk gaya aankh se bahata hua dariya kaise
gam ka toofaan to bahut tez tha thahara kaise.

mujhako kud par bhi bharosa hone paata
log kar lete hain gairon pe bharosa kaise.

har ghadi tere kayaalon mein ghira rahata hoon
milana chaahoon to miloon kud se main tanaha kaise.

aur bhi ahal-e-khirad ahal-e-junuun the maujuud
lut gaye ham hi teri bazm mein tanaha kaise...


na jaane kab wo palat aaye dar khula rakhana


na jaane kab wo palat aaye dar khula rakhana
gaye huwon ke liye dil mein kuch jagah rakhana.

hazaar talkh hon yaaden magar wo jab bhi milen
zubaan pe achchhe dinon ka hi zaayika rakhana.

na ho ke kurb hi phir marg-e-rabt ban jaaye
mile agar to zara usase faasala rakhana.

utaar phaink de kush-fahamiyon ke saare gilaaf
jo shaks bhool gaya usako yaad kya rakhana...


sochte aur jaagte saanson ka ek dariya hoon main


sochte aur jaagte saanson ka ek dariya hoon main,
Apne guldastha kinaro ke liye bahta hu main

Jal gaya sara badan, in maasoom ki aag me,
Ek maasoom rooh ka hai, jismein ab zinda hu main.

Mere honto ka tabasoom, de gaya dhoka tujhe,
Tumne mujhko baag jana, dekhle sahara hu main.

Dekhe meri pajirayi ko aab aata hai kaun,
Lamha bhar to waqt ki, dahliz par aaya hu main...

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha


Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha 
Tumhe Yaad Ho ke Na Yaad Ho
Wohi Yaani Waada Nibah Tha Tumhe 
Yaad Ho Ke Na Yaad Ho.

Woh Jo Lutf Mujh Pe The Beshtar Woh 
Karam Pe Tha Mere Haal Par
Mujh Sub Hai Yaad Jara Jara Tumhe 
Yaad Ho Ke Na Yaad Ho.

Woh Naye Gile Who Shiqayate Woh 
Maje Maje Ki Hiquayate
Woh Har Ek Baat Pe Ruthana Tumhe 
Yaad Ho Ke Na Yaad Ho.

Kabhie Hum Mein Tum Mein Bhi Chah 
Thi Kabhie Hum Se Tum Se Bhi Raah Thi
Kabhi Hum Bhi Tum Se The Aashana 
Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho.

Jise Aap Kahete The Baawafa Jise Aap 
Ginate The Aashana
Main Hoon Woh Momin-e-Muttala 
Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho...


yeh faisla jo pada hai mere gumaan mein na tha


yeh faisla jo pada hai mere gumaan 
mein na tha
ke abaki baar zamaana bhi darmiyaan 
mein na tha.

koi bhi nazm-e-chaman ho ye hamane 
dekha hai
sahar ka nagmaa-sara 
shaam-e-aashiyaan mein na tha.

ke jisake haath mein patthar kamaan 
mein teer na ho
koi bhi aisa mere shahar-e-
mehabarabaan mein na tha.

duaaen mainne hi maangi theen rut 
badalane ki
faraaz mera nasheman hi gulasitaan 
mein na tha...


Woh kabhi mil jayen to kya kijiye


Woh kabhi mil jayen to kya kijiye,
Raat din surat ko dekha kijiye.

Chaadani raaton mein, ek ek phool ko,
Bekhudi kehti hai, sajda kijiye.

Jo tamanna ber na aye, umr bhar,
Umr bhar uski tamanna kijiye.

Ishk-ki rangeeniyon mein, doob kar,
Chaadani raaton mein roya kijiye.

Ham hi uske ishq ke kaabil na the,
Kyun kisi zaalim ka shikwa kijiye...


zakhm e tanhai mein kushbuu-e-hina kisaki thi


zakhm e tanhai mein kushbuu-e-hina 
kisaki thi
saaya diwaar pe mera tha sada kisaki thi.

aansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera
haath to mainne uthaaye the duwa kisaki thi.

meri aahon ki zabaan koyi samajhata kaise
zindagi itani dukhi mere siva kisaki thi.

chhod di kisake liye tuune 'muzaffar' duniya
justazu si tujhe har waqt bata kisaki thi.

usaki raftaar mein lipati rahin meri aankhein
usane mud kar bhi na dekha ki wafa kisaki thi.

waqt ki tarah dabe paanv ye kaun aaya hai
main andhera jise samajha wo qaba kisaki thi.

aag se dosti usaki thi jala ghar mera
di gayi kisako saza aur khata kisaki thi.

mainne binaayiyaan bokar bhi andhere kaate
kisake bas mein thi zamin aab-o-hawa kisaki thi...


Thursday 11 June 2015

Aankhain Band Kar K Chalte Hain Rah-e-Wafa Main Log


Aankhain Band Kar K Chalte Hain 
Rah-e-Wafa Main Log

Aur Kehte Phirte Hain K Mohabbat 
Andhi Hoti Hai..


Mohabbat ki manzil hi shayed nahin hai.


Mohabbat ki manzil hi shayed nahin hai..

Ke jab dekhiye imtihaan aur bhi hain..!


Bohat nayab hoty hain jinhen hum yaad krtay hyn


Bohat nayab hoty hain jinhen hum 
yaad krtay hyn…! 

Lo…! 

Tum ko bhi diya moqa, k tum anmol 
ho jao……


Tum Se Ache To Mere Dushman Nikley


Tum Se Ache To Mere Dushman Nikley...

Jo Har Baat Pr Kehte Hain.. Tujhe Nahi Chorenge .....


Wednesday 10 June 2015

Dil main sab ko aane deta hun par shaq na kar


Dil main sab ko aane deta hun 
par shaq na kar..

tu jahan basti hai_wahan kisi ko 
jaane nahin deta..



Wednesday 3 June 2015

ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa


ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

kis kis ko bataaye.nge judaa_ii kaa sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum
ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummiide.n
ye aaKhirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa..


Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz


Hum pe faqat ilzaam k hum hain 
zuban daraz…….
hum ne to bus kaha tha hamain tum 
se piyar hai….!



ab aur kya kisi se marasim burha’ein hum


ab aur kya kisi se marasim burha’ein hum
yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja’ein hum

sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
sunte rahe hein aap hi apni sada’ein hum

iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool ja’ein hum

tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare lota’ein hum

woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz
heh heh khuda na karda tujhe bhi rula’ein hum.


juz teray koi bhi din raat na janay meray


juz teray koi bhi din raat na janay meray
tu kahaN hai magr Ah dost puranay meray

tu bhi khushboo hai magr mera tujusus bekar
burg-e-awara ki maninth dikhAnay meray

shumA ki lau thi kay wo tu tha magr hijr ki raat
dair tuk rotA raha koi sirhanay meray

khalq ki beKhabaree hai keH meree ruswa’ee
looq mujh ko hi sunatay hein fusanay meray

lut keh bhi khush hooN keh ashkooN se bhara hai daaman
dekh gharat gare dil yeh bhi khazane mere

Aaj ik aur burS beeth gya oos kay beghair
jis kay hotay hooay hotay thay zamanay meray

kaash tu bhi meri awaaz sunta ho
phir pukara hai tujhe dil ki saada ne mere

kaash tu bhi kabhi aajaye masiha’ee ko
loog aate hein bohat dil ko dukhane mere

kaashi aurooN ki turhaaN mein bhi keH sukta
baat soon li hai meri, aaj khuda ne mere

to hai kis haal mein aih zood-faramosh mere
mujh ko tu cheen lya aihed-e wafa ne mere

chara-gr yooN tu bohut heiN magr aeh jaan-e-faraz
juz teray aur koi zaghum na janay meray..