Shehar ki raat aur main
nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN
peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar
badar maraa phirooN
Aye gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
jhilmilate qumqumon ki raah
mein zanjeer si raat ke hathon
mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti
hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay
wahshat-e-dil kya karooN
yeh roopehli chhaon yeh
aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise
aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon s
amjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
phir woh toota ik sitara phir
woh chhooThi puljhaRi
jane kis ki gaud meiN aai yeh
moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut
si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
raat hans hans kar yeh kehti
hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh
ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay
dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
har taraf hei bikhri hui,
rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
har qadam par ishrateiN
leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai
hoi ruswaaiyaaN
ay gham-e-dil kya karooN,
ai wahshat-e-dil kya karooN
raaste mein ruk ke dam le
loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN,
meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye
yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
muntazir hei eik tofaan-e-bala
mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN
waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-
wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei ab ahd-e-
wafa bi toR dooN
un ko paa sakta hooN yeh
aasra bi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh
zanjeer-e-hava bi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
ik mahal ki aarh se nikala
woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise
baniye ki kitab jaise muflis
ki jawani jaise beva ka shabaab
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
dil meiN ik shola bhaRak
uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha
hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak
uTha hei aakhir kiya karooN
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
jee meiN aata hei murda
chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN us
kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray
ke saaray nauch looN
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
muflisi aur yeh mazahir haiN
nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir
haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain
nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
le ke eik eik changez ke
hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo
pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN
hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN
baRh ke is indar'sabha ka
saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN
us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main
sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN,
ay wahshat-e-dil kya karooN...