widget

Friday, 30 August 2013

Aafatain Jese Intezar Main Theen


Aafatain Jese Intezar Main Theen,


Tere Jaty He Sab Ne Ghair Liya...




Wednesday, 28 August 2013

sazaa kaa haal sunaaye jazaa kii baat


Sazaa kaa haal sunaaye jazaa kii 

baat karen Khudaa milaa ho jinhen 
vo Khudaa kii baat karen

unhe.n pataa bhii chalen aur vo 

Khafaa bhii na ho
is ehatiyaat se kyaa mazaa kii baat 
karen

hamaare ahad kii tahaziib men 

qabaa hii nahin agar qabaa ho to 
band'E qabaa kii baat karen

har ek daur kaa mazahab nayaa 

Khudaa laataa
kare'n to ham bhii magar kis Khudaa 
kii baat kare'n

vafa shiyaar kai hain koi hasin 

bhii to ho chalo phir aaj usii bevafaa 
kii baat karen..



Apane mazii ke tasavur se hirasa hu'n


Apane mazii ke tasavur se hirasa 

hu'n main apane guzare hue ayam se 
nafarat hai mujhe 
apanii bekaar tamanao'n pe 
sharminda hun main 

Apani besud ummiidon pe nidamat 

hai mujhe mere maazii ko Andhere 
mein daba rahane do meraa mazi 
meri zillat ke sivaa kuchh bhii nahii'n 

Merii umido'n ka haasil meri kavish 

kaa silaa ek benaam aziyat ke sivaa 
kuch bhii nahi

kitanii bekar umido'n ka sahara
lekar mai'n ne aiwan sajaye they 
kisii ki Khaatir kitani berabt 
tamanao'n ke mabham Khake 
apane Khwaabo'n mein basaye the
kisii kii Khaatir 

Mujhase ab merii mohabbat ke 
fasane na puuchho mujh ko kahane 
do ke main ne unhe'n cHaha hii nah'n 

Aur vo mast nigaahe.n jo mujhe 

bhuul gaii.n mai.n ne un mast 
nigaaho.n ko saraahaa hii nahii.n 
mujhako kahane do ki mai.n aaj bhii 
jii sakataa huu.N 

ishq naakaam sahii zindagii 
naakaam nahii.n unako apanaane 
kii Khvaahish u.nhe.n paane kii talab 
shauq bekaar sahii sai-Gam a.njaam 
nahii.n 

vahii gesuu vahii nazar vahii aarid 
vahii jism mai.n jo chaahuu.N ki 
mujhe aur bhii mil sakate hai.n 
vo ka.Nval jinako kabhii munake 
liye khilanaa thaa 

unakii nazaron se bahut duur bhii
khil sakate hain...


Ahal'E dil aur bhii hain ahal'E vafaa


Ahal'E dil aur bhii hain ahal'E 
vafaa aur bhii hain


Ek ham hii nahiin duniyaa se 
Khafaa aur bhii hain

kyaa huaa gar mere yaaron kii 
zabaane'n chup hain
mere shaahid mere yaaron ke 
sivaa aur bhii hain

Ham pe hii Khatm nahii'n 
maslak'E shoriida sarii
chaak'E dil aur bhii hai chaak'E 
qabaa aur bhii hain

Sar salaamat hai to kyaa sang'E 
malaamat kii kamii
jaan baaqii hai to paikaan'E 
qazaa aur bhii hain

Munsif'E shahar kii vahadat pe 

na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab'E 
jafaa aur bhii hain..



Dekha to tha yun hi kisi Gafalat


Dekha to tha yun hi kisi Gafalat 

shi'ar ne divana kar diya dil'E be 
iKhtiyaar ne


Ai arazu ke dhu ndale Khvabo'n

 javaab do phir kis ki yad Aai thii 
mujh ko pukarane


Tum ko Khabar nahi'n magar ik 

sadalauh ko barbaad kar diyaa tere 
do din ke pyar ne


Main aur tum se tark'E Mohabbat 

ki Aarazu divana kar diyaa hai 
Gam'E rozagar ne


Ab ai dil'E tabaah teraa kya 

Khayaal hai ham to chale the 
kaakul'E getii sa Nvarane..



Tuesday, 27 August 2013

Poochha Jo Un se Chaand Nikalta hai


Poochha Jo Un se Chaand Nikalta 

hai Kis tarah,


Zulfon ko Rukh pe Daal ke Jhatka 

Diya K yoon ...



Ajeeb Si Aadat Aur Ghazab Ki Fitrat Hai


Ajeeb Si Aadat Aur Ghazab Ki 

Fitrat Hai Apni...!!!!

Mohabbat Ho Ya Nafrat, Bauhat 

Shiddat Se Karty Hein.. 





Wo Na bhi Mile To Kya Hua


Wo Na bhi Mile To Kya Hua, 

Ye Aashqi Hai Hawas Nahi.

Main Us Ka Tha , Main Us Ka HoOn, 

Wo Meri Nahi To Na Sahi.






Main Kahan Se Laun Bata Bikta Kahan hai


Main Kahan Se Laun.? Bata Bikta 
Kahan Hai

Woh Naseeb Jo Tujhey Umar Bhar 

Ke Liye Mera Kar Dey...



ZindaGi Mein Bahot kam Mili Hain


ZindaGi Mein Bahot kam Mili Hain,,

Woh Cheez Jisey Shiddat se Chaha 

Maine...!!



Yeh dil bhulata nahi hai muhabatein uss ki



Yeh dil bhulata nahi hai 

muhabatein uss ki
Paari hoyin hain mujhe 
kitni adatein uss ki

Yeh mera safar uss ki 

khushbo'yon mein kata
Mujhe tu raah dikhati hain 
chahatein uss ki

Ghiri hoyi hon main 

chehron ki bheer mein
Kahin nazar nahi aati'n 
shabahatein uss ki..



Tarasty Hain Zindagi Main


Tarasty Hain Zindagi Main

Ek Shakhs ____ K Liye . . !!




Tumhari aankhon main aansu thay


Tumhari aankhon main aansu 
thay meri khaatir 

Wo aik lamha mujhe sadiyon se 
pyaara laga.........!!!






Qasmo’n Ko Tornry ki to Niyat Na thi


Qasmo’n Ko Tornry ki to Niyat Na 
thi Magar,

Zulfo’n ko Rukh Pe Dekh Ker, 

Niyat Badal Gayi..!!





DiL ki faryaad sunu to dar lagta hai


DiL ki faryaad sunu to dar lagta hai..


MUJY . . . . . !!


Koshish usay paany ki hy jisy millney

ki ijazat nahi...




Hashar ka suna tha k koi kisi ka


Hashar ka suna tha k koi kisi ka na hoga,,


MAgar ab to dunyain mai b yeh charcha

Aam hai,,,


Aj bohut soch k khud sy sawal kiya


Aj bohut soch k '' khud sy sawal kiya

Main nay,, Aisa kya hay Mujh main 

jo Log mujh say wafa nahen karty...!

Friday, 23 August 2013

Insaaf Mile Ga Sarr -E- Maidaan -E- Qayamat


Insaaf Mile Ga Sarr -E- Maidaan -E- 

Qayamat

UnKa Na Khuda Aur Hai, Na Mera 

Khuda Aur ..!!!




Kocha-E-Yaar Me HoGa Kahi Masroof


Kocha-E-Yaar Me HoGa Kahi Masroof-E
Tawaf,

DiL ''  Agar Seeny Me Hota To Dhadakta 

Zaroor.



Ek junoon be-maani ek yaqeen


Ek junoon be-maani, ek yaqeen la-haasil,


Aur kya mila mujhko teri aarzoo kar ke..!!