Abhi to saal guzra tha Abhi tum
sath thay mere isi
khamosh sahil per bohat gum sun se
bethy thay kisi
tasweer jese thay agar main sach
kahon jana meri
tabeer jese thay jahan per tum ne
khagaz ki bohut choti
c nao ko bari chahat se himmat se
samandar mein
utara tha tumhare hosle per kis qadar
heran ye lehrain
tumhain hairat se takti thin bikherti
thin machlti thi
magar tum un se be perwa bas apni
soch me gum thay
hamari ankh me tum thy tumhe kuch
yaad hy
picnic hum ny geet gaya tha tumhain
dil main basaya
tha jahan hum tum se milay thay or
phir aankhon hi
aankhon mein kai sadyan guzari
thein meri sansain
tumhari thein abhi to saal guzra tha
k jab tum mere
shano per achanak hath rakh ker
chupke chupke mujh
se kehti thi mohabbat to ibadat hai
mohabbat to sa'adat
hai mohabbat to faiz ka daria hai jise
raat din behna
hai..hamain ek sath rehna hai ye
dukh ye dukh
sukh sehna hai'abhi kuch dair pehle
tumhari
ankh k jhil mil tary hum sy kehty
thay hamara
naam lete thay ,,tumhara sath na
chooty hamara
khwaab na tooty magar ye saal kesa
hai k isi ne
bhi nahi pocha hamara haal kesa
hai '' wohi
sahil wohi mosam wohi kissay wohi
rastay wohi
tosab kuch to hy jana,, magar ab tum
nahi mery '
bas aik ehsaas rehta hai. gaye waqat
lamhe
aansoonk sath behta hai...
ye kesa saal guzra hai,,
ye kesa saal guzra hai...//
No comments:
Post a Comment