Yeh MehloN, Yeh TakhtoN, Yeh
TajoN ki Duniya
Yeh InsaaN Kay Dushman SamajoN
ki DuniyaYeh Daulat Kay Bhookay
RiwajoN ki Duniya
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaey To
Kia Hay
Her Ek Jism Ghayal, Her Ek Rooh
Piyaasim NigahoN Main Uljhan
DiloN Main Udaasi
Yeh Duniya Hay Yaa Aalam-E-Bad
Hawaasi Yeh Duniya Agar Mil Bhi
Jaey To Kia Hay
Yahaan Ek Khilona Hai InsaaN
ki Hasti Yeh Basti Hai Murdah
ParastoN ki Basti
Yahaan Pe To Jeevan Say Hay
Maut Sasti Yeh Duniya Agar Mil
Bhi Jaey To Kia Hay
Jawani Bhatakti Hay BadKaar
Ban Ker JawaaN Jism Sajtay Hain
Bazaar Ban Ker
Yahaan Piyar Hota Hay Biyo-Paar
Ban Ker Yeh Duniya Agar Mil Bhi
Jaey To Kia Hay
Yeh Duniya Jahaan Aadmi Kuch
Nahin Hay Wafa Kuch Nahin Dosti
Kuch Nahin Hay
Yahaan Piyar Ki Qadr He Kuch
Nahin Hay Yeh Duniya Agar Mil Bhi
Jaey To Kia Hay,,,
No comments:
Post a Comment