Friday, 29 August 2014
Wednesday, 27 August 2014
Kabhi shakiston kay dukh uthaye to us say poochon
Kabhi shakiston kay dukh
uthaye to us say poochon
wo meri manind toot jaye
to us say poochon
Koi sitara usay bhi manzil
say dur kar day
usay bhi rasta nazar na aaye
to us say poochon
Safar main wo bhi kisi kade
imtihan say guzray
usay bhi yun koi aazmaye to
us say poochon
Usay muhabbat main kaun
sa dukh diya hai main nay
Kabhi nazar se nazar milaye
to usay poochon
meri tarah din chadhe talak
wo bhi soye Zalim
usay bhi shab bhar na neend
aaye to us say poochon...
Utri Ajeeb Roshniyaan Raat Khwaab Mein
Utri Ajeeb Roshniyaan Raat
Khwaab Mein,
Kay Kya Na Aks Tair Rahe The
Sharab Mein,
Kab Se Hai Ek Harf Pe Nazrein
Jami Hui,
Wo Padh Raha Hon Jo Nahi
Likha Kitaab Mein,
Phir Tareeki Ki Khwaab Se
Chaunka Hai Rasta,
Phir Roshni Se Door Gayi
Hai Shabab Mein,
Paani Nahi Ke Apne Hi
Chehre Ko Dekh ****,
Manzar Zameen Ke Dhundta
Hoon Mehtaab Mein,
Kab Tak Rahega Rooh Pe
Pairhaan-E-Badan,
Kab Tak Hawa Aeer Rahegi
Hubaab Mein,
Jeene Ke Sath Maut Ka Dar
Hai Laga Hua,
Khooshki Dikhayi Di Hai
Samundar Ko Khwab Mein,
Ek Yaad Hai Ke Chheen
Rahi Hai Labon Se Jaam,
Ek Aks Hai Ke Kaanp Raha
Hai Sharab Mein...
Lagta Hai Kabhi Kabhi De Raha Hai
Lagta Hai Kabhi Kabhi De Raha
Hai Koi Dastakein,
Toota Kiska Dil Kiski Aah Ban
Gayee Dastakein,
Humse Kya Poochte Ho Zamane
Ki Wahshay Ke Nisaan
Suno Un Khandaron Mein Kya
Keh Rahi Hain Dastakein,
Hum Bhi Hue Hain Apni Garj
Ke Deewane Eay Garjmandon
Humen Dekh Kar Sote Hue
Kafan Se Laut Gayee Dastakein,
Ab Chale Tere Ujalon Se Nihaar
Ke Bajam E Khushi
Andheron Se Hawayen Lekar Aa
Gayee Dastakein,
Kyun Itne Gum Lekar Chalte Ho
Sar E Bazar
Chupana Dushwaar Palkon Par
Askon Ki Jo Hui Dastakein,
Tujhse Bhi Ho Khafa Ye Malamat
Hai Hum Par
Ye To Chahre Pe Dard Ki Ubhar
Aayee Dastakein,
Tum Ro Rahe Ho Apni
Mayoosiyon Ko Doston
'Khushboo' E Jahan Ki Aahen
Ban Gayee Dastakein... -
AB KYA MANZER DEKHON
AB KYA MANZER DEKHON??
K JAB SAY TERI ANKHON K
RANG DEKHY HEIN
SUB MANZER PEHKAY LAGTY HEIN....
AB KOI KUSHBOO B BHATI
NAHI..
K TERI SANSO KI MEHAK
KUCH ASI RACH BAS GAYI
HA MUJ MEIN....
AB KOI LEHJA B KESY
BAHAYE MUJAY..TERI AWAZ
KUCH IS TARHA SAY UTRI HA
DIL MEIN...
TERI TALAB NA MET'TI HY
NA KAM HOTI HA...
TERI ZAAT KUCH IS TARHA
SAY UTRI HY MERI ZAAT
MEIN.. -
Thursday, 21 August 2014
Wednesday, 20 August 2014
Tuesday, 12 August 2014
Es Dhoop Me Ye Faiz B Ab Marhamat Na Kar
Es Dhoop Me Ye Faiz B Ab
Marhamat Na Kar.
Mujh Pe Guzrate Abar K Saaye
Ki Chahat Na Kar.
Is Dil Ko Fat'ha Kar K Guzar Ja
K Khair Ho.
Aabaad Is ZameeN Pe Koi Saltanat
Na Kar.
Ghurbat Me Toot'ne Ka Hunar
Mat Sikha Mujhe.
Main Sang_Zaad Hun Mujhe Sheesha_Sift Na Kar.
Auqaat Bhool Jaoungi Itni Urraan
Se.Rehne De Ab Tu Mujh Ko Falak_Martabat Na Kar.
Naapenge Kal Mere Qad-o-Qamat
Se Tujh Ko Log.
Ab Itni Be-Dili Se Tu Mere Bunaat
Na Kar,
Ab Dekh Tere Apne Muqabil Kharri
Hun Main.
Main Ne Kaha Na Tha K Meri
Tarbiyat Na Kar.
To Aabruye Qalam Ka Ameen
Hai.
SodagaraN-E-Fan Ki Kabhi
Manqabat Na Kar...
Andhera Sa Kya Tha Ubalta Huwa
Andhera Sa Kya Tha Ubalta Huwa,
Keh Phir Din Dhalay Hi Tamasha
Huwa,
Yahin Gum Huwa Tha Kayi Baar
Men,
Ye Rasta Hai Sub Mera Dekha
Huwa,
Na Dekho Tum Is Naaz Se Aaina,
Keh Reh Jaaye Wo Moon'h Hi
Takta Huwa,
Na-Jaanay Bas Qarwa'n Kon Tha,
Gaya Door Tak Main Bhi Rota
Huwa,
Kabhi Aur Kashti Nikaalen Gy
Hum,
Abhi Apna Dariya Hai Thehra
Huwa,
Jahaan Jao Sar Par Yehi Asmaan 'Ahmad'
Ye Zaalim Kahan Tak Hai Phela
Huwa.
Rastey me ik shajar hai
Rastey me ik shajar hai zamin
par para hova.
Saya magr hai apni anaa par arra
hova.
Deeda-warro ne us ko banaya
ameer-e-shaher,
Tha jis ki chasham-e-kour me
pathar jurra hova.
Kis kis se ta'aziat ka fariza ada
karo'n,
Har admi k sar pe hai qatbaa
garrha hova.
Tor're ga kon waqt k zalim
jamoud ko,
Ahl-e-hunar k lab pe hai taala
para hova.
Qatil bhi yaar thy mery maqtool
bhi azeez,
Wasif main apne aap me naadim
bara Hua.
**Tum kaisi Mohabbat karte Ho**
Friday, 1 August 2014
Subscribe to:
Posts (Atom)