Rastey me ik shajar hai zamin
par para hova.
Saya magr hai apni anaa par arra
hova.
Deeda-warro ne us ko banaya
ameer-e-shaher,
Tha jis ki chasham-e-kour me
pathar jurra hova.
Kis kis se ta'aziat ka fariza ada
karo'n,
Har admi k sar pe hai qatbaa
garrha hova.
Tor're ga kon waqt k zalim
jamoud ko,
Ahl-e-hunar k lab pe hai taala
para hova.
Qatil bhi yaar thy mery maqtool
bhi azeez,
Wasif main apne aap me naadim
bara Hua.
**Tum kaisi Mohabbat karte Ho**
No comments:
Post a Comment