Saturday, 24 January 2015
TUm Ar TUmhari YAadein
TUm Ar TUmhari YAadein ....
SArd AAhein
ZArd PAttay
KHamosh
DAra DAra Sa
PYar Ki BHeek MAngti AAnkhein
MAger AiSa Ku KEr MUmkin Ho
USny MUjh Sy SAaf KAha THa ....
JAhan PEr JAzbay MOhtaram Ho
JAein
Ar KHuwahish AQeedat MAin
BAdal JAy
To FAqt YAadein
YAadein
Ar YAadein Hi ZiNdgi Ka SArmaya
REh JAti HAin ....
ZiNdgi To MEri MAger
HAsil-E-ZiNdgi FAqt
TUm Ar TUmhari YAadein ....!!
کال کاٹ دو
"کال کاٹ دو"
وہ اک سیدھی سادی سی لڑکی تھی
چارسال پہلے میں اسکی کال اٹینڈ نہیں کرتا تها
کبهی کر بهی لی تو سیدهے منہ بات نہیں کرتا تها
پهر ایک دن اس نے میسج کیا کہ میری یہ آخری کال ہے
پلیز اٹینڈ کر لو
میں نے اس پر واضح کیا کہ تمہارے پاس 2 منٹ ہیں
جو بولنا ہے بول دو
ایک منٹ 40 سیکنڈ تک اس کی سسکیوں کی آواز آتی رہی
اگلے دس سیکنڈ میں اس نے صرف ایک جملہ کہا تها
" میں نے تمہیں معاف کیا - مگر محبت اپنا انتقام ضرور لے گی "
اس دن ____ پہلی دفعہ کال اس نے کاٹی
میں نے اسے دو منٹ پورے دٸيے تهے مگر اس نے اپنے دس سیکنڈ میری طرف چهوڑ دیئے تهے
میں پچھلے چار سالوں سے وہ دس سیکنڈ گزار رہا ہوں
!!______کال ابهی تک کٹی نہیں ہے
Wednesday, 21 January 2015
Sunday, 11 January 2015
Muddat meN woh phir taazah mulaqaat ka aalam
Muddat meN woh phir taazah
mulaqaat ka aalam
Khaamosh adaa'oN meN woh
jazbaat kaaaalam
NaghmoN meN samoya hu'a
woh raat ka aalam
woh 'itr meN Duube hu'e lamHaat
ka aalam
Allah re woh shiddat-E-jazbaat
ka aalam
kuchh kah ke woh bhuuli hu'i
har baat ka aalam
Chhaya hu'a woh nashsha'-e-
Sahbah-e-muHabbat
jis taraH kisi rind-E-Kharaabaat
kaa aalam
Woh saadgi-E-Husn, woh
mehjuub-nigaahi
woh maHsharl-E-sad shukr-o-
shikayaat ka aalam
NazroN se woh m'asuum
muHabbat ki tarawish
chehre pe woh mashkuuk
Khayalat ka aalam
Be-shart-E-takalluf woh
pazeeraa'ii-E-ulfat
be-qaid-E-tasanno' woh
madaarat ka aalam
Eik eik nazar she'r-o-shabaab-o-
mae-o- naghma
eik eik adaa Husn-e-moHaakaat
kaa aalam
Woh nazaroN hi nazaroN meN
savaalaat ki duniya
woh aankhoN hi aankhoN meN javaabaat ka aalam
Aariz se Jhalakte hu'e shabnam
ke do qatre
aankhoN se Chhalakta hu'a
barsaat ka aalam
Naazuk se tarannum meN
ishaarat ke daftar
halke se tabassum meN
kinaayaat ka aalam
Paakizagi-e-'asmat-o-jazbaat
ki duniya
doshizgi-e-Husn-e-Khayaalat
ka aalam
Barham woh nizaam-e-dil-o-
duniya-e-tamanna
paiham wo shikashtoN meN
futuHaat ka aalam
Woh 'ishq ki barbaadi-e-zindah
ka muraqqa'
woh Husn ki paa'indah
karaamaat ka aalam
Woh aariz-e-pur-nuur, woh
kaif-e-nigah-e-shauq
jaise kih dam-e-subH munaajaat
ka aalam
Woh jur'at-e-bebaak, woh shoKhi,
woh sharaarat
woh Husn-o-muHabbat ki
masaavaat ka aalam
Thak jaane ke andaaz meN
woh da'avat-e-jur'at
kho jaane ki suurat meN woh
jazbaat ka aalam
Sharma'ii va lajaa'ii hu'ii woh
Husn ki duniya
woh mehki hu'i, bahki hu'i
raat ka aalam
Taa subH, woh tasdeeq-E-
mubaahat ke nazaare
taa shaam woh phir faKhr-o-
mabaahaat ka aalam
Aalam miri nazroN meN "Jigar"
aur hi kuchh hai
aalam hai agarcheh wohi din-
raat ka aalam,,,
Afsurdgi k hathon jal jal k thak gaye hain
Afsurdgi k hathon jal jal k
thak gaye hain
Ay dil zara thahar ham chal
chal k thak gaye hain
Jese k be yaqini tabeer ho
chuki ho
ham ahl e khwab aankhain
mal mal k thak gaye hain
Kya janiye kitni gehri zulmat
me hai muqadar
Kya janiye kitne soraj dhal
dhal k thak gAye hain
Wa mandgi he thehri hasil e
safar apna
Tum ruk k thak gaye ho ham
chal k thak gaye hain
Is kanj e aafiyat se dushman
ki qaid achi
Saye me tumari muhabat ka
jal k thak gaye hain..,,
Fareb ham ne bhi khaye shikaar ham bhi huway
Fareb ham ne bhi khaye
shikaar ham bhi huway..
Dayaar rahte huway be
dayaar ham bhi huway..
Na zindagi hi alag kar saki
na maut hamein..
Gunah mein un k shareek e
fishaar ham bhi huway..
Sabhi ko ishq mein sab
kuch mila zaroorat bhar..
Wo motabar huway be itbaar
ham bhi huway..
Hamein bhi raahguzar par
bichhe mile kaante..
Qareeb aayi jo manzil
ghubaar ham bhi huway..
Wafoor e gham kisi tufaan
se kam nahi hota..
Jo zabt toot gaya ashkbaar
ham bhi huway..
Dabbaye jab bhi gaye ham
tabhi ubhar aaye..
NehaL ham bhi mite shahkaar
ham bhi huway..,,
Main Kab Ye Soch Sakta Tha
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...
Majboori Laakh Hon Lekin..
Rawaiya Kab Badlta Hai...
Tum Mujh Ko Chhorr Jaao Ge..
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...
Zameen Zaade Hi Thay Phir Bhi...
Palat Kar Kisi Ko Na Dekha..
Magar Sab Kuch Luta Den Ge...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha..
Teri Yaadon K Manzar Hi...
Mere Sab Khuwab Lootein Ge...
Mujhe Paagal Sa Kar Dein Ge...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...
Yahaan Jab Baadal Barsein Ge...
Meri Haalat Wo Badlein Ge...
Meri Aankhein Bheego Dein Ge...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...
Bichharr Jaana Muqadar Tha...
Bichharr K Chal Diye Thay Ham...
Ye Dil Phir Lout Jaaye Ga...
Main Kab Ye Soch Sakta Tha...
Fasana Chaar Lafzoon Ka...
Umar Ki Qaid Q Saajan..
Mile Gi Youn Saza Mujh Ko..
Main Kab Ye Soch Sakta Tha..
Ruk Gei Zindagi Bas Usi Morr Par
Ruk Gei Zindagi Bas Usi
Morr Par
Tere Bin Youn hi Mosam
Guzarte Rehe
Dil K Aangan Men Roti Rehi
Hasraten
Aankh Zinda Rehi Khuwab
Marte rehe
Jab Talak tu Meri Simt Chalta
Raha
Puch kr Mujh Se Suraj Nikalta
Raha
Tere Lehje ki Khushboo Me
Bheege Hue
Chand Tare Mere Ghar Utarte
Rehe
Aankh Me Chahton K
Samundar Liye
Kitni Jaldi tu Mujh se Juda
ho Geya.
Jane Wale,Tujhe Keya Khabr
Hay k Ham.
Lamha Lamha
Tere Baad Marte Rehe...
Wednesday, 7 January 2015
Dhiyan me aa kar beth gaye ho tum bhi na
Dhiyan me aa kar beth gaye
ho tum bhi na?
Mujhe musalsal dekh rahe ho
tum bhi na?
De jatay ho mujh ko kitne
rang naye,
Jaise pehli baar milay ho tum
bhi na??
Har manzar me ab hum dono
hote hain...
Mujh me aisay aan basay ho
tum bhi na??
Ishq ne yun dono ko hum'
aameiz kiya..
Ab to tum b keh detay ho tum
b na?
Khud hi kaho ab kaise sanwar
sakti hun main..
Ainay me tum hotay ho tum
bhi na?
Ban k hansi in honton par bhi
rehtay ho..
Ashkon me bhi tum behtay ho
tum bhi na??
Meri band aankhen bhi tum
parh letay ho..
Mujh ko itna jaan chukay ho
tum bhi na??
Mang rahay ho rukhsat mujh
se aur khud hi
Hath me hath liye baithe ho
tum bhi na??
Subscribe to:
Posts (Atom)