Muddat meN woh phir taazah
mulaqaat ka aalam
Khaamosh adaa'oN meN woh
jazbaat kaaaalam
NaghmoN meN samoya hu'a
woh raat ka aalam
woh 'itr meN Duube hu'e lamHaat
ka aalam
Allah re woh shiddat-E-jazbaat
ka aalam
kuchh kah ke woh bhuuli hu'i
har baat ka aalam
Chhaya hu'a woh nashsha'-e-
Sahbah-e-muHabbat
jis taraH kisi rind-E-Kharaabaat
kaa aalam
Woh saadgi-E-Husn, woh
mehjuub-nigaahi
woh maHsharl-E-sad shukr-o-
shikayaat ka aalam
NazroN se woh m'asuum
muHabbat ki tarawish
chehre pe woh mashkuuk
Khayalat ka aalam
Be-shart-E-takalluf woh
pazeeraa'ii-E-ulfat
be-qaid-E-tasanno' woh
madaarat ka aalam
Eik eik nazar she'r-o-shabaab-o-
mae-o- naghma
eik eik adaa Husn-e-moHaakaat
kaa aalam
Woh nazaroN hi nazaroN meN
savaalaat ki duniya
woh aankhoN hi aankhoN meN javaabaat ka aalam
Aariz se Jhalakte hu'e shabnam
ke do qatre
aankhoN se Chhalakta hu'a
barsaat ka aalam
Naazuk se tarannum meN
ishaarat ke daftar
halke se tabassum meN
kinaayaat ka aalam
Paakizagi-e-'asmat-o-jazbaat
ki duniya
doshizgi-e-Husn-e-Khayaalat
ka aalam
Barham woh nizaam-e-dil-o-
duniya-e-tamanna
paiham wo shikashtoN meN
futuHaat ka aalam
Woh 'ishq ki barbaadi-e-zindah
ka muraqqa'
woh Husn ki paa'indah
karaamaat ka aalam
Woh aariz-e-pur-nuur, woh
kaif-e-nigah-e-shauq
jaise kih dam-e-subH munaajaat
ka aalam
Woh jur'at-e-bebaak, woh shoKhi,
woh sharaarat
woh Husn-o-muHabbat ki
masaavaat ka aalam
Thak jaane ke andaaz meN
woh da'avat-e-jur'at
kho jaane ki suurat meN woh
jazbaat ka aalam
Sharma'ii va lajaa'ii hu'ii woh
Husn ki duniya
woh mehki hu'i, bahki hu'i
raat ka aalam
Taa subH, woh tasdeeq-E-
mubaahat ke nazaare
taa shaam woh phir faKhr-o-
mabaahaat ka aalam
Aalam miri nazroN meN "Jigar"
aur hi kuchh hai
aalam hai agarcheh wohi din-
raat ka aalam,,,
No comments:
Post a Comment