widget

Wednesday, 6 March 2013

Ik pagal Sa Larka Tha Apnay Aap Main Gum Sum Sa



Ik pagal Sa Larka Tha Apnay Aap 
Main Gum Sum Sa Zakham Milay 
Tu Bhi Muskata Rehta Tha


Logon Pe Aitbaar Ker K Us Ne Bohat 

Dhokay Khaay Jitnay Bhi Dost Milay 
Sabb Ne Usay Zakham Lagaay


So Sabb Se Door Khawab Nager 

Main Us Ne Apni Dunia Basa Li 
Apni Jannat,Apna Dozakh,Apnay 
Log Apnay Dukh Apnay Aap Se 
Kehta Tha


Sabb K Dukh Apnay Dukh Samjhta 

Tha Sabb Main Apni Khushian 
Baant'ta Rehta Tha

Us Ki Dunia Main Hawass Ka Ziker 
Na Tha


Us Ki Dunia Main Dolat Ki Perwa 

Na Thi Us Ki Dunia K Khushboo Jesay 
Log Thay Us Ki Dunia Main Naferton 
Ki Hawa Na Thi Phir Jaanay Us 
Pagglay Ko Kis Ki Nazer 
Lagi


Us Ko Bhi Ik Chaand Nager Ki 

Raani Se Muhabbat Ho Gayee Us Ki 
Apni Dunia,Takht-O-Taaj Chaahat 
Aag Main Jall Gay


Us Ki Dunia Ujer Gayee Us Ne 

Chanda Raani Ko Paana Chaaha Tu 


Us Ki Hasti Bikher Gayee Zaat Paat K

Pujaarion Ne Jhooti Dunia K Shaahon 
Ne Us K Dil Ko Rooh-O-Jigar Ko 
Zakham Zakham Kia


Us Ki Muskaan Chheen Li Suna Hay 

Us Ne Muhabbat Per Sabb Tann 
Mann Dhann Waar Dia Tha Raah-E-
Wafa Main Naam-E-Wafa Per Apna 
Sabb Kuchh Haar Dia Tha


Per Dunia Ne Us Ko Gham K Siwa 

Kuch Na Dia Phir Us Ne Marr Jana 
Chaaha Per Mout Na Maani So Suna 
Hay Abhi Bhi Kisi Laash Ki Maan'nad 
Zinda Hay


Abhi Bhi Khokhlay Qehqahay Lagata 

Hay Aur Raat Ko Sab Se Chhup Ker 
Chaand K Sath Mil Ker Aansoo 
Bahaata Hay


Suna Hay Aajkal Us Ko Muhabbat Se

Nafrat Ho Gayee Hay
Apni Dunia Alag Se Banaanay Ki Soch 
Raha Hay Phir Se Apni Dunia Main 
Jaanay Ki Soch Raha Hay


So Sab Chaahnay Walo Dua Kero Ye 

Pagla Sa Larka Jis Ko Jhooti Dunia Ne 
Masoom Natt Khtt Larkay Se Bikhera 
Toota Aadmi Bana Dia


Jis K Khawab Nager Ko Jala Dia 

Phir Se Apni Dunia Basanay Main 
Kamyab Ho Jay 

Apni  Masti Main Kho Jay Phir 
Chaahat Rog Ko  Bhula De Is Sog Ko 
Bhula De,,,,



Kabhi jo ker sako aisa to koshish ker k dekhna



Kabhi jo ker sako aisa
to koshish ker k dekhna..


mujhe..meri tarah chahna..

faqat meri talab kerna..


phir mujhse door ho jana..

main kahon…bhool jao mujhe.
.
tum roz duaon may mangna..
main tumse her nata tor lon..


tumse her wo haq chheen lon

k tumhare paas agar wo ho
to nuqsan kisi ka na ho per..


shayad tum jee lo per tum chup 

reh k her ghum pee lo aur aisa bhi 


kerna k..magar nahi..tum aisa ker 

nahi sakti..meri jagah khud ko rakh


nahi sakti..tum mujhe..meri tarah 

chah hi nahi sakti…


Tum Mery Liye.Sirf itna Kerna


Tum...!


Mery Liye....



Sirf itna Kerna...



K Janna..!



Ek Dua Kerna,



K main Tumhain bhool Sakon,



Jo k,,,,



Meray ikhtiyaar mein nahi...!!!

Muhabbat Jhoot Lagti Hay Mujhay Ik Khookhla Jazba


Muhabbat Jhoot Lagti Hay 
Mujhay Ik Khookhla Jazba 


Jisay Izhar Ki Her Waqt Khuwahish Ho, 



Kahay Janay Ki, Sunanay Ki ''Jisay Her 



Pal Zaroorat Ho, "Mujhay Tum Say 

Muhabbat Hay" Na Janay Roz Kitnay Log,


Is Jumlay Ko Sunnnay K Liyay. Baidar 

Hotay Hain, 


Ye Aisa Jhoot Hay Jis Ka, Sehr Sadioo'n 

Say Tari Hay, 


Magar Janaa'n...! Muhabbat Jab Kabhi 



Izhaar Ko Tersay, Koi Tum Say Ager 

Kahday "Mujhay Tum Say Muhabbat Hay" 


To Us Ki Baat Mat Sunn'na, Muhabbat 



Rooh Say Phootay, Muhabbat Aks Ban Jaye, 



To Phir Tum Ko Yaqee'n Aye, K Main Nay 

Sach Kaha Tum Say ..


Muhabbat Rooh Ban Jaye ,To Phir Us Ka Yaqee'n Kerna, 



Waerna Aik Jumla.. Koi Kitni Baar 

Duhraaye, 


Kahay Jaye, Nahi Sunnuna, Muhabbat Jhoot Hay Janaa'n, 



Ager Izhaar Ki Is Ko Zaroorat Ho...!!



Yehi Wahda Liya Tha naa


Yehi Wahda Liya Tha naa ..! ..


Hamesha khush hi rehna hai.. ..



To dekho, dekh lo aa kar.. ..



Meri ankhon ko dekho tum, ..



Yeh kitni shokh lagti hain... ..



Mere honton ko dekho tum, ..



Hamesha Muskuraty hain... ..



Koi b ghum agar aaya, ..



Usay hans kar saha main ne... ..



Mere chehray ko dekho tum, ..



Hamesha pur-sukoon ho ga ! ..



To socho gay ..? ..



Kiya tha main ne jo tum se, ..



Wo wada ker diya poora...!!!



MAGAR Ik baat hai HamDam!! ..



Kabhi jo waqt mil jaye, ..



To meri shairi parhna... ..



Tumhain mehsoos to hoga,



Kahin talkhi bhara jumla... ..



Kahin ye sard sa lehja, ..



Kahin par dard ki jheelain... ..



Kahin lehjay ki karrwahat,



Suno....!!!



Main khush to hoon lekin, ..



Lahoo har lafz rota hai....



Lahoo har lafz rota hai..!!!



ik nazuk si larki taqdeer sey larr rahi hai



ik nazuk si larki taqdeer sey larr 
rahi hai
apnay bikhray khwaboN k raizay 
chuntay


dil mein ro rahi hai uss ki khata 

yeh hai k woh apnay dil mein kissi ko 
dhadkan ki tarah basa chuki hai jo 
bina sochay samjhay hi apni qismat 
aazma chuki hai ik khush kin 


ehsaas k tabay aankhoN mein kuch 

sapnay saja chuki hai woh dheeray dheeray sulag rahi hai


woh roz jeeti hai, roz marti hai lekin! 

uss k apnay uss ki kafiyat sey bey 
khabar hain wo uss 


ki chup ko, uss ki udaas masoom 

aankhoN ko bes uss mein ik "change" samjhtay hain


aye Kaash!



woh larki itni to bey bas naa hoti ussey 

itna to haq milta woh apni zindagi apni 
marzi sey 


guzar sakti lekin hayrat hai k aaj k dour 

mein bhi yeh sab sirf socha hi jaa sakta 
hai....!!!


jisay woh chahti hai mil jaaye to moujza

naa milay to taqdeer hai woh pagal abhi 


bhi akeli kharri yehi soch rahi hai k....!



iss baar jeet kis ki ho ghi moujzay ki ya 

qismat  ki..........???




Hansi ko main sun ek bar chonk utha



Hansi ko main sun ek bar 

chonk utha 

Yah mujh main dukh chhupaane 
ka kamaal kaisey aa gaya....!




Teri Yaad kA DiyA Abhi Tak Merey diL MAin rOshAn Hey


[ ReQuest ]


Teri Yaad kA DiyA 

Abhi Tak Merey diL MAin  rOshAn Hey


Suno. . . . !!!



Iski LOO Madham Honay Sey Pehlay 

Meri Annkhain Be'noor Honay Sey Pehley


Tum LAut AOoo. . . . /




Naseeb k khel ko ajeeb tarha se khela hai hum ne,



Naseeb k khel ko 

ajeeb tarha se khela hai hum ne,


jo na tha nnaseeb main

usay hi toot ker chah bethy..



Tumharay raah badalney ki baat kis se karon


Tumharay raah badalney ki baat 

kis se karon
mein apnay khawb bikharnay ki 
baat kis se karon


abhi wo jaan-e-ghazal duur hai 

nighahon se
abhi mein jaan se guzernay ki baat 
kis se karon


abhi to hijer ki taarikiyaan hain 

chaaron taraf
abhi mein chand nikalnay ki baat 
kis se karon


abhi to apnay ghamo se nidhaal 

hain sabhi
abhi mein teray bicharney ki baat 
kis se karon...



Tanha rehna seekh raha hoon


Tanha rehna seekh raha hoon
Mar kay jeena seekh raha hoon


Mang kay pana seekh liya... hai

Pa kay khona seekh raha hoon


Sabar ko zad-e-rah bana kar

Kanch pay chalna seekh raha hoon


Phirtay, phirtay sehra, sehra

Pyaas ko peena seekh raha hoon


Marham to rakhna na aaya

Zakhm khoorachna seekh raha hoon


Jeenay kay hain ajab taqazay

Zinda rehna seekh raha hoon


Madhooshee nay bohat sataaya

Hosh main rehna seekh raha hoon


Barson guzray phir bhi ab tak

Maan say bichcharna seekh raha hoon


Dar kar zehar kay pyaalay say

Such ko chupaana seekh raha hoon


Rotay rotay auron par

Khud pay hasna seekh raha hoon


Ghum nay mujh ko bohat hai khaya

Ab gham khana seekh raha hoon


Is pay hairan hotee hoon

Kartab, kya kya seekh raha hoon


Mang kay pana seekh liya hai

Pa kay khona seekh raha hoon


Sabar ko zad-e-rah bana kar

Kanch pay chalna seekh raha hoon...


[ Dil Ki Moat ]




[DiL KI MOAT]


Jisam ki moat tu sabhi roty hain 


marny walon k piyaron se milty hain


un ki dil jooi karty hain.....sun0.....???



mera dil mar geya hy es ka matam karo



mere sath bahain dalo mujhe dilasa do k



jisam ki moat itni khatan nahi jitni dil ki



tum ny kabi sahii hy......??





Monday, 4 March 2013

Haan mujhy rasm'e Muhabbat ka saliqa hi nahi

 
Haan mujhy rasm'e Muhabbat 
ka saliqa


hi nahi,, jaa...!! kisi aur ka hony 

ki ijazaat hy tujhy,,,,,


Khaany ko dard peeny ko gham


Khaany ko dard peeny ko 
gham waafir


milta hy....!!!!  phir bhi na jany 

sehat kyun girti ja rahi hy,,,,,,


Aashiqon ne diya hai tujhe muqaam ghazab ka



Aashiqon ne diya hai tujhe muqaam ghazab

ka warnaa'' Ay Muhabbat teri do kori ki bhi

ouqaat nahi...{}

Ay Masrufyat se wa'basta yaaroo0



Ay Masrufyat se wa'basta yaaroo0,,


Aik baat to batao0..................???



janaaze mein shirKat to karo gy na 



mere,,,,,,+




Jaaty jaaty wo kis Liye paLta..


Jaaty jaaty wo kis Liye 
paLta...??


ab staaye ga ye sawaL 

mujhE....



Acha howa '' k tum kisi or ke ho gai



Acha howa '' k tum kisi or ke 
ho gai......


khatam to hui fikar tujhe apna 

banane ki,,






Kaya phir sey nahi ho sakta



Kaya phir sey nahi ho sakta......?



hum jAAn mangein or tum laga k



galey se kahoo or kuch....../// 




Suljha hUa sa faRd samajty hain fard mujh ko..



Suljha hUa sa faRd samajty 

hain fard mujh ko..



uljHa hUa sa mUjh main k0i 

do0sra bhi hy..../