widget

Wednesday, 6 March 2013

Ik pagal Sa Larka Tha Apnay Aap Main Gum Sum Sa



Ik pagal Sa Larka Tha Apnay Aap 
Main Gum Sum Sa Zakham Milay 
Tu Bhi Muskata Rehta Tha


Logon Pe Aitbaar Ker K Us Ne Bohat 

Dhokay Khaay Jitnay Bhi Dost Milay 
Sabb Ne Usay Zakham Lagaay


So Sabb Se Door Khawab Nager 

Main Us Ne Apni Dunia Basa Li 
Apni Jannat,Apna Dozakh,Apnay 
Log Apnay Dukh Apnay Aap Se 
Kehta Tha


Sabb K Dukh Apnay Dukh Samjhta 

Tha Sabb Main Apni Khushian 
Baant'ta Rehta Tha

Us Ki Dunia Main Hawass Ka Ziker 
Na Tha


Us Ki Dunia Main Dolat Ki Perwa 

Na Thi Us Ki Dunia K Khushboo Jesay 
Log Thay Us Ki Dunia Main Naferton 
Ki Hawa Na Thi Phir Jaanay Us 
Pagglay Ko Kis Ki Nazer 
Lagi


Us Ko Bhi Ik Chaand Nager Ki 

Raani Se Muhabbat Ho Gayee Us Ki 
Apni Dunia,Takht-O-Taaj Chaahat 
Aag Main Jall Gay


Us Ki Dunia Ujer Gayee Us Ne 

Chanda Raani Ko Paana Chaaha Tu 


Us Ki Hasti Bikher Gayee Zaat Paat K

Pujaarion Ne Jhooti Dunia K Shaahon 
Ne Us K Dil Ko Rooh-O-Jigar Ko 
Zakham Zakham Kia


Us Ki Muskaan Chheen Li Suna Hay 

Us Ne Muhabbat Per Sabb Tann 
Mann Dhann Waar Dia Tha Raah-E-
Wafa Main Naam-E-Wafa Per Apna 
Sabb Kuchh Haar Dia Tha


Per Dunia Ne Us Ko Gham K Siwa 

Kuch Na Dia Phir Us Ne Marr Jana 
Chaaha Per Mout Na Maani So Suna 
Hay Abhi Bhi Kisi Laash Ki Maan'nad 
Zinda Hay


Abhi Bhi Khokhlay Qehqahay Lagata 

Hay Aur Raat Ko Sab Se Chhup Ker 
Chaand K Sath Mil Ker Aansoo 
Bahaata Hay


Suna Hay Aajkal Us Ko Muhabbat Se

Nafrat Ho Gayee Hay
Apni Dunia Alag Se Banaanay Ki Soch 
Raha Hay Phir Se Apni Dunia Main 
Jaanay Ki Soch Raha Hay


So Sab Chaahnay Walo Dua Kero Ye 

Pagla Sa Larka Jis Ko Jhooti Dunia Ne 
Masoom Natt Khtt Larkay Se Bikhera 
Toota Aadmi Bana Dia


Jis K Khawab Nager Ko Jala Dia 

Phir Se Apni Dunia Basanay Main 
Kamyab Ho Jay 

Apni  Masti Main Kho Jay Phir 
Chaahat Rog Ko  Bhula De Is Sog Ko 
Bhula De,,,,



No comments:

Post a Comment