Sunday, 21 September 2014
Friday, 19 September 2014
Wednesday, 3 September 2014
Taaza hain abhi yaad mein
Taaza hain abhi yaad mein,
ai saaqi-E-gulfaam
wo aks-e-rukh-e-yaar se lahke
hue aiyaam
wo phuul si khilti huii deedaar
ki saa'at vo dil sa dhadak'ta hua
ummid ka hangaam
ummid ki lo jaaga gham-E-dil
ka nasibaa lo shauq ki tarsi hui
shab ho gayi aakhir
lo duub gaye dard ke be-khwaab
sitaare ab chamkega be-sabr
nigaahon ka muqaddar
is baam se niklega tere husn ka khursheed
us kunj se phutegi kiran
rang-E-hina ki is dar se bahega
teri raftaar ka simaab
us raah pe phuulegi shafaq teri
qaba ki Phir dekhein hain wo hijr
ke tapte hue din bhi
jab fikr-E-dil-O-jaan mein
fughaan bhuul gayi hai
har shab vo siyaa bojh ki dil
baith gaya hai
har subh ki lau teer si seene mein
lagi hai tanhaai mein kya kya na
tujhe yaad kiya hai
kya kya na dil-E-zaar ne dhundi
hain panaahein aankhon se lagaya
hai kabhi dast-E-saba ko
Daali hain kabhi gardan-E-mehtaab mein baahein
----
Chaha hai isi rang mein laila-E-
watan ko tadpa hai isi taur se dil
uski lagan mein
dhundi hai yuun hi shauq ne
aasaa'ish-E-manzil rukhsaar ke
kham mein, kabhi kaakul ki
shikan mein
us jaan-E-jahan ko bhi yun hi
qalb-O-nazar ne hans-hans ke
sada di, kabhi ro ro ke pukara
poore kiye sab harf-E-tamanna
ke taqaaze har dard ko ujyaala,
har ek gham ko sanwara
wapas nahin phera koi farmaan
junuun ka tanha nahin lauti kabhi
aawaz jaras ki
khairiyat-E-jaan, raahat-E-tan,
sehhat-E-daaman
sab bhuul gayin maslahatein
ahl-E-hawas ki
is raah mein jo sab pe guzarti hai
wo guzri tanha pas-E-zindaan,
kabhi ruswa sar-E-baazaar
garze hain bahut sheikh sar-E-
goshaa-E-minbar karke hain
bahut ahl-E-hukm bar sar-E-
darbaar
chhoda nahin ghairon ne koi
naavak-E-dushnaam
chhuti nahin apnon se koi
tarz-E-malaamat
is ishq na us ishq se naadim hai
magar dil
har daagh hai is dil mein ba-juz
daagh-e-nadaamat...
Jis ki jhankaar mein dil ka aaraam tha
Jis ki jhankaar mein dil ka
aaraam tha woh tera naam tha,
mere honthon pe raqsaan jo
ek naam tha woh teraa naam
tha
Mujh se mansoob thi daastaanen
kayi ek se ek nayi,
khubsoorat magar jo ek ilzaam
tha woh tera naam tha.
Kaise karta kisi aur ki guftagu
yaad tha sirf tu,
mujh ko mere junoon ka jo
inaam tha woh tera naam tha.
Subh se shaam tak jo mere paas
thi woh teri aas thi,
shaam tak jo kuchh lab-e-baam
woh tera naam tha.
Dost jitne the na-aashna ban
gaye paarsa ban gaye,
jo mere saath ruswa sar-e-aam
tha woh tera naam tha.
Ghum ne taarikiyon mein
uchhaala mujhe maar daala
mujhe,
ek nayi chaandni ka jo paigham
tha woh tera naam tha.
Tere hi dum se hai ye ‘qateel
aaj bhi shairy ka wali,
uss ki ghazlon mein kal bhi jo
ilhaam tha woh tera naam tha. !!
Tuesday, 2 September 2014
Monday, 1 September 2014
Meray dil kaa ayena bikhra hua
Meray dil kaa ayena bikhra hua,
toota hua!
iss main tujh ko aye gaa ab
nazar kiya?
main to dorra thaa teri talash
main
yay kahaan aya hoon? mujh ko
khabar kiya?
chahtoon ke beech main hain
faslay
chahtoon kaa ho gea hay hashar
kiya?
ab raha jaata nahi, bolloon gaa
main
taa abad karna parray gaa sabar
kiya?
chahta thaa piyar kee barish
teri
mujh say hee rootha hua hay
abr kiya?
teri mehfil main sabhee
puhanchay huay
mujh pay hee chalta hay tera
jabr kiya?
aakhri moqqa hay milnay
kaliay
dekhain piyar kee hay qadr
kiya?
Lagta Hai Kabhi Kabhi De Raha Hai Koi Dastakein
Lagta Hai Kabhi Kabhi De
Raha Hai Koi Dastakein,
Toota Kiska Dil Kiski Aah
Ban Gayee Dastakein,
Humse Kya Poochte Ho
Jamane Ki Wahshay Ke Nisaan
Suno Un Khandaron Mein
Kya Keh Rahi Hain Dastakein,
Hum Bhi Hue Hain Apni
Garj Ke Deewane Eay
Garjmandon Humen Dekh
Kar Sote Hue Kafan Se Laut
Gayee Dastakein,
Ab Chale Tere Ujalon Se
Nihaar Ke Bajam E Khushi
Andheron Se Hawayen Lekar
Aa Gayee Dastakein,
Kyun Itne Gum Lekar Chalte
Ho Sar E Bazar
Chupana Dushwaar Palkon
Par Askon Ki Jo Hui Dastakein,
Tujhse Bhi Ho Khafa Ye
Malamat Hai Hum Par
Ye To Chahre Pe Dard Ki
Ubhar Aayee Dastakein,
Tum Ro Rahe Ho Apni
Mayoosiyon Ko Doston
'Khushboo' E Jahan Ki Aahen
Ban Gayee Dastakein...
Subscribe to:
Posts (Atom)
.jpg)


















