Taaza hain abhi yaad mein,
ai saaqi-E-gulfaam
wo aks-e-rukh-e-yaar se lahke
hue aiyaam
wo phuul si khilti huii deedaar
ki saa'at vo dil sa dhadak'ta hua
ummid ka hangaam
ummid ki lo jaaga gham-E-dil
ka nasibaa lo shauq ki tarsi hui
shab ho gayi aakhir
lo duub gaye dard ke be-khwaab
sitaare ab chamkega be-sabr
nigaahon ka muqaddar
is baam se niklega tere husn ka khursheed
us kunj se phutegi kiran
rang-E-hina ki is dar se bahega
teri raftaar ka simaab
us raah pe phuulegi shafaq teri
qaba ki Phir dekhein hain wo hijr
ke tapte hue din bhi
jab fikr-E-dil-O-jaan mein
fughaan bhuul gayi hai
har shab vo siyaa bojh ki dil
baith gaya hai
har subh ki lau teer si seene mein
lagi hai tanhaai mein kya kya na
tujhe yaad kiya hai
kya kya na dil-E-zaar ne dhundi
hain panaahein aankhon se lagaya
hai kabhi dast-E-saba ko
Daali hain kabhi gardan-E-mehtaab mein baahein
----
Chaha hai isi rang mein laila-E-
watan ko tadpa hai isi taur se dil
uski lagan mein
dhundi hai yuun hi shauq ne
aasaa'ish-E-manzil rukhsaar ke
kham mein, kabhi kaakul ki
shikan mein
us jaan-E-jahan ko bhi yun hi
qalb-O-nazar ne hans-hans ke
sada di, kabhi ro ro ke pukara
poore kiye sab harf-E-tamanna
ke taqaaze har dard ko ujyaala,
har ek gham ko sanwara
wapas nahin phera koi farmaan
junuun ka tanha nahin lauti kabhi
aawaz jaras ki
khairiyat-E-jaan, raahat-E-tan,
sehhat-E-daaman
sab bhuul gayin maslahatein
ahl-E-hawas ki
is raah mein jo sab pe guzarti hai
wo guzri tanha pas-E-zindaan,
kabhi ruswa sar-E-baazaar
garze hain bahut sheikh sar-E-
goshaa-E-minbar karke hain
bahut ahl-E-hukm bar sar-E-
darbaar
chhoda nahin ghairon ne koi
naavak-E-dushnaam
chhuti nahin apnon se koi
tarz-E-malaamat
is ishq na us ishq se naadim hai
magar dil
har daagh hai is dil mein ba-juz
daagh-e-nadaamat...
No comments:
Post a Comment