Monday, 22 April 2013
Sunday, 21 April 2013
Friday, 19 April 2013
Wednesday, 17 April 2013
Tuesday, 9 April 2013
Jab tu meri aagosh maiN hoti hai
Jab tu meri aagosh maiN hoti hai Teri
admundhi aankhain Teray laraztay huay
hoNt..
Daitay hain bahut si ankahi baatoN ka
pataa Teray jism ki haraarat UnglioN ki
shraarat..
NihaaN jaanay kitnay maikhaanoN ka
nashaa Jhatak kar khol daiti ho..
Jab tum ghanay syaah gaisu Aur bar jataa
hai un paloN ka khumaar..
Phir shiddat say woh jazba Hai rooh tak mehsoos hotaa
Kartay hain jism jab us pyaar ka izhaar
Purmaaeni ho jaati hai meri hayaat Hoti
hai beshak mukhtsar si hamari mulakaat
Jab tu meri aagosh maiN hoti hai....!
Sach.......!Meri zad maiN hoti hai jaisay
saari qaaynaat...*
__________________
Suno! Main thak gaya hoon
Main thak gaya hoon
Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray
khawaab jaltay hain
khawaab jaltay hain
Meri neendoon main tairay wasl ka
raisham ulajhta hai
raisham ulajhta hai
Mairay ansoo mairay chehray pe
tairay ghamm ko likhtay hain
tairay ghamm ko likhtay hain
Mairay ander kai sadiyun ke
sannatoon ka daira hai
sannatoon ka daira hai
Maiary alfaaz baahain wa kiya mujh
ko bulatay hain
ko bulatay hain
Mager main thak gaya hoon
Aur main ne khamashi ki goad
main sir rakh dia hai
main sir rakh dia hai
Main baloon main
Tumharay hijr ki narm ungliyan
mehsoos kerta hoon
mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab
hain ab raakh ki soorat
hain ab raakh ki soorat
Tumharay wasl ka raisham bhi ab
neendain nahin bunta
neendain nahin bunta
Mairi aankhon main jaisay THAR
kay mausam ka basaira hai
kay mausam ka basaira hai
Mujhay ander ke sannatoon main
gehri neend aai hai
gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay
de...!!!
de...!!!
Meri Ankhain Musalsal Beh Rahi Hain
Meri Ankhain Musalsal Beh Rahi Hain
Mera Dil Jaise Chalni Hogea Hai
,,
Meri Himmat Kuch Aise Kam Hoi Hai
Keh Her Umeed Jaise Kho Gai Hai
,,
Wo Sare Raste Tha Jin Pe Chalna
Wo Jin Pe Tha Her Ik Manzil Ko Milna
,,
Wo Jinpe Tha Sabhe Phoolon Ko Khilna
Daf'atan Sare Banjar Hogae
,,
Meri Tadberain Ulti Hogai Hain Qadam
Jaise Shikasta Hogae Hain
,,
Fizza Main Ab Kuch Aisa Habs Sa Hai
Keh Mera Saans Lena Bhe Saza Hai
,,
Mere Atraaf Mai wo Teergi Hai Keh Sab
Kuch Ankh Se Ojhal Hoa Hai
,,
Nahi Yaaro Puraana Rog Koi Abhi Pichle
He Pal Ka Waqea Hai Meri Qismat Ka
Taara Kho Gaya Ha...!!
Sunday, 7 April 2013
Tumhara khat mila jana!! Wo jis mein tum ne poocha hai
Tumhara khat mila jana....!!
Wo jis mein tum ne poocha hai Kay aab
halaat kaise hainn Mere din raat kaise
hain...
Mehrbani tumhari hai kay Tum ne is
tarhan mujhe se Mere halat pooche hain
Mere din raat pooche hain...Tumhein sab
kuch bta don ga''
Mujhe itna bta do kay Kabhi sagar kinare
per Kisi machali ko dekha hai Kay jis ko
lehrain pani ki kinare tak to lati hain''
Magar phir chorr jati hain' Mere halat
asey hain Mere din raat asey hain''
Ladkiya Bewafa Nahi Hoti
Ladkiya Bewafa Nahi Hoti...
Woh hamesha darti rehti hai Majbooriyo
se lipti rehti hai Apne shiddat bhare
khayaalo main..
Aansuo ko bahaati rehti hai Ladkiya
Bewafa nahi hoti...
Naa to jeeti hai naa to marti hai Pyaar
karti bhi hai, to chupaati hai''Dil main
hote hai laakho armaaan..
Magar zubaan se kuch na wo kehti hai
Ladkiya Bewafa nahi hoti...
Darti hai apne reeti aur riwaajo se Apne
pyaar se aur apne saaye se Apne rishton se
aur apne dil ki dhadkan se,,
Apni khwahisho se aur apni khushiyo se
Ladkiya Bewafa nahi hoti...
Duaa hai meri allah se, mere Rab se Mile
saari khushiya inko, hum sab se Inki dil ki
har aarzoo puri ho Naa Jaane khadi hai tere
dar par kab se
Ladkiya Bewafa nahi hoti.. . . !
Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi hai
Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi
hai Bichharnay wala shreek-e-safar to ab
bhi hai..
Hzaar waqt ne deewar-e-hijr utha di
magar Khyal-e-yar mera hum safar to ab
bhi hai..
Magar yeh kaon badalti hui ruton se
kahay Shajar me saiyah nahi, shajar to
ab bhi hai..
Muhabten hain muatbar agar to phir ik
shakhs Muhabton ki tarha muatbar to ab
bhi hai..
Zuban breedah sahi, khzaan raseedah sahi
Hara bhara mera zakhm-e-hunar to ab bhi
hai..
Humari darBadri pe na jaiay k humen
Shaur-e-saiyah deewar-o-dar to ab bhi hai..
Suno acha nahi lagta
Suno acha nahi lagta.!
Kare jb tazkara koi kare jb tabsara koi
tumhari zaat ko khojy tumhari bt ko
sochy mjy acha nahi lagta suno acha
nahi lagta!
Tumhari muskurahat par hazaro log
marty ho
tumhari aik ahat par hazaro dil darakty
ho kesi ka tum py mar jana mjy acha
nahi lagta
suno acha nahi lagta. . . .!
Friday, 5 April 2013
Subscribe to:
Posts (Atom)