Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi
hai Bichharnay wala shreek-e-safar to ab
bhi hai..
Hzaar waqt ne deewar-e-hijr utha di
magar Khyal-e-yar mera hum safar to ab
bhi hai..
Magar yeh kaon badalti hui ruton se
kahay Shajar me saiyah nahi, shajar to
ab bhi hai..
Muhabten hain muatbar agar to phir ik
shakhs Muhabton ki tarha muatbar to ab
bhi hai..
Zuban breedah sahi, khzaan raseedah sahi
Hara bhara mera zakhm-e-hunar to ab bhi
hai..
Humari darBadri pe na jaiay k humen
Shaur-e-saiyah deewar-o-dar to ab bhi hai..
No comments:
Post a Comment