Main thak gaya hoon
Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray
khawaab jaltay hain
khawaab jaltay hain
Meri neendoon main tairay wasl ka
raisham ulajhta hai
raisham ulajhta hai
Mairay ansoo mairay chehray pe
tairay ghamm ko likhtay hain
tairay ghamm ko likhtay hain
Mairay ander kai sadiyun ke
sannatoon ka daira hai
sannatoon ka daira hai
Maiary alfaaz baahain wa kiya mujh
ko bulatay hain
ko bulatay hain
Mager main thak gaya hoon
Aur main ne khamashi ki goad
main sir rakh dia hai
main sir rakh dia hai
Main baloon main
Tumharay hijr ki narm ungliyan
mehsoos kerta hoon
mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab
hain ab raakh ki soorat
hain ab raakh ki soorat
Tumharay wasl ka raisham bhi ab
neendain nahin bunta
neendain nahin bunta
Mairi aankhon main jaisay THAR
kay mausam ka basaira hai
kay mausam ka basaira hai
Mujhay ander ke sannatoon main
gehri neend aai hai
gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay
de...!!!
de...!!!
No comments:
Post a Comment