Mohabbat beqarari hai ye nuska
azmuda
hai bauhat logon ne is nuskhe ki
Aadat paal rakhi hai.,.
kisi shaa'ir ne de dala isse ism'E
ibadat hai kisi shaa'ir ka kehna hai
ke ye saamaan'E raahat hai.,.
kisi ny ye bhi keh dala ke do jismon
mein ek ruhh hai kisi ny ye bhi likha
hai ke ye ek Amr'E Qudrat hai.,.
kisi ne isko khushbu ka diya hai
naam pall bhar mein yahan tak ke
jisse bhi lafaz milte hain wohi azhaar
karta hai
Main khud Taa'eed karta hun
bauhat unke nazaryon ki magar meri
nazar mein to aziyyat ka saamaan hai
ye yahaan per rog palte hain.,.
Suno.........!!!
Asia jahaan hai ye Mayaad'E hum
mizaji bhi bauhat hai mukhtasir iski.,.
Hai jiski intahaa is mein hai buss wo
Aabalaa paaii.,.
Mera to ye nazariya hai mera to
tajurba hai
Muhabbat beqarari hai ye nuskha
aazmuda hai.....!!
No comments:
Post a Comment