Woh Janti Thi Wafaa Ka Ajar
Nahi Hota
Muhabaton Main Sabar Ka Samar
Nahi Hota
Woh Janti Thi Muhabat Dukhon
Ka Sehraa Hay Jehan Serab Si
Khushyan Hain
Aur Azaab Say Ghum Jehan Hay
Pyaas Judaai Ki Betahasha
Magar Milan Ki Barishain Hoti Hain
Jis Dyar Main Kam Woh Janti Thi
Muhabat Khiraj Mangti Hay Woh
Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya
ho Andheri Rah Kay Lya Woh Chiragh
Mangti Hay
Woh Janti Thi Muhabat Woh Rehguzar
Hay Jehan Bichay Hain Kaanch Judai
Kay
Beshumar magar Brehna-pa hi Inhain
Paar Kerna Perta Hay
Ghemon Ki Dhoop Main Jab Saibaan
Koi Na Ho Kisi Ki Yaad Ki Chader Ko
Taan Ker Khud Per Tamam Aahain
Deba Ker Guzerna Perta Hay
Woh Janti Thi Wafa Ka Ajar Nahi
Hota Muhabaton Main Saber Ka
Samer Nahi Hota
Hijer Ki Rah Main Hoti Hay
Betahashah ghutan
Wehan Kebhi Bhi hawa Ka Guzer
Nahi Hota
Woh Janti Thi Magar Phir Bhi
Roag Lay Bethi Kisi Kay Pyar Main
Janay Kun Joag Lay Bethi
Woh Janti Thi Magr Phir Bhi....?????
No comments:
Post a Comment