Saturday, 25 October 2014
Tuesday, 21 October 2014
kabhi yaad aao to is tarah
kabhi yaad aao to is tarah
ke lahoo ki saree tamaazateN
tumhaiN dhoop dhoop sameT leN
tumhaiN rang rang nikhar deN
tumhaiN harf harf sooch leN
tumhaiN dekhne ka jo shauk ho
to diyaar-e-hijar ki teergi ko'mijah
ki nok se nooch leN
kabhi yaad aao to is tarah
ke dil-o-nazar meN utar sakoon
kabhi had se habs-e-junooN
badh rhey...
to havaas banke bikhar sako
kabhi khul sako shab-e-vasal
meN kabhi Khoon-e-dil meN
sanvar sako
sar-e-rehguzar jo milo kabhi..
na Thehar sako, na guzar sako
mera dard phir se Ghazal baney..
kabhi gungunaoo to is tarah
mere zaKhm phir se gulaab hoN.
kabhi muskuraoo to is tarah..
meri DhadkaneN bhi laraz utheN
kabhi chot khaoo to is tarah.
jo nahi to phir bade shouq se
sabhi rabtey sabhi zaabtey
kabhi dhoop chaaoN main tod do
na shikast-e-dil ka sitam sahoo
na suno kisi ka azaab-e-jaaN
yooNhi Khush phiroo,
yooNhi Khush raho..
na ujar sakeN na sanvar sakeN
kabhi dil dukhaoo to is tarah..
na simaT sakeN na bikhar sakeN
kabhi bhool jao to is tarah..
kisi taur jaaN se guzar sakeN
kabhi yaad aoo to is tarah...
Monday, 20 October 2014
Tumhe kisne kaha tha ye
Tumhe kisne kaha tha ye....
Kisi sunsaan raste par
Kisi anjaan chehre se
Zara si aashnai ko,
Bahut hi khaas likh dalo
Kahin do ,char baton ko
Bahut pyara sa tum dilkash
Haseen ehsaas likh dalo
Tumhe kisne kaha tha ye.....
Suno ae mom ki gudiya
Ab is daur ke andar
Koi majnu nahi banta
Koi ranjha nahi hota..
Qadam do char chalne se
Safar sanjha nahi hota
To in bekaar sochon pe
Suno ! rone ka dar kaisa
Jise paya nahi tumne
Use khone ka dar kaisa..!
Saturday, 18 October 2014
Mohabbat Hai Mujhe Tum Se
Mohabbat Hai Mujhe Tum
Se,Bas Itna Janta Hun Main,
Ye Kya Hai? Kyun Hai? Kaisey
Hai.?
Bataon Kis Tarha Tum Ko.?
Chalo Socho Agar Main Tum Se,
Ye Poochun Kisey Kehtay Hain
Be-Chaini.?
Agar Koi Makeen Dil Ka,
Chala Jaye Kaheen Kuch Din,
To Neendein Kyun Nahi Aateen.?
Kabhi Jo Baat Na Ho To Ye
Saansen Kyun Nahi Aateen.?
Koi Jo Dost Pyara Ho Agar Wo
Rooth Jaye To,
Hansi Phir Kyun Nahi Aati.?
Chalo Itna Bata Do Tum,
Nikaalain Machli Pani Se,
To Zinda Kyun Nahi Rehti.?
To Phir Tum Ko Bataon Ga,
MOHABBAT KAISAY HOTI
HAI...
Wednesday, 15 October 2014
Saturday, 11 October 2014
Friday, 10 October 2014
Mujhe na saans ati hai
Mujhe na saans ati hai,
Na mera damm nikalta hai,
Magar yeh beech ka aalam,
Bohat takleef deta hai,
Mujhe andar nigalta hai,
Na saahil par pattakta hai,
Bikharna yun samandar ka,
Bohat takleef deta hai,
Jo tum bolo bikhar jayen,
Jo tum bolo sanwar jayen,
Magar yun tootna jurrna,
Bohat takleef deta hai..
Tuesday, 7 October 2014
Monday, 6 October 2014
Sunday, 5 October 2014
Friday, 3 October 2014
Wednesday, 1 October 2014
Chaahat ke subH-o-shaam, muHabbat ke raat din
Chaahat ke subH-o-shaam,
muHabbat ke raat din
"dil DhuuNDtaa hai phir wohi
fursat ke raat din"
woh shauq-e-be.panah meN
alfaaz ki talaash
izhaar ki zubaan meN luknat
ke raat din
woh ibtidaa-e-'ishq , woh
aaGhaaz-e-shaa'irii
woh dasht-e-jaaN meN pehli
musaafat ke raat din
saudaa-e-Aazari meN
hawaa-e-sanamgarii
woh but- parastiyoN meN
'ibaadat ke raat din
ruu-e-nigaraaN-o-chashm-e-
GhazaloN ke tazkire
gaisu-e-yaar-o-Harf-o-
Hikaayat ke raat din
naakardah-kaariyoN pe
bhi bad-naamiyoN ka sho'r
aKhtar shumariyoN pe bhi
tuhmat ke raat din
Meer-o-Anees-o-Ghalib-o-
Iqbal se alag
Raashid, Nadeem, Faiz se
raGhbat ke raat din
Shelly ka seHr, Keats kaa
dukh, Byron ki dhaj
inn kaafiraan-e-'ishq se nisbat
ke raat din
jaise mae-e-suKhan se suraahi
bharii hu'ii
zor-e-bayaan-e-Husn-e-
tabee'at ke raat din
rakh kar kitaab-e-aql ko
nisiyaaN ke taaq par
woh aashiqii meN dil ki
Hukuumat ke raat din
har roz, roz-e-abr thaa,
har raat chaand raat
azaad zindagi thii, faraaGhat
ke raat din
ik raazdaar-e-Khaas ko har
waqt DhuuNDna
be-a'itbaariyoN meN zaruurat
ke raat din
woh har kisi se apna hi
aHwaal puuchhnaa
apne se bhi tajaahul-e-Ghaflat
ke raat din
ik dushman-e-wafaa ko
bhulaane ke waaste
chaarah-garooN ki pand-o-
naseeHat ke raat din
pehle bhi jaaN-gusil thay,
magar iss qadar nah thay
ik shehr-e-be.amaaN meN
sukuunat ke raat din
phir yeh hu'a kih shewah-e-
dil tark kar diyaa
aur taj diye thay ham ne
muHabbat ke raat din
fikr-e-mu'aash, shehr-
badar kar gayii hameN
phir ham thay aur qalam
ki mashaqqat ke raat din
phirte thay Mir Khwaar ko'ii
puuchhtaa nah thaa
qismat meN jab talak thay
qanaa'at ke raat din
nau-waaridaan-e-shehr-e-
tamanna ko kyaa Khabar
ham saakinaan-e-kuu-e-
malaamat ke raat din
Subscribe to:
Posts (Atom)