Chaahat ke subH-o-shaam,
muHabbat ke raat din
"dil DhuuNDtaa hai phir wohi
fursat ke raat din"
woh shauq-e-be.panah meN
alfaaz ki talaash
izhaar ki zubaan meN luknat
ke raat din
woh ibtidaa-e-'ishq , woh
aaGhaaz-e-shaa'irii
woh dasht-e-jaaN meN pehli
musaafat ke raat din
saudaa-e-Aazari meN
hawaa-e-sanamgarii
woh but- parastiyoN meN
'ibaadat ke raat din
ruu-e-nigaraaN-o-chashm-e-
GhazaloN ke tazkire
gaisu-e-yaar-o-Harf-o-
Hikaayat ke raat din
naakardah-kaariyoN pe
bhi bad-naamiyoN ka sho'r
aKhtar shumariyoN pe bhi
tuhmat ke raat din
Meer-o-Anees-o-Ghalib-o-
Iqbal se alag
Raashid, Nadeem, Faiz se
raGhbat ke raat din
Shelly ka seHr, Keats kaa
dukh, Byron ki dhaj
inn kaafiraan-e-'ishq se nisbat
ke raat din
jaise mae-e-suKhan se suraahi
bharii hu'ii
zor-e-bayaan-e-Husn-e-
tabee'at ke raat din
rakh kar kitaab-e-aql ko
nisiyaaN ke taaq par
woh aashiqii meN dil ki
Hukuumat ke raat din
har roz, roz-e-abr thaa,
har raat chaand raat
azaad zindagi thii, faraaGhat
ke raat din
ik raazdaar-e-Khaas ko har
waqt DhuuNDna
be-a'itbaariyoN meN zaruurat
ke raat din
woh har kisi se apna hi
aHwaal puuchhnaa
apne se bhi tajaahul-e-Ghaflat
ke raat din
ik dushman-e-wafaa ko
bhulaane ke waaste
chaarah-garooN ki pand-o-
naseeHat ke raat din
pehle bhi jaaN-gusil thay,
magar iss qadar nah thay
ik shehr-e-be.amaaN meN
sukuunat ke raat din
phir yeh hu'a kih shewah-e-
dil tark kar diyaa
aur taj diye thay ham ne
muHabbat ke raat din
fikr-e-mu'aash, shehr-
badar kar gayii hameN
phir ham thay aur qalam
ki mashaqqat ke raat din
phirte thay Mir Khwaar ko'ii
puuchhtaa nah thaa
qismat meN jab talak thay
qanaa'at ke raat din
nau-waaridaan-e-shehr-e-
tamanna ko kyaa Khabar
ham saakinaan-e-kuu-e-
malaamat ke raat din
No comments:
Post a Comment