kabhi yaad aao to is tarah
ke lahoo ki saree tamaazateN
tumhaiN dhoop dhoop sameT leN
tumhaiN rang rang nikhar deN
tumhaiN harf harf sooch leN
tumhaiN dekhne ka jo shauk ho
to diyaar-e-hijar ki teergi ko'mijah
ki nok se nooch leN
kabhi yaad aao to is tarah
ke dil-o-nazar meN utar sakoon
kabhi had se habs-e-junooN
badh rhey...
to havaas banke bikhar sako
kabhi khul sako shab-e-vasal
meN kabhi Khoon-e-dil meN
sanvar sako
sar-e-rehguzar jo milo kabhi..
na Thehar sako, na guzar sako
mera dard phir se Ghazal baney..
kabhi gungunaoo to is tarah
mere zaKhm phir se gulaab hoN.
kabhi muskuraoo to is tarah..
meri DhadkaneN bhi laraz utheN
kabhi chot khaoo to is tarah.
jo nahi to phir bade shouq se
sabhi rabtey sabhi zaabtey
kabhi dhoop chaaoN main tod do
na shikast-e-dil ka sitam sahoo
na suno kisi ka azaab-e-jaaN
yooNhi Khush phiroo,
yooNhi Khush raho..
na ujar sakeN na sanvar sakeN
kabhi dil dukhaoo to is tarah..
na simaT sakeN na bikhar sakeN
kabhi bhool jao to is tarah..
kisi taur jaaN se guzar sakeN
kabhi yaad aoo to is tarah...
No comments:
Post a Comment