Abr-e-baran k irade bhi
pur-israr se hain,
Aaj barse gi ghata khul k,
ye asaar se hain...
Log aatey hain, thahertay
hain, chalay jatey hain,
Apnay halaat bhi ujray
huwe bazaar se hain...
Wo agar chahey to de
sharf-e-mulaqat mujhay,
Sab umeeden meri wabista
mere yaar se hain...
Ye zarori toh nahi, jeet
musarrat bakhshay,
Aisi khushiyan bhi hain,
milti’n jo sirf haar se hain...
Sar ba-kuf ho kay tere
koochay ko chal nikla hon,
Azm toh pakkay, Magar rastay
dushwar se hain…!!
No comments:
Post a Comment