widget

Friday, 21 March 2014

Boht sajaye they


Boht sajaye they aankho’n mein 
khuwab meine bhi
Sahay hain us k liye ye azab meine 
bhi. .

Judai’on ki khalish us ne bhi zahir na 
ki Chupaye apny ghum-o-iztaraab meine 
bhi. .

Diye bujhaye k sar-e-shaam so gaya tha 
wo Bitai so k shab-e-mahtaab meine bhi. .
Yehi nahi k mujhy us ne dard-e-hijr diya
Judai’on ka diya hai jawab meine bhi. .

Kisi ne khoon mein tar choori’an jo bheji 
hain Likhi hai khoon-e-jigar se kitaab 
meine bhi. .

Khiza’n ka waar bhi kaar’gar tha dil per 
magar Boht bacha kar rakha ye gulab 
meine bhi. . !


Gulshan parast hoon


Gulshan parast hoon mujhy 
gul hi nahi aziz
Kaanto’n se bhi nibah kiye ja 
raha hoon mein...


Kitni aasani se us ne


Kitni aasani se us ne likh diya
“jaan-e-man! Mehsoos mat karna 

Magar In dino’n beemar bhi hoon 
aur kuch haalaat bhi achy nahi
Raat din socho’n mein gum rehti hoon 
mein “Tum” rehti hoon mein

Ik guzarish hai bura mat manna
Mery khat aur meri tasweer’ain 
tamaam Mujh ko wapis bhej do 
Meri mangni honay wali hai,  boht 
majboor hoon”

Us ki tasweerain aur us k khat tamaam
Meine chun chun kar rawana kar diye
Us ne phir likha k sari zindagi
Apni tehreer’on, tasweer’on ki surat mein 
sadaa Ab tumhain dekhungi mein

Apni sanso’n k boht nazdeekh paungi 
tumhain Doosro’n k wastay mein bhool 
jaungi tumhain . . !

Guzray hain aaj ishq mein


Guzray hain aaj ishq mein 
hum us maqaam se
Nafrat si ho gai hai muhabbat 
k naam se. . !

Guzar gaya jo kai baar


Guzar gaya jo kai baar 
be-niazana. .
Wo shakhs bhi hai meri 
umer'E be’talab ki tarha. . !

Hamaray darmian qayam


Hamaray darmian qayam hai jo
Is rabt ko kia naam do gay tum?
Zara socho....!
Azal se hi zamana chahat’on k dard 
se na-aashna thehra

Lughat mein iski khushbu sa koi bhi 
lafz Shamil hi nahi jana
Ye jab chahay milan k rung mein

Aa kar judai ghol deta hai
Ujalay ko ye jab chahay siyah kar de
Sitar’on ko fana kar de
Muhabbat Saneha Kar De. . !

Muhabbat rut mein


Suno Jana....!
Muhabbat rut mein laazim hai
Boht ujlat mein ya takheer se wo 
marhala aaye Koi be-dard ho jaye

Muhabbat ki tamazat se boht 
bharpoor sa lehja Achanak sard ho 
jaye Gulabi rut ki chanchal oorhni 
bhi zard ho jaye

Tou aisy morr pe darna nahi, rukna 
nahi, ghabra nahi jana
Ghazab dhaati hui saffaak mojo’n se
Kisi bhi surkh toofan se

Dil ki kashti ko is pul se humain do 
chaar karna hai hamara ehed hai khud 
se Kisi bhi qeemat pe hum ko
SAMANDER PAAR KARNA HAI. . !

Husn hai zaat meri


Husn hai zaat meri ishq 
sifat hai meri
Hoon tou mein shama magr 
bhais hai parwanay ka. . !

Muhabbat mangny ki shae

                                

Muhabbat mangny ki shae nahi jo 
maang li jaye
Kisi ko kab kahan ye raas aai hai
Ye hum se aaj kehty ho

Suno Janaa’n! Tumhain bhi yaad to 
ho ga Yehi to ibtada mein hum bhi kehty 
thy Magar tum ne tou is ki khud nafi kar 
di thi pal bhar mein

Kaha tha us gharri tum ne Muhabbat 
mangny se mil bhi jati hai
Magar ye shart hai jo mangta ho dil se 
wo mangy

Aur hum ne akhir tum ko ye daulat sonp 
di lekin Wafa tum kar nahi paaye

Tum ab aaye ho barso’n baad Aur ye hum 
se kehty ho K hum tum ko bhula baithy
Tumhary khat jala baithy

Humain laazim tha ye, Ta umer baithy 
rasta taktay Gharri bhar ko nahi thaktay
Baja kehty ho, 

Such kehty ho, kab inkaar 
hai hum ko Suno hum thak gaye hongy. . !

Boht be-sakooni hai


Suno Janaa’n
Boht be-sakooni hai hamari zaat 
mein
Boht masroof rehna parr raha hai. .

Boht se kaam hain Jo apny zimmay ley 
rakhay hain Magar, inhi saray jhamelo’n 
mein Tumhari yaad ka wo aik jugnu, 

Ab chamkay to Ye aankhain bheeg jati 
hain Tumhari yaad k roshan sitaray 
timtimatay hain Tou dil bujh sa jata hai

Hawa ko sub pata hai Mery dil ki khabar 
hai Meri palkon k aansu
Khud mein jazb kar k num c ho jati hai. . !

Suno Janaa’n
Boht hi be-sakooni hai hamari zaat mein
Lekin Tumhain hum yaad karty hain
Tumhain ab bhi Boht hum pyar karty hain.

Hawas ko tum muhabbat


Hawas ki sab zabano’n per..
Dehekty khaar ugtay hain. . !
Hawas ki aankh maqtal hai 
haya ka, parsaai ka
Hawas hai naar ki surat
Muhabbat noor jaisi hai
Zamee’n aur aasma’n se bhi 
ziada fasla hai in mein
Hawas ko tum muhabbat ka 
kabhi bhi naam mat dena. . !


Mujhy tum se nahi milna. .
Agar miltay milatay
yunhi hanstay hansaatay
Yunhi mantay manatay. .
Muhabbat Ho Gai TOu Phir?

kia mila tum ko


Suno Jana.....!
Muhabbat mein kisi ko panay ki 
ujlat Dikha kar kia mila tum ko?
kabhi socha...?

kabhi socha k tum ne mujh ko bhi to 
khaali khaali jhootay raisham k hi 
dhaago’n mein Ulajhney ki saza di hai

Suno! Mein ne tumhara kia bigara tha
Ye sab kuch kyun kiya tum ne
Mujhy youn zindagi se badguma’n kar 
k bhala kia paa liya tum ne...?

Abhi bhi wakt hai tum rok lo, titli ko 
marney se Khushbu’on ko nikherny se
Wagarna kal tumharay haath yaado’n 
ki zara si raakh hogi 

Aur kuch bhi to nahi ho ga Abhi bhi wakt 
hai tum rok lo Titli Ko Marnay Se. . !

Wo jazba hai jo dil k


Wo jazba hai jo dil k nehan khanay 
mein jab utrey
To andheyaro’n mein goya roshni 
bhar de Agar mitti ko choo lay tou 
usey rashk-e-qamar kar de

Ye tapti dhoop ko pal mein ghata kar 
de Ye khuwahish ko dua kar de 
Ye dharkan ko sadaa kar de

Kisi bhi aam jazbay ko wafa kar de
Dukho’n se maawra kar de ye jab 
chahay badan mein rooh phoonkay
aur jab chahay riha kar de

To socho kis tarha mujh ko nahi idraak 
is shae ka Mujhy ehsaas hai jana!
Mujhy is ka yaqeen bhi hai.
Tumhain mujh se muhabbat hai. . !

Kia wo tum hi ho Wo jo koi meri 
socho’n mein hai Rag-e-jaan se bhi 
aagay hai Zara batlao to jana
Wo mera kon laagay hai....?

Muhabbat tum ne danista


Muhabbat tum ne danista ganwaai 
thi Tou behtar hai k ab us ko bhula 
daalo K ab pachtanay se bhi kuch 
nahi hoga

Ye tum ko baarha hum ne kaha bhi 
tha ....Suno jana’n...!
Gulabo’n se ye lamhay hain Inhein 
khonay se pehlay hi sambhal jao

Khiza’n se dosti karna nahi acha
Magar tum ko tou zid si thi mitanay 
ki, jalanay ki, ganwanay ki Jo tum ne 
aag bharkai thi haatho’n se

Tumharay apny daaman tak bhi aa 
pohnchi tou rotay ho..?

Suno! pachtanay se bhi kuch nahi 
hoga Muhabbat tum ne danista 
ganwaai thi.
To behtar hai k ab usko bhula daalo. .!

Jo zindagi thi meri


Jo zindagi thi meri jaan! 
tere saath gai. . !
Bus ab tou umer k naqshay 
mein wakt bharna. . .

Junoo’n ki raah mein sab


Junoo’n ki raah mein sab kuch 
ganwa diya lekin. . !
Mery shaoor ki awargi nahi jaati..


Zakham de kar na puch


Zakham de kar na puch 
dard ki shiddat,
Dard to phir dard hai, kam 
kya, zeyaada kya..

Buri nahin hai awaargi


Zafar buri nahin hai awaargi, 
magar phir bhi,
Kabhi idhar se guzro to ghar 
bhi aa jana...

Dil-e-nadaan zara


Dil-e-nadaan zara 
mohtaaat  rehna,
Mohabbat bhi tijaarat 
ho gayi hai..