Boht sajaye they aankho’n mein
khuwab meine bhi
Sahay hain us k liye ye azab meine
bhi. .
Judai’on ki khalish us ne bhi zahir na
ki Chupaye apny ghum-o-iztaraab meine
bhi. .
Diye bujhaye k sar-e-shaam so gaya tha
wo Bitai so k shab-e-mahtaab meine bhi. .
Yehi nahi k mujhy us ne dard-e-hijr diya
Judai’on ka diya hai jawab meine bhi. .
Kisi ne khoon mein tar choori’an jo bheji
hain Likhi hai khoon-e-jigar se kitaab
meine bhi. .
Khiza’n ka waar bhi kaar’gar tha dil per
magar Boht bacha kar rakha ye gulab
meine bhi. . !
No comments:
Post a Comment