Kitni aasani se us ne likh diya
“jaan-e-man! Mehsoos mat karna
Magar In dino’n beemar bhi hoon
aur kuch haalaat bhi achy nahi
Raat din socho’n mein gum rehti hoon
mein “Tum” rehti hoon mein
Ik guzarish hai bura mat manna
Mery khat aur meri tasweer’ain
tamaam Mujh ko wapis bhej do
Meri mangni honay wali hai, boht
majboor hoon”
Us ki tasweerain aur us k khat tamaam
Meine chun chun kar rawana kar diye
Us ne phir likha k sari zindagi
Apni tehreer’on, tasweer’on ki surat mein
sadaa Ab tumhain dekhungi mein
Apni sanso’n k boht nazdeekh paungi
tumhain Doosro’n k wastay mein bhool
jaungi tumhain . . !
No comments:
Post a Comment