widget

Sunday 30 March 2014

Chale Aao Ab Ki Mil Kar


Chale Aao Ab Ki Mil Kar Khodein 
Qabar DIL Ki.....!!

Kambhakht Badi Khawaahishein 
Karne Laga Hain Yeh......!!!

Junoon-E-Dill Nahin Badlaa Sitamgar Bhi


Junoon-E-Dill Nahin Badlaa 
Sitamgar Bhi Nahin Badla. Yahi 
Duniyaa Ka  Charkhaa Hai Ye 
Chakkar Bhi Nahin 
Badla...

Yahaan MaQtool Ka Chaheraa 
Badaltaa  Roz Hai Lekin. Nahin 
Badla To Qaatil 
Aur Khanjar Bhi Nahin Badla. 
Sabhi Saffaak Lahroon Ki Hai 
Koshish Raasta Badlon. 

Magar Main Nay Ye Kashti Ye 
Samandar Bhi Nahin Badla. 
Yahaan Mosam Badaltay 
Hain Yahaan Chahry Badaltay 
Hain. 

Main Apny Ap Ko Lekin Badal 
Kar Bhi Nahin Badla. Na Main
Rastaa Badalta Hun Na Main 
Wapis Palat'ta Hun. Giraataa 
Roz Hai Mujh Ko Wo Thokar 
Bhi Nahin Badla. 

Main Jaisa Hun Main Waisaa 
Hun Sabhi K Saamny Hi Hun. 
Main Andar Say Nahin 
Badla Main Baahir Bhi Nahin 
Badla. Kabhi Jo Dil Badal Payaa 

To Dilbar Bhi Main Badloon Ga. 
Abhi Dill 
Bhi Nahin Badla To Dilbar Bhi 
Nahin Badla...


Chup chup bethay ho kya hua



Chup chup bethay ho kya hua 
tumhein,

koi baat dil pe lagi..ya dil laga 
bethay ho..

Suno ke Raigzaar'E umr ka



Suno ke Raigzaar'E umr ka yeh 
aakhri zarra
meri be- jaaN hathaili sey…phisalta 
ja raha hey ab
meri guzri musafat ki thakan ab ood 
aai hey



Merey qasid…suno..janay say pehlay 


itna kehna hey
mere ujary shehar ke un gali koochoN 
maiN jao tou

jahaN bachpan bitaya tha…jahaN sab 
kuch ganwaya tha
tou us weeran khandar ko..payaam'E
aakhri daina
waheeN aangan maiN dayeN hath pe…
ik pairr daikho gay

usi boorhay shajar ke… sin raseeda say 
badan par tum
mere bay rang hathoN ki lakeeroN ki 
tarha…ik jaal daikho gay

usi peepal ki chaaooN maiN…
kisi masoom ke dil ne..kaii sapnay 
sajaye  thay kisi ki aankh ke aansu…
kisi dil ne bahaaye thay

kisi ki jheel ankhoN ney…kaii saagar 
lutaye thay bohat narmi say us peepal 
ko chuh kar..itna keh daina
ke ab aankhoN ke yeh darya…kahiN 
saagar nahiN rotay

Muqaddar jinka sota hai….kabhi phir 
woh nahiN sotay usay kehna mere 
qasid..!

jinhoN ne umr sari teri chaooN maiN 
basar kar di woh aakhir pal tumharay pas 
aa kar..kuch na keh paye lipat kar tum say 
ro laiN gay..Agar duniya maiN reh paaye
suno qaasid..!!

wahaN say chand qadam ke faslay par…
Aik chokhat hey wuhi chokhat hey yeh 
piyaray… jahaN sajday kiye hum ney…
jahaN par zindagi haari jahaN kuch pal 
jiye hum ney….

jahaN par jaan yeh waari jawaaN margi 
pe meri shehr yeh maatam kunaaN hoga
magar…us aik chokhat par…ajab sa hi 
samaaN hoga..

wahaN raqsaaN sabhi chehroN pe kuch ra’aniyaaN hoNgi wahaN bajti chaharoN 
su…bohat shehnaiyaN hoNgi
wahaN jiski nazar maiN jeet janay ki 
thakawat ho magar…

us dil nasheeN chehray pe..gehri 
muskurahat ho
samajh laina mere qaasid…yehi qatil 
mera thehra..!

Meri aankhaiN yeh lay jao…mera yeh 
kaam kar daina usay ji bhar ke takna 
tum….meri ankhoN maiN bhar laina
usay chupke say keh daina

“Tumhari jeet ki khatir…yeh baazi jis ne 
haari hey….nahiN tum ho sakay uske….
woh mar kar bhi tumhari hey…
“nahiN…balkay…mere qaasid…
usay tum kuch nahiN kehna...



Wo mujhe yun chahiye. . . . . .



Jaise logo ko sakon. . . . . .!


Zindagi Ko Kar Diya Naam



Zindagi Ko Kar Diya Naam 
Tumhary..
Ab Tum Jaano, Aur Kaam 
Tumhara..!! 

Arz00 h0ni chahiye kisi k0



!Arz00 h0ni chahiye kisi k0 
yaad karnay ki,
!Lamhay aur waqt t0 apnay 
aap mil jatay hain,

MaZaAqaN Jo PoocH BetHAy



MaZaAqaN Jo PoocH BetHAy 
Un sE HoNTon Ki SurKHi Ka 
SaB'aB....

__TaNZan UnHon Ne KaHA 
TuMHara KhooN PeETay
HaiN....  

Ek Din wo Jhunjhla Kar Bole



Ek Din wo Jhunjhla Kar Bole 
Tumhein Sab Shikayaten
Mujh Hi Se Q Hain ..?

To Maine Sar Jhuka k Dheere 
Se Kaha,
" Nahi " Mujhe Sab Umeedein 
Tum se Hain...  

BoSa DeNe Se HuSan Mein



BoSa DeNe Se HuSan Mein 
Kami Na Hogi..!!

Hota Nahi ZakaaT Se NuQSaan 
Maall kA..!! 

WORLD's BEST MESSAGE



WORLD's BEST MESSAGE
I love you but i am not your 
lover....
i hug you but i am not ur life
patner....
I care for you but i am not from 
your family.
I am ready to share your pain but 
am not in your blood relation.....
They are... Friends !
Loves you more than a
lover
Share to all your special / best
friends who mean a lot
to you... 


Kuch Nai Chahiye Mujhay



Kuch Nai Chahiye Mujhay 

Tujh Sy Aay Zindagi,
Bas Woh EK Shakhs Lota Dy,
Jo Mujhay Tujh Sy Bhi Ziayada 
Payara Hai . . . . !!

Bary Udaas Bethy Ho Aj



*...Bary Udaas Bethy Ho Aj...*

*...Kaho to DilL DonApna..?
Khelne K LiyE..? :')


Mein Ne Insan Ki Wafa



Mein Ne Insan Ki Wafa Par 
Yaqeen Karna Choor Diya Hai
Jab Qismat Badal Sakti Hai To 
Yeh Mitti K Insan Kyun Nai..!!


Karta Nahi Kisi Se Shikayat



Karta Nahi Kisi Se Shikayat 
Ye DIL Magar.,
Kehna Ye Chahta Hai Ke Tum, 
Tum Nahi Rahay.. !


Ajeeb Duniya Hai



Ajeeb Duniya Hai Koi Chahat 
Ki Baat Karta H,Or Koi 
Chahne Ki..!!

Hum To Dono Azma K Bethy 
Hain, Na Chahat Mili 
Na Chahne Wale!!!!!!


Hue Badnaam Magar Phir



Hue Badnaam Magar Phir Bhi
Sudhar Naa Payee Hum...

Phir Wohi Shayari, Phir Wohi 
Jagna, Phir Wohi Ishq, Phir 
Wohi Tum... 

Achay Rishton Ko Wadon


Achay Rishton Ko Wadon Aur 
Sharton Ki Zarorat Nahi Hoti",
"Achay Rishton K Liye Sirf 2 
Khubsurat Log Chahiyn",

"Jin Mein Ek Bharosa Kar 
Saky AUr...
Dusra Usy Samajh Sakay.. 


Tere aik aik lafz ko hazar



Tere aik aik lafz ko hazar matlab 
pehnaye hum ne....!!

Chain se sone na diya teri adhoori 
baaton ne....!!!   

Jisse Hum Flirt Karte Hai



Jisse Hum Flirt Karte Hai,
Use Mazaak Mazaak Me Na 
Jaane Kitni Baar"I Love You"
Bol Dete Hai,:(
.
.
.
Par Jisse Sach Me Pyaar Karte 
Hai, Use Ye 3 Word Bolne Me 
Na Jaane Kyu Darte Hai ? 


Mere Chehre Pe Ronak



Mere Chehre Pe Ronak Uss Ke 
Liye Hai..!!

Mujh Me Har Nazakat Uss Ke 
Liye Hai..!!

Wo Toh Naadaan Hai Maangta 
Hai Mujhse Ek pal....!!

Usse Kya Pata ??
Meri Poori Zindagi Sirf Usi K 
Liye hai....!! 

Saturday 29 March 2014

Awara dil my aj dahrkano



Awara dil my aj dahrkano 
ka shoar utha...........

na jany mjhy kn dino ke yad 
Ai...........

Mujhy Dekh kar Wo



Mujhy Dekh kar Wo Sahib'E
ilm Bola..
Teri Sanjeedgi Batati Hai..

Tujh Ko Muskurany Ka
Bohat Shoq Tha Pehly..

Band Muthi Se Wo Rait



Band Muthi Se Wo Rait Ki 

Manind..

Zindagi Se Gaya Zara Zara 
Kar K..!!

Bohat bheega teri yadon


Bohat bheega teri yadon main
Magar dil k daagh nahi dhulty....

Anjaam Ka Dar Hai


Anjaam Ka Dar Hai To Muhabbat 
Chor Do
Muhabbat Mein Zid Hai Or Zid 
Mein Jan Chali Jati Hai..


Imtehaan Teri Wafa'aon



Imtehaan Teri Wafa'aon Ka 
Abhi Aaya Hi Nahi Hai...
Dekheiin Gey Tu Badalta Hai 
To Badalta Hai Kaha Tak..

Tum Samjhtay Ho


Tum Samjhtay Ho Shair 
Kehta Hoon
Apnay Zakhmon Se Khailta 
Hoon Main..

Cheray Ka Nisf Hissa


Cheray Ka Nisf Hissa Zair'E
Naqab Kar Ky, 

Kartay Hain Husan Walay 
Deedaar Me Milaawat..

Sunday 23 March 2014

Kaajal Aankhain Zulfain


Kaajal, Aankhain, Zulfain, 
Jhumke, Chehra, Bindiya,
Haaye Dil Haar Gaye Hum 
Tujhe Be-Naqaab Dekh Kar…!

Saturday 22 March 2014

Intizar ka aalam kya


Intizar ka aalam kya bataaon 
Parvaaz,
Chaunk parrta hoon sans ki 
sadaaon par..

Haal anjaam-e-ishq kya


Haal anjaam-e-ishq kya kahiye,
Ab to hum bhi lage hain pachtaaney

Door se andaaza mat karna


Door se andaaza mat karna 
mere halaat ka,
Behta sehraa hoon mere 
nazdeek akar dekh lo.

Friday 21 March 2014

Haan haan nahi hai kuch

Haan haan nahi hai kuch bhi 
mere ikhtiyar mein,
Haan haan wo shaks mujhse bhulaya nahi geya..

Yeh kashmakash alag hai

                               

Yeh kashmakash alag hai ke
                           kis kashmakash mein hoon,

Aata nahin samajh mein,
                            bohat sochti hoon main..

Bus yunhi rasmi rasmi sa

      Bus yunhi rasmi rasmi sa

Ik be-mafhoom ta’aruf tha
Us ne mera number mang liya
Phir ik din telifone kiya
Phir fone kiya..Phir fone kiya.. 

Ik roz thi barish zoro’n per

Baadal garjay, Bijli chamki
Phir boondai’n barsi khirki per
Tab uska telifone aya

Be-saakhta meine us se kaha
Barsaat mein tanhai ki saza
Kyun deti ho Kyun karti ho tum fone mujhy?
Kuch lamho’n tak wo chup si rahi Phir kehnay lagi: 
Jo aap ka dheema lehja hai
Mujhy be-hadd acha lagta hai
Awaaz jo ap k honto’n se
Tashna kaano’n tak aati hai

MUJHY “USKI” YAAD DILATI HAI…!

Koi aisa gehra dukh bhi nahi


Koi aisa gehra dukh bhi nahi
Jisay dukh samnjhoo’n
Aur tum se kahoo’n

Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon

Kisi ujray ghar ki mamti per
Jab sham dhalay Kisi cheel ko 
sir nehuwrraye huay mein paata 
hoon Kho jata hoon

Tum poochtay ho : Koi dukh tou 
nahi? Mein aik nazar tumhain 
dekhta hoon Aur kehta hoon
Koi aisa gehra dukh bhi nahi

jisay dukh samjhoo’n Aur tum se 
kahoo’n Jab dekhta hoon aisa manzar
Mein maazi mein kho jaata hoon
Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon. . !


Muhabbat mein muhaabbat ki safai 
de rahy hain hum
Ajab aashiq hain, azar aashnai de rahy 
hain hum Hamary haal per jana’n boht 
khush fehm mat hona

Dikhanay k liye aisay dikhai de rahay 
hain  hum Koi tohfa tumhein dena to 
tha apni muhabbat ka

Tumhain lo, aaj zakhm-e-aashnai de 
rahy  hain hum Hamary rat-jago’n ka 
tum ko  kuch ehsas to ho ga

Dam-e-rukhsat, tumhein sham-e-judai 
de rahy hain hum Jinhain khoon-e-jigr 
se paish ro tehreer karty thy

Ab in lafzo’n ko dil ki roshnai de rahy 
hain hum Hum itny shor mein sab se 
mukhatib bhi nahi ‘Sajid’

Jo sun sakty hain bus unko sunai de rahy 
hain hum. . !

Boht sajaye they


Boht sajaye they aankho’n mein 
khuwab meine bhi
Sahay hain us k liye ye azab meine 
bhi. .

Judai’on ki khalish us ne bhi zahir na 
ki Chupaye apny ghum-o-iztaraab meine 
bhi. .

Diye bujhaye k sar-e-shaam so gaya tha 
wo Bitai so k shab-e-mahtaab meine bhi. .
Yehi nahi k mujhy us ne dard-e-hijr diya
Judai’on ka diya hai jawab meine bhi. .

Kisi ne khoon mein tar choori’an jo bheji 
hain Likhi hai khoon-e-jigar se kitaab 
meine bhi. .

Khiza’n ka waar bhi kaar’gar tha dil per 
magar Boht bacha kar rakha ye gulab 
meine bhi. . !


Gulshan parast hoon


Gulshan parast hoon mujhy 
gul hi nahi aziz
Kaanto’n se bhi nibah kiye ja 
raha hoon mein...


Kitni aasani se us ne


Kitni aasani se us ne likh diya
“jaan-e-man! Mehsoos mat karna 

Magar In dino’n beemar bhi hoon 
aur kuch haalaat bhi achy nahi
Raat din socho’n mein gum rehti hoon 
mein “Tum” rehti hoon mein

Ik guzarish hai bura mat manna
Mery khat aur meri tasweer’ain 
tamaam Mujh ko wapis bhej do 
Meri mangni honay wali hai,  boht 
majboor hoon”

Us ki tasweerain aur us k khat tamaam
Meine chun chun kar rawana kar diye
Us ne phir likha k sari zindagi
Apni tehreer’on, tasweer’on ki surat mein 
sadaa Ab tumhain dekhungi mein

Apni sanso’n k boht nazdeekh paungi 
tumhain Doosro’n k wastay mein bhool 
jaungi tumhain . . !