widget

Friday 21 November 2014

Yeh Qayam Kaisa Hai Raah Mein


Yeh Qayam Kaisa Hai 
Raah Mein, Terey Zouq 
Ishq Ko Kya Howa..??

Abhi Chand Kaantey 
Chubhey Nahi, Terey Sab 
Iraday Badal Gaye..!!

Mohabbat say zara pehLay


Mohabbat say zara pehLay.. 

Mujhay Bhi Raas thein 
khushiyaan...


Kuch Juram Nahi Ishq Jo Dunya Say Chupaein


Kuch Juram Nahi Ishq 
Jo Dunya Say Chupaein..
.
.
.
Hum Nay Tumhain Chaha 
Hai Hazaron Mein Kahein 
Gay..+


Monday 17 November 2014

Jafaa Ki Aag Tham Jaye


Jafaa Ki Aag Tham Jaye 
Fakhar Totay Kabhi tERA.. 

Chalay Aana Merey 
Ho Kar Main Mazi 
Phir Bhulaa Dunga..


Na Wo Dil Na Wo Dil Ki Nadaniyan Hain


Na Wo Dil Na Wo Dil Ki 
Nadaniyan Hain, 
Na Wo Hum Na Wo Bazam 
Ki Samaniyan Hain, 

Na Wo Dost Na Wo Doston 
Ki Gul Afshaniyan Hain, 
Na Wo Fikar-E-Rangeen Ki 
Jolaniyan Hain, 

Gai Shair Goi Reh Gai Nooha 
Khawani, 
Bahot Yaad Aati Hai Batein 
Purani... 


Ab Khud Se Milne Ko Dil Karta Hai


Ab Khud Se Milne Ko Dil 
Karta Hai...

Bohut Buri Hun
Bohut Se Logo Se SuNa Hai 
Main Ney...


fanna k baad kawaish hai teri


فنا کے بعد بھی خواہش ہے تیری
مسافت ہے مگر کتنی کڑی ہے

کھڑے ہیں سانس کی سرحد پہ تنہا
ہمارے درمیاں بس زندگی ہے


Hath0n Main Liye Charagh Kuch Log


Hath0n Main Liye Charagh 
Kuch Log Raat Ko...!! ♡
De Kar Faraib-E-Roshni 
Basti Jala Gaye Meri.....!!


Suno kisi ne sach kaha tha


Suno kisi ne sach kaha tha k
“Muhabbat Mar Nahi Sakti”
Magar
Adhora sach suna hum ne
muhabbat khud nahi marti
“Muhabbat Mar Daiti Hai”


Aarzoo Hai Ke Kabhi Haath Pakarr Kar Mera


Aarzoo Hai Ke Kabhi Haath 
Pakarr Kar Mera...,

Le Chalay Woh Kisi Guzre 
Huay Kal Ki Jaanib..



Likha Hai Waqt Ne Ye B Ajeeb


Likha Hai Waqt Ne Ye B 
Ajeeb Apne Muqadder Mein.,

Palatna Hi Nahi Jis Ko Ussi 
K Raastey Dekho..,,

Aik Bistar Ke Bus Ki Baat Nahi


Aik Bistar Ke Bus Ki 
Baat Nahi

Modato'n Ki Thakn 
Rakhta Hn___!!


Khud ki Pehchaan Ho Gayi Mushkil


Khud ki Pehchaan Ho 
Gayi Mushkil..

Yun Badalti Hai Zindagi 
Chehrey..!!

Taqderein badal jati hain


Taqderein badal jati hain
jab
zindagi ka ho koi maqsad
|
|
|
warna umar yun hi kat jati
hai
kismat ko ilzam dete dete.


Betey to hain Baap ki Jaageer k Raqeeb


Betey to hain Baap ki 
Jaageer k Raqeeb.

Wo Gher Bhi koi Gher hai 
Jahan Betiya'n Na Hon..!


Bicharr K Surkh Phol0n Ki Rutein Veeran


Bicharr K Surkh Phol0n 
Ki Rutein Veeran Kar 
Gaya...+

Wo Jis K Dam Se Hota 
Tha Kabhi
Aabad December...+


Ek aas hai ab bhi Mere Mann Mein.


Ek aas hai ab bhi Mere 
Mann Mein...

koi keh de , k aj se Wo 
Tera ho Gaya...



Kuch Aisi Mohabbat Us K Dil Main


Kuch Aisi Mohabbat Us K 
Dil Main Bhar Day..!!

"Yaa RABB"

Ke Wo Jis Ko Bhi Chahe, Wo 
"MAIN" Ban Jaon..!!


Friday 14 November 2014

Rahe ga tere gird meri duaon ka daira


Rahe ga tere gird meri 
duaon ka daira...
zindagi k her qadam pe 
hifazat teri KHUDA kare..


Darya Se, Kohsaar Se Pehle Ki Baat Hai


Darya Se, Kohsaar Se Pehle 
Ki Baat Hai
Insaan Her Aitbaar Se Pehle 
Ki Baat Hai


Nafrat Se Aur Pyar Se Pehle 

Ki Baat Hai
Ye Tujh Pe Aitbaar Se Pehle 
Ki Baat Hai


Jumbish Thi Aankh Mein 

Bhi Badan Mein Bhi Rooh Thi
Ye Baat Intezaar Se Pehle Ki 
Baat Hai


Dil Meray Ikhtiaar Mein Hota 

To Tha Magar
Ye Teray Ikhtiaar Se Pehle 
Ki Baat Hai


Jab Dil Pe n Eel Ban Ke Dikhi 

Theen Na Khuahishain
Ye Tujh Sitam Shuaar Se Pehle 
Ki Baat Hai


Kuch Saar'baan Thay Aur Jaras 

Ki Sadaa Bhi Thi
Ye Baad-e-Reigzaar Se Pehle 
Ki Baat Hai


Ek Kaarwaan Aur Aik Tha 

Mehmil Bhi Darmiaan
Ye Raah Ke Ghubaar Se Pehle 
Ki Baat Hai


Wo Aah-E-Dil'shagaaf Adeem 

Aur Wo Tarap
Ye Dard Ke Khumaar Se Pehle 
Ki Baat Hai


Ek Dard Tha Kisi Ki Nishani 

Dia Hua
Lekin Ye Teray Pyaar Se Pehle 
Ki Baat Hai


Ek Aashiaan Tha Uss Mein 

Parinday Bhi Thay Adeem
Ye Mausam-e-Bahaar Se Pehle 
Ki Baat Hai


Adeem Hashmi



Gharor-e-Jaan Ko Mere Yaar Baich Dete Hain


Gharor-e-Jaan Ko Mere Yaar 
Baich Dete Hain
Qabaa Ki Hirs Mein Dastaar 
Baich Dete Hain

Ye Log Kia Hain K Do Chaar Khawahishon K Liye
Tamam Umar Ka Pindaar 
Baich Dete Hain

Janoon-e-Zeenat-o-Aaraish-e-
Makaan K Liye
Kai Makeen Dar-o-Dewaar 
Baich Dete Hain

Zara Bhi Nirkh Ho Baala To 
Taajran-e-Harm
Qalm-o-Jubba-o-Dastaar 
Baich Dete Hain

Bus Itna Farq Hai YOUSAF 
Mein Or Mujh Mein Faraz
K Us Ko Bhai aur Mujh Ko Yaar 
Baich Dete Hain..


Suno jana! Palat ana K koi yad karta hai


Suno jana! Palat ana
K koi yad karta hai
Tumhen awaz deta hai
Tumhe khush dekhne 
k vaste 

Apne dil-e-muztir ko jo 
na shad karta hai

Tumhari ik jhalak k vaste
Galiyon mein Raston mein
Subha se sham
Din se rat karta hai

Jinhen tum se aqeedat hai
Teri be laos chahat hai
Tumhen takne ki hasrat hai

Jinhen tum se mohabbat hai
Unhen kuch waqt dete hain

So gar mumkin ho kuch aisa
To un ki chah ki khatir

Suno Jaanan! Palat aa na
k koi yaad karta hai...


Parchaiyon k shehr ki tanhaiyan na poch


Parchaiyon k shehr ki 
tanhaiyan na poch
apna shareek-e-gham 
koi apne siwa na tha,,



kia issi bat ko kehte hain mohabbat ka zawal


kia issi bat ko kehte hain 
mohabbat ka zawal?
ab mujhe yaad nahi salgirah 
bhi uss ki...



Aj se mujh per mokammal ho gia deen-e-firaq


Aj se mujh per mokammal 
ho gia deen-e-firaq
haan tasawur mein bhi ab 
tujh se juda rehta hon...


ye teri ankhon pe halqe se par gaye kese


ye teri ankhon pe halqe se 
par gaye kese?
tu ne to kaha tha k tu bhula 
de ga muje..


Zindagi aaj wo raqsan hai


Zindagi aaj wo raqsan hai
jo kabhi nawab zadi thi..


wahan tak to hamare sath chaliye


wahan tak to hamare sath chaliye
jahan tak harf-e-ruswai nahi hai.


Reza reza hoen ankhen to sar-e-aina zar


Reza reza hoen ankhen to 
sar-e-aina zar
aa gaye log tera aks uthane 
k liye..



Tum aik takiye mein geeley balon ki bhar k Khushbu


Tum aik takiye mein
geeley balon ki bhar k Khushbu
jo aaj bhejo to nend aye..


Jana Aaj jab November ki thandi raat me


Jana..!Aaj jab November ki 
thandi raat me shaaL ko..
Orhy ghar se nikla,,

To Yad mujhe tum aiee ho...
or tmhra lehja bhi Yad bhut 
hi aya ha..

aesi thndi raato me tum 
ShaaL pehn ke Jaya karo..
Bemar naa tum par jana..

PHir meri profile pe bthe ...
meri chat ko taktty rhena ...

me us chat window me
tmhe nazaR naa AogI...!!

phir Aaj November kii thandi 
Raat me shaL ko Orhy..
Ghar se nikla..

To Yaad aya Tum kheti Thi... 


Tumhen Khone Se Darta Hoon


Tumhen Khone Se Darta Hoon
Me Khawab Bohat Dekhta Hoon
Aese Khuwab!

Jin Me Koi Dukh Koi Pereshani 
Nhi Hoti Jin Me Wasal K Raste 
Hijer Ki Waadi Se Ho Kr Nhi 
Guzerte

Jin Me Muhabat Hamesha Adh 
Khule Phool Ki Terha Khubsurat
Or Bache Ki Muskaan Ki Terha Khubsurat Hoti He

Aese Khuwab! Jaha Ek 
Muskurahat Ki Qeeemat Hazaar 
Ansoo Nahi Hote
Meri Palkoon Ki Shakhoo Per 
Kai Aese Khuwab Bethe Rehte Hain

In Ki Gungunahat Mujhe Jeene 
Pe Uqsati He
Nay Rastoon Ki Or Le Kr Chalti 
He Nai Manziloon Ka Pata Batati 
He

Mujhe Apne Khuwab Se Muhabat 
He Un Khuhwaboon Me Rehne 
Wale Hr Ek Shaks Se Muhabat He

Un Khuwaboo M Deikhne Wali 
Her Ek Shay Se Muhabat He
K Ye Sab Mera He Sirf Mera
Mere Khuwab Mere Ilawa Koi 
Nahi Dekh Sakta

Jab Tak K Me Na Dikhana 
Chahoon Koi Inhe Meri Ankhoon 
Se Chura Nhi Sakta

Jab Tak Me Khud Na Kisi Ki 
Ankhoo Me Saja Doon
Mere Khuwabo Aaj Me Iqraar Karta Hoon

K Me Tum Me Zinda Hoon
Ye Sach He K Mujhe Ansoon Se 
Dar Nahi Lagta
Mager Phir Bhi Me Shayad Is Liye 
Rone Se Darta Hoon

K In Akhoon Me Tum Rehte Ho
Tumhara Hona Mera Hona He
Or Me Tumhe Khone Se Darta
Hoon...


December muje tuj se koi


دسمبر مجھے
تجھ سے کوئی شکایت
 نہیں ہے نہ کوئی گلہ ہے
کہ تو نے مجھے بے سبب سی
 اُداسی کا تحفہ دیا ہے

نہ مجھ کو تری سرد راتوں کی تنہائیوں
 میں کسی اپنے غم کو جلا کر اُسے تاپنا ہے 
نہ تجھ سے کوئی بات کہنی ہے مجھ کو 
دسمبر!

حقیقت یہی ہے کہ میں تیرے آنے
 سے ہہلے بھی ایسا ہی تھا
نارسائی کے غم میں سلگتا، اداسی کی 
چادر میں لپٹا اور اپنے ہی اندر کی 
ویرانیوں پر کبھی شعر کہتا
کبھی نظم لکھتا 
دسمبر!
حقیقیت یہی ہے ترے بعد بھی میرے
 معمول میں کوئی تبدیلی آئے
یہ ممکن نہیں
سالہا سال سے میں اسی دائرے 
میں سفر کر رہا ہوں

ترا دوش کوئی نہیں ہے دسمبر!
مجھے تجھ سے کوئی شکایت نہیں ہے 


Saas Lena Hua Muhal Mujhe Es Mohabbat Se


Saas Lena Hua Muhal 
Mujhe Es Mohabbat Se Ab 
Nikal Mujhe

Ab Ab Me Teri He Zimedari 
Hun Kho Na Jao Kahein 
Sambhal Mujhe

Ab Behelta Nai Me Lafzon Se
Ab Na Dena Koe Misal Mujhe

Sab Ke Bare Me Sochta Hun 
Magr Khud Ka Rehta Nai 
Khayal Mujhe

Jate Jate Wo Kis Leye Palta
Ab Sataye Ga Ye Sawal Mujhe

Saaf Keh De Jo Tere Dil Me 
He En Bahanon Se Ab Na 
Taal Mujhe...