widget

Wednesday 15 May 2013

Ahwaal-e-gham-e-zaat sunane se raha main



Ahwaal-e-gham-e-zaat sunane se 

raha main.. 

Ab khud ko tamasha to banane se 

raha main..

Har baar main tazlel-e-Aana kar 

nahin sakta...

Har baar usay ja K manane se raha 

main...

Ahsan ka mafhoom hy Aankhen na 

milana...

Ahsan kisi ka B uthane se raha main...


Mumkin hy kisi roz yeh akser bana 

de...

Is dil main lagi Aag bujhane se raha

 main...

Jo zakhm doston K rawaiyon hain 

lage hain.. 

Wo zakhm kisi ko B dikhane se raha 

main...

Jane do mujay bazm-e-tarab main

nahin roko..


Baar-e-gham-e-tanhai uthane se 

raha main..

Dariya hun to dariya hi usay paish 

krun ga...

Payasy ko samandar to pilane se 

raha main...


No comments:

Post a Comment