Tuesday, 31 December 2013
Achi ankhon ka yeh maqsad to nahin
Achi ankhon ka yeh maqsad to
nahin k . . .?
Jinko daikhen barbaad kar dyen..
(¯`♥´¯) ..•*¨`*♫.•
´*.¸.•♥https://www.facebook.com/zaatsezaattakpoetry
Friday, 27 December 2013
Sunday, 22 December 2013
Saturday, 21 December 2013
Tujh se bichaR k aankh ko num kis liye karen
Tujh se bichaR k aankh ko num kis
liye karen..Tujh ko melaal nahi to
hum kis liye karen..
Duniya ki be'rukhi to nahi hai koi
jawaaz Is sheddat-e-khaloos ko kam
kis liye karen..
Taa um'r qurbton ka tu imkaan he
na tha..
Aakhir faraq-e-yaar ka ghum kis liye
karen..
Apna janoon o daad-o-sataysh se be
neyaz Pher be khudi ka haal raqum kis
liye karen..
Jin ke liye ufaq pe chamkte hain
raastey Matti pe sabt naqsh-e-qadam
kis liye karen..
Manoos ho chuke hain anderon say
apne log Ab ehtejaaj e subh e karam
kis liye karen..
Saajid koi nayi to nahi hai yeh teergi
Aakhir malaal-e-shaam e alam, kis liye
karen..
Tuesday, 17 December 2013
Saturday, 14 December 2013
Thursday, 12 December 2013
Marhale Shoq Ke Dushwar Howa Karte Hain
Marhale Shoq Ke Dushwar Howa
Karte Hain
Saaye Bhi Raah ki Deewaar Howa
Karte Hain Wo Jo Sach Bolte Rehne
Ki Kasam Khaate Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa
Karte Hain Sirf Haathon Ko Na Dekho
Kabi Aankhen Bhi Parho Kuch Sawaali
Bare Khud-daar Howa Karte Hain Wo
Jo Pathar Yunhi Raste Mein PaDe Rehte
Hain Un Ke Seene Mein Bhi Shaah-kaar
Howa Karte Hain...
Faqat Hunar Hi Nahi Aaib Bhi Kamaal K Rakh
Faqat Hunar Hi Nahi Aaib Bhi Kamaal
K Rakh, Soo Doosron K Liye Tajrube
Misaal K Rakh.
Nahi Hai Taab To Phir Aashiqi Ki Raah
Na Chal, Ye Kaar-Zaar-e-Junoo'n Hai
Jigar Nikaal K Rakh.
Sabhi K Haath Dilon Par Nigaah Tujh Par
Hai, Qadah Badast Hai Saaqi Qadam
Sanbhaal K Rakh.
Bhool Bhi Jaa Sanihe
Muhabbat K Hatheliyon Pe Na In Aablaon
Ko Paal K Rakh.,,,.
Main Ab Tak Chal Raha Hoon
Main Ab Tak Chal Raha Hoon………
Boht Din Se Muje Kuch An Kahe Alfaz
Ne Bechain Rakha Hy,
Muje Sone Nahi Dete,
Muje Hansne Nahi Dete,
Muje Rone Nahi Dete,
Yun Lagta Hy K Jese Sans Seene Main
Kahi Thehri Hui Si Hy,
Yun Lagta Hy K Jese Garmi Main……
Zra Si Der Ko Barish Baras K Ruk Gyi
Ho Ghutan Charoo Taraf Pheli Hui Ho,
Boht Din Se Meri Ankhoon Main Sapnoo
Ki Koi Doli Nahi Utri….
Boht Din Se Khyaloo Main Dabe Paoon
Koi Apna Nahi Aya,
Boht Din Se Mere Jazbaat.
Jo Meri Shairi K Mosmoon Main Rang
Bharte Hain……..
Kahin Khoye Hue Se Hain,
Mere Alfaz Bi Soye Hue Hain…..
Main Un Ko Dhoondne Is Zindagi K
Dasht
Main Nikla To Hoon Lekin…….
Muje Maloom Hy Jazbey Agr Ik Bar Kho
Jayen,
To Phir Wapis Nahi Milte……
Muje Maloom Hy Phir Bi….
Abi Ik Aas Baki Hy…..
Main Ab Is Aas Ki Ungli Pakarr K Chal
Raha Hoon,
Bazahir Shabnami Thandak Muje Ghere
Hue Hy……..
Magar Main Jall Raha Hoon…..
Main Ab Tak Chal Raha Hoon………
Reza Reza Sapno Waly Tooty Chehre Aadhy Log
Reza Reza Sapno Waly Tooty Chehre
Aadhy Log Jany Waly Kab Aaty Hain
Q Krty Hain Wady Log
Aas Mein Bethi Shehzadi KiReza Reza
Sapno Waly Tooty Chehre Aadhy Log
Jany Waly Kab Aaty Hain Q Krty Hain
Wady Log
Aas Mein Bethi Shehzadi Ki Maang Mein Chandi Jhaank Chuki Itni Dair Se Q Aaty
Hain Aakhir Ye Shehzady Log Pyar Ki
Raah Pe Ungli Thaamy Andha Dhund
Chal Party Hain
Na Smjhi Mein Mar Jaty Hain Hum Se
Seedhy Saady Log Hum dono Mein Kon
Hy Mujrim Ye Ty Hona Mushkil Hy Aadha Shehr Tha Haami UsKa Sath Thy Mere
Aadhy Log...
Tapty huye sehra me ghata0n ki trha tha
Tapty huye sehra me ghata0n ki trha tha,,
Me tere liay dh0p me cha0n ki trha tha
Hathon ki lakir0n ny k0i ghar na bnaya,,
Chakr meri taqder me pa0n ki trha tha,,
Ik me hi khatawar na tha ehd-e-wafa me
Tera b t0 asl0b jafa0n ki trha tha,,
L0uta k chla ja mjy w0 din w0 lmhy Jb me
tere h0nton py dua0n ki trha tha,,
W0 wqt j0 kata hy tere hijr me JAna W0
wqt khara muj py khiza0n ki trha tha,,
Kch hm ny muhabt b ibadt ki trha ki Kch
uska tagaful b khuda0n ki trha tha,,
W0 jis k liay hm ny pia zehr ka pyala
Andaz-E-karm us ka sza0n ki trha tha,,,
M0hsin tha ankh0n me j0 ik sheh'E
tamana, Bikhra t0 ujrey huy GAAON ki
tarha tha....
December ab ke aao tou tum us shehr'E
December ab ke aao tou tum us shehr'E
tammana ki khabar laana ke jismein
jugnuon ki kai kehkashaan jhilmilaati
hain
jahan titli ke rangon se fazaaein
muskuraati hain wahan chaaron taraf
khusbhu wafa ki hai aur jo usko nazar se
choo gaya pal bher mehek utha
December ab ke aao tou tum us sheher'E
tammana ki khabar lana jahan pe rait ke
zarrey sitaarey hain gul-o-bulbul, mehr-o-
anjum, wafa ke ista’aarey hain jahan dil
wo samander hai,
kai jiske kinaarey hain jahan qismat ki
devi muthiyon mein jagmagati hai jahan
dharkan ki lay per bay-khudi naghma
sunati hai
December mat pooch humse hamarey
sheher ke baarey yahan aankhon mein
guzrey kaarwan ki gard thehri hai ..
Muhabbat barf jaisi hai yahan aur dhoop
ke khaiton mein ugti hai yahan jab subha
aati hai to .. shub ke saarey sapney raakh
ke dhair ki soorat mein dhaltey hain
yahan jazon ki tooti kirchiyan aankhon
mein chubhti hain yahan dil ke lahu mein
apni palkon ko dabo ker hum sunehrey
khuab buntey hain
un khuabon mein jeetay hain unhi khuabon
mein martey hain dareeda rooh ko lafzon se
seena go nahi mumkin magar phir bhi
December ab ke aao tou
tum us shehr-e-tamanna ki khabar laana,,
Subscribe to:
Posts (Atom)