Kaha tha ye December mein
Hamen tum Milne aao ge
December kitne guzre hain
Tumhari raahon ko taktay
Na-janay kis December mein
Tumhen Milne ko aana hai
Hamari to December ne
Bahot ummeeden tori hain
Baray sapne bakhaire hain
Hamari raah takti muntazir
Pur-num nigahon mein
Sawan ke jo deray hain
December ke hi tohfay hain
December phir se aya hai
Jo tum ab bhi na aye to
Phir tum dekhna khud hi
Tumhari yaad mein ab ke
Akele hum na roen ge
Hamara saath dene ko
Sawan ke bharay baadal
Galay mil mil ke roen ge
Phir itna paani barse ga
Samandar seh na paye ga
Karo na zid chale aao
Rakha hai kia December mein
Dilon mein piyar ho to phir
Maheenay saaray achay hain
Kisi bhi piyaray mausam mein
Chupkay se chale aao
Sajan ab maan bhi jao
December to December hai
December ka bharosa kia
December beet hi jaye ga,,,
No comments:
Post a Comment