December ki thitharti aik shab woh mere
paas aai mujhe kehne lagi ke
Aaj sab kuch chor aai hoon tumhare piyar
mein saare hi rishte tor aai hoon
woh ghabrai hui, tooti hui, bikhri hui larki
mujhe kehne lagi ke utho Yahan se door
chaltay hain bahot hi door chaltay hain
Tumharay bin kissi soorat mujhay zinda
nahi rehna mujhay zinda nahi rehna,
mujhay zinda nahin rehna
woh zaar-o-zaar ro di aur phir mujh mein
simat aai woh apne aansu se bas '''' yahi
faryad karti thi
chalo jaldi karo iss shehar se hum bhag
chaltay hain bahot hi door chaltay hian
uss aik saal mein main ne baar haa socha
k us k hukam par us k kahe par sar jhuka
doon
yeh socha baar haa us ko bhaga kar door le jaoon woh ik tooti hui larki woh mere piyar
mein mehki hui masoom si larki
mere seenay se lag kar der tak roti rahi
uss shab woh iss ehsaas mein gum thi keh manzil mil gai uss ko mere khamosh
chehray ki taraf woh dekhti bas dekhti jaati
uss ik sa'at mere andar kai toofaan barpa
thay na-janay kis tarah main ne kaha uss se
keh bas ab laut jao laut jana phir nahi aana
“khuda ra phir nahi aana”meri yeh baat
sun kar uss nay ik be yaqeeni se mujhe
dekha woh larki shidat-e-gham se tarap
uthi sulag uthi
sakoot'E marg kay aalam mein woh
darwazay ki janib aik dam lapki woh larki
phir nahi aai woh ik bikhri hui larki
kabhi wapis nahi aai
Bahot din baad kal dekha ussay ik ajnabi
ke sath gaari mein
aur us ki gaud mein piyara sa ik bacha
humakta tha
woh larki kis qadar khush thi bahot chaha
tha keh main uss ko bhaga kar door le jaoon
bahot chaha december ki thitharti raat laut
aye,,,,,
No comments:
Post a Comment