widget

Thursday, 12 December 2013

December ab ke aao tou tum us shehr'E


December ab ke aao tou tum us shehr'E 
tammana ki khabar laana ke jismein 
jugnuon ki kai kehkashaan jhilmilaati 
hain

jahan titli ke rangon se fazaaein 
muskuraati hain wahan chaaron taraf 
khusbhu wafa ki hai aur jo usko nazar se 
choo gaya pal bher mehek utha

December ab ke aao tou tum us sheher'E 
tammana ki khabar lana jahan pe rait ke 
zarrey sitaarey hain gul-o-bulbul, mehr-o-
anjum, wafa ke ista’aarey hain jahan dil 
wo samander hai, 

kai jiske kinaarey hain jahan qismat ki 
devi muthiyon mein jagmagati hai jahan 
dharkan ki lay per bay-khudi naghma 
sunati hai

December mat pooch humse hamarey 
sheher ke baarey yahan aankhon mein 
guzrey kaarwan ki gard thehri hai .. 

Muhabbat barf jaisi hai yahan aur dhoop 
ke khaiton mein ugti hai yahan jab subha 
aati hai to .. shub ke saarey sapney raakh 
ke dhair ki soorat mein dhaltey hain

yahan jazon ki tooti kirchiyan aankhon 
mein chubhti hain yahan dil ke lahu mein 
apni palkon ko dabo ker hum sunehrey 
khuab buntey hain

un khuabon mein jeetay hain unhi khuabon 
mein martey hain dareeda rooh ko lafzon se
seena go nahi mumkin magar phir bhi
December ab ke aao tou
tum us shehr-e-tamanna ki khabar laana,,

No comments:

Post a Comment