Dasht o bayabaa'n ghoom lia
mushk ki koi khabar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota
maula sabar nahin
Dasht o bayabaa'n ghoom lia
mushk ki koi khabar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota
maula sabar nahin..!
Kaisi soch mein tu ne mujh ko
maula mere daal dia
Manzil ki toh baat hai dooji rasta
aata nazar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota
maula sabar nahin
Dasht o bayabaa'n ghoom lia
mushk ki koi khabar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota
maula sabar nahin..!
Jo kal tak the raah mein phaile
woh manzil ke hum saaya
Jin ko tu ne raah dikhayi woh bhi
the sab hum paaya
Bas ik hum pe toot rahi kyun bijli
saare aalam ki
Imaa'n ko bas dil se laga kar aakhir
hum ne kya paaya
Hum pe bhi tu apna karam kar
hum bhi hain mohtaaj tere
Sab ko hi mila man o salwa kuch
apni lekin nazar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota
maula sabar nahin
Dasht o bayabaa'n ghoom lia
mushk ki koi khabar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota
maula sabar nahin..!
Taareeki hai har sun pheili shabe
zulmaat hai jaari
Khud hi se hai hum ko wehshat
ajab hai kaifiyat taari
Haan isko tu hi jaanta hai ke
hum hain shabistaa'n waale
Ghazab thokar humein kyun bhala
phir haalaat ne maari
Unko bhi dia tu ne jam kar jinko
teri khabar nahin
Faqat apni dunaon mein phir
kyun maula asar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota
maula sabar nahin
Dasht o bayabaa'n ghoom lia
mushk ki koi khabar nahin
Kitna khud ko samjhaon ab hota
maula sabar nahin..!
No comments:
Post a Comment