Ghaarat Garon k Paas hai Kiya
Apne Paas Kiya
Thaani hai Sidq Dil se to Khauf 'o
Hiraas Kiya
Lehja Hi Talkh Ho to Zubaan ki
Mithaas Kiya?
Aankhen Barhana Hon To Badan
Par Libaas Kiya?
Kaason Mein Le K Shaad Hain
Jo Zindagi Ki Bheek
Un Dast Basta Logon Ka Hosh-o
Hawaas Kiya?
Haathon Mein Haath Dijay
Dohaayi Na Dijiye
Tanzeem-e-Aman Se Hain Abhi
Na-Shanaas Kiya?
Buz-Dil Hain Aap Warna
Samandar Khangaaltay
Moti Bhi Chal k Aata Hai Saahil
k Paas Kiya?
Sabza Nahi, Hain Fahem-o
Ferasat ki Chaadaren
Kal Bhi Yahi Zameen Thi Ugti
Thi Ghaas Kiya?
Hai Taaliyon ki Goonj Mein
Tauqeer-e-Harf Gum
Irshad Karne Waale Karen
Iltemaas Kiya
Shohrat Nazar Mein Ho To
Balaghat Se Kiya Gharaz
Sarqay Ka Gham Nahi To
Gham-e-Iltebaas Kiya
Ab To Chaman Mein Kaanton ko
Aaye to Aaye Reham
Barg-e-Khizaan Raseeda ko
Phoolon se Aas Kiya
Dariya Se Abr Ban K Sab Urrh
Jaayen Nekiyaan
Hai Sarfaraz Ye Bhi Qareen-e
Qayaas Kiya....
No comments:
Post a Comment