"Udaasiyon ka Hamla"
Safar taweel hai Yeh mein jaanta
tha Mushkilon se waqif tha
Magar haalaat,Bad se badtar ho
rahe hain..
Sawaal doulat ka nahin Ana ka
hai...Khudi ka hai..! Kisi ki bewajah
talkhi Kisi ke tu tadak jumley
Kisi ka nigah uthakar
Bhanwein tana kar dekhna
Kisi ka nazrein pher lena
Qalb o zahen ko jhinjod rahe hain,
Maano ab koi waqat hi na rahi!
Na jaane kyun...Har sun taareeki
hai
Naseh hazaar hain Charahgar koi
nahin...!Ek ajab shor bhi hai
Khaamoshi bhi...Mustaqbil sujhai
nahin deta Aur haal, behaal hai
Maazi ki chand khurafaat Kabhi
hansaati hain Kabhi rulati hain
Neend shab gazeedah hai Khwaab
toot rahe hain
Waqt napaidaar hai Ahbaab hain
hi nahin Raqeeb mein khud hi hun
Mahez khila hai Uljhi soch hai
Udaasiyon ka hamla hai Kal shab
se......!
No comments:
Post a Comment