Thursday, 26 June 2014
Mere yaqiN ko pas-E-purda-E gumaN
Mere yaqiN ko pas-E-purda-E
gumaN kar ke
Tu is nawaah men rahta hai per
kahaN kar ke
Nahi hai koyee bhi is anjuman
men hum jaisa
Chiragh jal to rahe haiN mager
dhuaN kar ke
Guzar gaye haiN wo lamhe rawa
rawi meN agar
Guzaar do ye zamane bhi rayegaN
kar ke
MaiN apne khooN ka darya bana
to luN lekiN
Thahar na jaye ye kashti mujhe
rawaN kar ke
Ye kauN tha k hadaf ban k saamne
aayaa
PalaT gaya hai magar teer ko
kamaN kar ke...
Badan mein jaise lahu taaziyaanaa
Badan mein jaise lahu taaziyaanaa hogaya hai
Usay gale se lagaaye zamaanaa
hogaya hai
Chamak raha hai ufaq tak ghubaar
e tiira-shabi
Koi chiraaGh safar par rawaanaa
hogaya hai
HumeiN to khair bikharna hi tha
kabhi na kabhi
Hawaay-e-taaza ka jhoNka
bahaanaa hogaya hai
Gharaz K poochhte kya ho ma’aal e sokhtagaaN
Tamaam jalna – jalaana fasaanaa
hogaya hai...
Fazaay e shouq mein uski bisaat hi kya thi
Parindaa apne proN ka nishaanaa hogaya hai
Kisi ne dekha hai patjhaR mein phul khilte hue
Dil apni khush nazarii mein divaanaa hogaya hai..
KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN
KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN
tu
Ek zarra-e-khaak aur kahaaN tu
MaiN dhoop ki aadi ho chali thi
KyuN mujh pe bana hai sayebaaN
tu
MaiN teri zameen-e-nisf-e-shab
huN
TaaroN bhara mera aasmaaN tu
Aise hi hamaari soch yekjaan
MaiN nutq tera, meri zabaaN tu
Taiyyar huN maiN safar ko lekin
Kashti ka uThaaye baadbaaN tu
Kitna bhi ho sakht mera lehjaa
Deeba-o-hareer-o-parniyaaN tu
Ek aam ghareeb-e-shahr hun
maiN
Kya sun ke karega daastaaN tu
Pat_thar mein gulaab dekhta hai
Kis darja hai mujh se khushgumaaN
tu
Ab thoRa sa waqt rah gaya hai
Zaaye’ karuN maiN na raayegaaN
tu
(Parveen Shakir)
Imkaan dekhnay ko ruka tha maiN
Imkaan dekhnay ko ruka tha maiN
jast ka
Ailaan kar diya gaya meri shikast
ka
Saye se apne qadd ka lagata hai tu
hisab
Andaza ho gaya hai tere zehn-e-
past ka
Tujh ko badan ki had se nikalna
kahaN nasib
Samjhe ga kaise rooh ko aalooda
hast ka
Tu hai K kal ki baat ka rakhta
nahiN hai paas
MaiN hooN ke paasdaar hooN
ehd-e-alast ka
Jis se garoh-e-badaa-faroshaaN
hasad kare
Taari hai mujh pe nassha usi
chashm-e-mast ka
Ja, shehr-e-kam-nigaah meiN
shuhrat samaiT le
Yeh kaam hai bhi tujh se hi mauqa
parast ka
Shah-e-junooN ka takht bicha hai
ba-ehtamaam
Pehlu meiN intizaam hai meri
nashast ka
Wus’at mili hai zabt ko mere
baqadr-e-dard
Bolo koyi jawaab hai is band-o-
bast ka?
‘Irfan’, teri laaj bhi Allah key
supurd
Sattar hai wohi to har ik tang-
dast ka...
Azaab-e-wehshat-e-jaaN ka silaa
Azaab-e-wehshat-e-jaaN ka silaa
na maaNge koi
Naye safar ke liye raastaa na maaNge
koi
Buland haathoN mein zanjeer daal
dete haiN
Ajeeb rasm chali hai, duuaa na
maaNge koi
Tamaam shahr mukarram, bus aek mujrim maiN
So mere baad meraa khuN-bahaa
na maaNge koi
Koi to shahr-e-tazabzub ke saakinoN
se kahe
Na ho yaqiin to phir mo’jezaa na maaNge koi
Azaab-e-gard-zezaaN bhi na ho
bahaar bhi aaye
Is ehteyaat se ajr-e-wafaa na
maaNge koi...
Wednesday, 25 June 2014
Inkaar meiN iqraar ki baat aa hi gayi
Inkaar meiN iqraar ki baat aa hi
gayi hai
BatoN meiN Gham-e-yar ki baat
aa hi gayi hai
Aaya hai kabhi zikr agar dar'o
rasan ka
Gesoo-o-qad-e-yar ki baat aa hi
gayi hai
Jab surKhi-e-gulshan ka kabhi
zikr hua hai
Tere lab-o-ruKhsaar ki baat aa
hi gayi hai
DhooNda hai agar zaKhm'e
tamana ne mudaawa
Ek nargis-e-bimaar ki baat aa
hi gayi hai
Mil baiThe haiN zandaaN meiN
agar sham ko ahbab
Tere dar-o-deewaar ki baat aa hi
gayi hai
ChaiRa hai koi talKh fasaana jo
kisi ne
Shirini-e-guftaar ki baat aa hi
gayi hai...
Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai
Ab JunuN kab kisi ke bus meiN hai
Uski khushboo nafas-nafas meiN hai
Haal us Said ka, sunaaiye kya!
Jis ka saiyyad khud qafas meiN hai
Kya hai gar zindagi ka bus na chala
Zindagi kab kisi ke bus meiN hai?
Ghair se rahiyo tu zara hushiyaar
Woh tere jism ki hawas meiN hai!
Paa-shikastaa paRa hua huN magar
Dil kisi naGhma-e-jaras meiN hai
‘Joan’ hum sab ki dastaras meiN haiN
Woh bhala kis ki dastaras meiN hai..
Wafa kar magar ustawaari na rakh
Wafa kar.! magar ustawaari na
rakh
Koii bojh seene pe bhaari na
rakh
Mohabbat ke badle muhabbat na
maang
K yeh silsilaa, karobaari na rakh
Kisii aur heelay se kar mustafeez
FaQat rasm-e-bada-gusaari na
rakh
Tu aaya hai to harf-e-matlab pe
aa
ZabaaN per bahut khaksaari na
rakh
Salamat nahii sar to dastaar kya
Bahut apni ooNchi ataari na rakh
HaqeeQat tujhe maar dalegi sun!!
‘Mujeebi’ bahut jaan kaari na rakh..
Tuesday, 24 June 2014
Wednesday, 18 June 2014
Tuesday, 17 June 2014
Sham-E-Faraq Bazam SaJane Ko
Sham-E-Faraq Bazam SaJane Ko
Aa Gai.
Phir Hijar ki Raat Dard JaGane
Ko Aa Gai.
Tera KhayaL AaG LaGa Kar ChaLa
Gaya.
Phir Teri Chahat Shama JaLane
Ko Aa Gai.
Tum Aaye Ho Tu Boye Hina Bhi Tumhare Sath.
GhunChon Me Apna RanG
RaChane Ko Aa Gai.
SaGaar Utha Kar Phir Ye Baharen
Na Aayen Gi.
Sawan Ki Rut Ye Raaz Batane Ko
Aa Gai.
Ab Tak Humare Jaam Hain KhaLi
Parre Howe.
Youn Tu Sharab Bazam Me Aane
Ko Aa Gai.
Khanda Koi KaLi Hai Na Shadaab
Koi PhooL.
Youn Tu Bahar JaShan Manane
Ko Aa Gai.
FaaSh Ho Na SaKa AaJ Tak Ye Raaz.
Hum So Gaye K Neend Zamaane Ko Aa Gai.
Har Koi Jaati Hoi Rut Ka Ishaara Jaane
Har Koi Jaati Hoi Rut Ka Ishaara
Jaane,
Gul Na Jaane Bhi Tu Kya Baagh
Tu Saara Jaane.
Kis KO Batlaae'n K AashOb-E-MOhabbat Kya Hai,
Jiss Pe Guzri HO WOhi Haal
Humaara Jaane.
Jaan Nikli Kisi Bismil Ki Na SOOraj Nikla,
Bujh Gaya Kiun Shab-E-Hijraa'n Ka Sitaara Jaane.
JO Bhi Milta Hai Hum Hi Se Gila
Karta Hai,
KOi TO SOOrat-E-Halaat Khudaara Jaane.
Dost Ahbaab TO Reh Reh K Gale
Milte Hain,
Kis Ne Khanjar Mere Seene Me
Utaara Jaane.
Tujh Se Barrh Kar KOi Naadaa'n
Nahi HO Ga ''.
Dushman-E-Jaan KO Bhi To Jaan
Se Pyaara Jaane...
Meri saari zindagi ko besamar iss ne kiya
Meri saari zindagi ko besamar
iss ne kiyaUmar meri thi magar,
isko basar iss ne kiya
Main bohut kamzor tha iss mulq
main hijrat kay baad
Per mujhe iss mulq mein kamzor’tar
iss ne kiya
Rehbar mera bana gumraah karne
kay liye
Mujhko seedhey raste se darbadar
iss ne kiya
Shehar mein woh moatbir meri
gawahi se huwa
Phir mujhe iss shehar main na’
moatbir iss ne kiya
Shehar ko barbaad kar kay rakh
diya iss ne 'Munir'
Shehar per yeh zulm mere naam
per iss ne kiya..
Jab Se Laga Tanhai Ka Rog Mujhe
Jab Se Laga Tanhai Ka Rog Mujhe,
Ek Ek Kar K Chor Gaye Sab Log
Mujhe,
Bujhta Soraj Meri Aankhain Cheen
Gia,Kali Rat Ne Pehnaya Hai Sog
Mujhe,
Wasal Ki Rutt Se Mehroomi K
Mosam Tak,
Bhool Gaye Hain Ab Sare Sanjog
Mujhe,
Dard Ka Jangal Atta Howa Hai
Sanpo Se,
Dil Ka Jogi Roz Sikhaye Jog Mujhe,
Kal Shab Ujle Chehron Ki Ek
Mehfil Mein,
Yad Aaye Hain Mohsin Kia Kia
Log Mujhe.
Mjhe Emaan Teri Mohabbaton Pe
Mjhe Emaan Teri Mohabbaton
Pe Apni Saans Ki Tarah hai.
Bas Aik Baar Mere Sir Ki Qasam
Khao Badal Tu Na Jao Gy'.
Tum Jo Door Raho Tu Manzilein
Meri Adhori Hain.
Bas Aik Baar Mujhe Yaqeen Dilao
Badal Tu Na Jao Gy.
Aaj Tumhari Judai Ka Khof Maary
Ja Raha Hai Mujh Ko.
Faqat Aik Baar Mujh Ko Behlao
Badal Tu Na Jao Gy.
Dil Tanha Aur Udas Sa Hai Aur
Aankh Bhi Tu Purnum Hai.
Mujhe Bas Aik Baar Samjhao
Badal Tu Na Jao Gy...
Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi
Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat
Nahi Howi
Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata
Raha Hun Mein
Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel
Ke Lye
Parchaayion Pe Rung GIraata
Raha Hun Mein
Apna Misaalya Mujhe Ab Tak
Na Mil Saka
Zarron Ko Aaftaab Banaata
Raha Hun Mein
Kia Mil Gaya Zameer Hunar
Baich Kar ?
Itna Ke Sirf Kaam Chalaata
Raha Hun Mein
Kal Dophair Ajeeb Si Ek Be-Dili
Rahee
Bas Titliaan Jalaa Ke Bujhaata
Raha Hun Mein'
Rastey Ghalat Nahin Hua Kartay
Rastey Ghalat Nahin Hua Kartay .....Woh To Apni Manzil K Liyea
Hi Bantay Hain .....Ghalat To
Hamari Pasand Aur Chah Hoti
Hai .....
Kiun K Raaston Ko To Waheen
Jana Hai .... Jahan Iski Manzil Ka Thikana Hai ..... Yeh To Hum Hi
Hotay Hain .....
Jo Tajassus Main Iski Manzil Ko
Apni Manzil Samjh Bethtay
Hain .....
Aur Phir Gilah Kartay Hain K
Raasta Ghalat Tha ......!
Subscribe to:
Posts (Atom)