Imkaan dekhnay ko ruka tha maiN
jast ka
Ailaan kar diya gaya meri shikast
ka
Saye se apne qadd ka lagata hai tu
hisab
Andaza ho gaya hai tere zehn-e-
past ka
Tujh ko badan ki had se nikalna
kahaN nasib
Samjhe ga kaise rooh ko aalooda
hast ka
Tu hai K kal ki baat ka rakhta
nahiN hai paas
MaiN hooN ke paasdaar hooN
ehd-e-alast ka
Jis se garoh-e-badaa-faroshaaN
hasad kare
Taari hai mujh pe nassha usi
chashm-e-mast ka
Ja, shehr-e-kam-nigaah meiN
shuhrat samaiT le
Yeh kaam hai bhi tujh se hi mauqa
parast ka
Shah-e-junooN ka takht bicha hai
ba-ehtamaam
Pehlu meiN intizaam hai meri
nashast ka
Wus’at mili hai zabt ko mere
baqadr-e-dard
Bolo koyi jawaab hai is band-o-
bast ka?
‘Irfan’, teri laaj bhi Allah key
supurd
Sattar hai wohi to har ik tang-
dast ka...
No comments:
Post a Comment