Mere yaqiN ko pas-E-purda-E
gumaN kar ke
Tu is nawaah men rahta hai per
kahaN kar ke
Nahi hai koyee bhi is anjuman
men hum jaisa
Chiragh jal to rahe haiN mager
dhuaN kar ke
Guzar gaye haiN wo lamhe rawa
rawi meN agar
Guzaar do ye zamane bhi rayegaN
kar ke
MaiN apne khooN ka darya bana
to luN lekiN
Thahar na jaye ye kashti mujhe
rawaN kar ke
Ye kauN tha k hadaf ban k saamne
aayaa
PalaT gaya hai magar teer ko
kamaN kar ke...
No comments:
Post a Comment