widget

Thursday, 26 June 2014

Azaab-e-wehshat-e-jaaN ka silaa


Azaab-e-wehshat-e-jaaN ka silaa 
na maaNge koi

Naye safar ke liye raastaa na maaNge 
koi

Buland haathoN mein zanjeer daal 
dete haiN

Ajeeb rasm chali hai, duuaa na 
maaNge koi

Tamaam shahr mukarram, bus aek mujrim maiN

So mere baad meraa khuN-bahaa 
na maaNge koi

Koi to shahr-e-tazabzub ke saakinoN 
se kahe

Na ho yaqiin to phir mo’jezaa na maaNge koi

Azaab-e-gard-zezaaN bhi na ho 
bahaar bhi aaye

Is ehteyaat se ajr-e-wafaa na 
maaNge koi...


No comments:

Post a Comment