Dasht-e-tanhaii mein aye
jaan-e-jahaan larzaa'n hain
Teri awaa'z ke saaye tere honthon
ke saraa'b
Dasht-e-tanhaai mein duuri ke
Khas-o-Khaak tale
khil rahe hain tere pahluu ke
saman aur gulaab
Uth rahi hai kahin qurbat se teri
saan's ki aa'nch
Apni Khushbuu mein sulagti hui maddham maddham
Dor ufaq par chamakatii hui
qatr'aa qatr'aa
Gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam
Us qadar pyaar se ai jaan-e
jahaan rakkha hai
Dil ke rukhsaar pe is waqt teri
yaad ne haath
Yun gumaa'n hotaa hai garche
hai abhii subah-e-firaaq
Dhal gayaa hijr kaa din aa bhii
gayi vasl kii raat...!!!!
No comments:
Post a Comment