widget

Sunday, 28 September 2014

Tumhain aadat nahin meri


Tumhain aadat nahin meri
Abhi tum soch sakti ho,
Khud ko rok sakti ho

Abhi aaghaz-e-mohabbat hai,
Tumhain aadat nahin meri
Bari khud gharz duniya hai,

Kabhi milnay nahin day gi
Mujay bhi tor dalay gi,
Tujhay bhi tor dalay gi,

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho,
Abhi aaghaz-e-mohabat hai,

Tumain aadat nahin meri
Abhi aadat nahin tujh ko,
wasal ki haseen shamon ki
Abhi adat nahin mujh ko,

Teri aankhon main khonay 
ki Abhi tum soch sakti ho,
Khud ko rok sakti ho

Abhi aghaz-e-mohabat hai,
Tumain aadat nahin meri
Bara mushkil hota hai,

kisi ko chor kar jana
Eik Dil ka rishta , 
Dosray se tor kar jana,
ye duniya chor diti hai

Bharam sab tor deti hai,
Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho,

Abhi agaz-e-mohabbat hai,
Tumhain aadat nahin meri
Din bhar k thake panchi,

Abhi wapas nahin loute
Abhi sooraj nahin dooba,
Abhi taray nahin niklay,
Abhi tum soch sakti ho

Khud ko rok sakti ho,
Abhi agaz-e-mohabat hai,
Tumhain aadat nahin meri,

Abhi kashti samander ki
Lehron se nahin uljhi,
Abhi kashti bhi teri hai
Abhi tera kinara hai,

Abhi tum soch sakti ho
Khud ko rok sakti ho,
Abhi agaz-e-mohabat hai,
Tumhain aadat nahin meri..!! ♡


No comments:

Post a Comment