widget

Saturday, 19 July 2014

Dum tod jati hai har shikayat lab pe aakar


Dum tod jati hai har shikayat 
lab pe aakar,

jab wo itni masumiyat se kehti 
hai mujhe chhod ke mat jao..!! 



Nikle hum duniya ki bheed me


Nikle hum duniya ki bheed 
me to pata chala,

har wo shaks akela hai, jisne 
bhi mohhabat ki hai..!!



Sika ßana K Jab ßhi Uchala Gaya Mujhay


Sika ßana K Jab ßhi Uchala 
Gaya Mujhay..

Main Teri Haar Jeet Main 
Taqseem Ho Gaya....+


Apni mehroomi ke ehsaas se sharminda hain,


Apni mehroomi ke ehsaas se
sharminda hain,
Khud nahin rakhte to auron ke 
bujhate hain chiragh..


Umar bhar ka maan toota aur kya


Umar bhar ka maan toota, aur 
kya,
Morr aya, sath choota, aur kya,

Kon sach kehta hai, sach sunta hai 
kon,
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, 
aur kya,

Jaan se jaana zaroori to nahin,
Aashiqui mein sar to phoota, 
aur kya,

Rote huye laal pathar ho gaye,
Rafta rafta rang choota, aur kya,

Reh gaya tha yaad ka rishta faqat,
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,

Us ki ankhain bhi kabhi sach 
bolti’n,
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur 
kya,

Ghair to they ghair apne aap ko,
Sab se barh kar hum ne loota, 
aur kya,

aao dekho to zara baagh-e-wafaa,
Ab koi gul hai na boota, aur kya,
Fitna samaani mein yaksaan hain ,
Apna dil ho ya kahuta, aur kya..


Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay


Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi 
Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay
Maana Ke Behem Kahan Thay 

Aisay Per Yun Bhi Judaa Judaa 
Nahi Thay
Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish
Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi 
Thay

Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir
Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi 
Thay Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat
Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay

Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne 
Dekha Phool Itnay Bhi Khushnuma 
Nahi Thay

Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman 
Mein Koi Hamain Dekhta, Nahi 
Thay

Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia 
Kia Tab Ham Bhi Kia Nahi Thay....


Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E


Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-
Wafa Ho Jana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse 
Juda Ho Jana,

Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga 
Lahoo Ki Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-
Heena Ho Jana,
Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton 
Ka Sila,

Tum Tou Masoom Ho, Tum Door 
Zara Ho Jana,
Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad 
Ka Zeher,

Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho 
Jana...



Humi ne tark-e-taluq main pehel ki


Humi ne tark-
e-taluq 
main pehel ki,
Woh chahtaa tha magar 
hauslaa na tha us ka..


Huaa hai tujh se bicharney ke baad ab maloom



Huaa hai tujh se bicharney ke 
baad ab maloom,
Ke tu nahin tha, tere sath aik 
dunyaa thi..


Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain


Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay

Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi 
Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz 
Azaabon Waalay

Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke 
Nisaabon Waalay

Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab 
Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay

Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho 
Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar 
Aqaabon Waalay

Na Mere Zakham Khilay Hain 
Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye 
Gulaabon Waalay

Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat 
Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay...



Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara


Woh dushman-e-jaan, jaan se 
pyara bhi kabhi tha,
Ab kiss se kahen koi hamara bhi 
kabhi tha,

Utra hai rag-o-pey* main to dil 
katt sa geya hai,
Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara 
bhi kabhi tha,
Har dost jahan abar-e-gurezaan 
ki tarah hai,

Yeh sheher kabhi sheher hamara 
bhi kabhi tha,
Titlii ke taaqub* mein koi phool 
sa bacha,

Aesa hi koi khawb hamara bhi 
kabhi tha,
Ab agley zamaney ke milain log 
to poochain,

Jo haal hamara hai, tumhara bhi 
kabhi tha,
Har bazm main hum ne usey 
afsurdaa hi dekha,

Kehtey hain anjuman-e-araa* 
bhi kabhi tha..


Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey


Hum na hotey to kisi aur ke 
charchey hotey,
Halqat*-e-sheher to kehne ko 
fasaaney mangey..


Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere


Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na 
Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost 
Puraanay Mere..?

TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha 
Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane 
Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri 
Rusvaai Loog Mujh Ko Sunate 
Hain Fasaane Mere

Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se 
Bhara Hai Daman Dekh Ghaarat-e-
Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke 
Bagair

Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere Kash TU Bhi Meri Aavaaz 
Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa 
Ne Mere

Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai 
Ko Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi 
Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda 
Ne Mere

TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere Mujh Ko Tou 
Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere

Charagar Tou Bohat Hain Magar 
Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane 
Mere....


Friday, 18 July 2014

Sath shokhi k kuch Hijaab b hai


Sath shokhi k kuch Hijaab b hai.
Is ada ka kahin jawab b hai??
.
Reham kr mere haal per Waaiz.
K Umangen b hain, shabab b hai.
.
Maar dala hai is do rangi ny.
Mehrbani b hai, ataab b hai.
.
Sun li kefiyyat e jinaan Waaiz.
Dekh is qism ki sharab b hai.
.
Kya rahega yehi tera aalam?
Sath aalam k inqala b hai.
.
Ishq baazi ko hai saliqa shart.
Ye gunah b hai, ye sawab b hai.
.
Is jafa pr wafa karun kab tak.
Admiyat ka kuch hissab b hai.
.
So Jahanum hai ik teri ranjish.
Is se barh kr koi azaab b hai.
.
Daagh ka kuch pta nhi chalta.
Kahin wo khanumaN kharab b hai??


Jaal Zulf e Seyaah ny mara


Jaal Zulf e Seyaah ny mara.
Teer Kafir Nigah ny mara.
.
Kahab gya Maghz e Naseh 
NadaaN.
Mujhko is Khair Khuwah ny 
mara.
.
Zabt kr Dard e Ishq ko ay Dil.
Is Teri Aah Aah ny mara.
.
Phir gya Roz e Hashar Dil Mujhsy.
Mujhko mil kr Gawah ny mara.
.
Mar gaye Hum to Wazadari mei.
Dosti ki Nibah ny mara.
.
Charkh se Umar e Khizar mangi 
thi.
Jaan se Keena khuwah ny mara.
.
Dekh ay DaaGh Ehl e Dunya ko.
Hawas e Izz o Jaah ny mara.


Meri qismat ki tarah rehti hai


Meri qismat ki tarah rehti hai 
bal khayi hwi.
Zulf per b kya hai sakhti ki girah 
ayi hwi.
.
Jab tere dar se phira khalqat 
tamashayi hwi.
Peechy Peechy Daagh agay agay 
Ruswayi hwi.
.
Ye mila zikar Qayamat pr 
Qayamat ka jawab.
Kya uthay gi wo hamari thokren 
khayi hwi.
.
Aa gya jab koi kr li chaar baten 
us se b.
Warna phr sir peetna jis waqt 
tanhayi hwi.
.
Hai ajab andhair koi Daagh ka 
purssa'N nhi.
Subha e Mehshar b ILaahi 
shaam e tanhayi hwi.


Talab hai chahny walon se


Talab hai chahny walon se 
ImtehanoN ki.
Buri bani hai Khuda khair kry 
JaanoN ki.
.
Tarap tarap k ye kambakht 
sabar kr na saken.
Kharabian hain mohabbat mei 
nojawano ki.
.
kisi lehaaz se naala nhi kia 
humny.
Wagrna konsi bunyaad 
aasmaano ki.
.
Ajab nhi hai k hangama e 
qayamat ko.
Milay na qabar agr humsy
beNishano ki.
.
Ye Zohad apka ay Daagh sab 
hai Makr o Fareb.
Hazar pheriye tasbeeh laakh 
daanoN ki.


Hazrat e DiL aap hain jis Dheyan mei


Hazrat e DiL aap hain jis Dheyan 
mei.
Mar gaye laakhon issi Armaan 
mei.
.
Is se poocho tum meri Aashuftagi.
Zulf keh de gi tumhare Kaan mei.
.
Gar Farishta'vish huwa koi to 
kya.
Aadmiyat chahiye Insan mei.
.
DiL ki qeemat ik Nigah hai ay 
Sanam.
Agay jo aaye tere Eemaan mei.
.
Jis ny DiL khoya ussi ko kuch 
mila.
Faida dekha issi Nuqsan mei.
.
Lijiye deta hu Mai DiL k siwa.
Aur jo kuch hai mere Imkaan 
mei.
.
Kisny Milnay ka Waada kia k 
DaaGh.
Aaj ho tum aur hi samaan mei.


Nigah e Shoq Be'Asar na huwi


Nigah e Shoq Be'Asar na huwi.
Tumko Parday mei Kya Nazar 
na huwi??
.
Shab e Furqat k jaagnay walay.
Aisay Soye k phir Khabar na huwi.
.
Kabhi Us se Umeed e Ulfat hai.
Kabhi ye Fikar hai Agar na huwi...
.
Nahi Maloom Kis k Dil mei rahay.
Kabhi Zaahir Teri Kamar na huwi.
.
Nahi Sarkar Ishq per Ilzaam.
Mai bura tha Meri Basar na huwi.
.
Dil se baten bohat rahin Shab e 
Gham.
Baat karne mei bhi Sehar na huwi.
.
Dil jalay Dafan ho gaye Jis mei.
Abr se Wo Zameen Tar na huwi.
.
Kya Talo'n e Mizaaj ho Ay DaaGh.
Chaar Din bhi kahin Basar na huwi.


Haq se de to teri nafrat bhi sar aankho par


Haq se de to teri nafrat bhi sar 
aankho par..
Khairat me to teri mohabbat 
bhi muje manjoor nahi ..