Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi
Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz
Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke
Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab
Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho
Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar
Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain
Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye
Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat
Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay...
No comments:
Post a Comment