Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na
Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost
Puraanay Mere..?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha
Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane
Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri
Rusvaai Loog Mujh Ko Sunate
Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se
Bhara Hai Daman Dekh Ghaarat-e-
Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke
Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere Kash TU Bhi Meri Aavaaz
Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa
Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai
Ko Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi
Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda
Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere Mujh Ko Tou
Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar
Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane
Mere....
No comments:
Post a Comment