widget

Saturday, 19 July 2014

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara


Woh dushman-e-jaan, jaan se 
pyara bhi kabhi tha,
Ab kiss se kahen koi hamara bhi 
kabhi tha,

Utra hai rag-o-pey* main to dil 
katt sa geya hai,
Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara 
bhi kabhi tha,
Har dost jahan abar-e-gurezaan 
ki tarah hai,

Yeh sheher kabhi sheher hamara 
bhi kabhi tha,
Titlii ke taaqub* mein koi phool 
sa bacha,

Aesa hi koi khawb hamara bhi 
kabhi tha,
Ab agley zamaney ke milain log 
to poochain,

Jo haal hamara hai, tumhara bhi 
kabhi tha,
Har bazm main hum ne usey 
afsurdaa hi dekha,

Kehtey hain anjuman-e-araa* 
bhi kabhi tha..


No comments:

Post a Comment