widget

Tuesday 12 November 2013

Sard ratain phir Dar pe dastak denay lagien


Sard ratain phir
Dar pe dastak denay lagien
Jaisey udasiyan pichley baras
Ki loutney hon lagien
Phir aik kohra bahir chah jaye ga
Doja kaheen ander buhat gehrai may
Sar uthaye ga

Jugnu bhi yaadon ke ooud ayen ge
Sung kuch
Talkhiyan
Wehshatain
Aahatain
Kuch zakhm zakhm muskrahatin
Kuch kirchi kirchi tooti chahatain
Bhi le ayen ge

Jab bhi khunk hawa
Kuwar meray bajaye gi
Tamam khunki tab
Meray lahu may utar jaye gi
Chandni bhi hogi sehmi sehmi
Raastey sub oorh kar
Sanaton ki chadar
Meethi neend
So jayen ge

Fursatain bhi humain hongi haasil
Apne kamal ki
Aur
Aalam-e-takhaiyul may
Dareechey kai khul jayen ge
Aur
In sub may kaheen
Ooas qatron ki maanind
Ashk palkon pe meray
Tanha tehar jayen ge..

No comments:

Post a Comment